Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Image Poetry, Urdu Image Ghazal, Sad Poetry, Urdu Sad Poetry, Heart Touching Poetry, Pashto Poetry, Pashto Image Poetry, Pashto Sad Poetry, Funny Images, Funny Poetry, etc..
Cho gayi woh jaise barish ki pehli boondh

Cho gayi woh jaise barish ki pehli boondh
Mehsos kia usko jaise ek sard shaam ki fiza
Na jane kaisi bahar ha woh khizan k baad keh
Mehak utha mera ashiyan ek tufan k baad
Jo phool kal tak lagta tha be-mehka sa
Mekha gaya WOH phool ko jaise ark e gulab
Na jane kaisi subh ha woh ghani tareek raat k baad keh
Roshan hogya phr mera jahan is tuluy e aftab k baad
Jin baaton se dil e nadan ko bachaya kerte the
Hogya dil e gustakh uss anjaan ki guftago ka
Na jane kaisi ghazal ha woh gham e zindagani k baad keh
Surili hogae phr zindagi meri taweel khamoshi k baad.
SUNO JAB RAAT HOTI HAI

SUNO JAB RAAT HOTI HAI
DAR-O DIWAAR PER DIL KAY
SANNAATA CHHAA SA JATA HAI
HAMESHA HANSNAY WALA DIL
ACHANAK GHAM ZADA HO KAR
THAKAN MEIN DOOB JATA HAI
TO AISAY MEIN MERI DHARKAN
ACHANAK RUK SI JATI HAI
MAIN CHAAHAY LAAKH PATHAR HOON
MAGAR SUB ZABT KAY BANDHAN
MERI JAAN TOOT JATAY HAIN
YE PALKEIN BHEEG JATI HAIN
MUJHAY TUM YAAD AATAY HO
MUJHAY TUM YAAD AATAY HO.
Kaise Dil Ko Samjhaao Ki Woh Ab Mera Naa Raha

Kaise Dil Ko Samjhaao Ki Woh Ab Mera Naa Raha
Naa Raha Raat Kaa Khumaar
Naa Khushiyon Ka Savera Raha
Kuchh Armaan Ke Sulagte Aashiyane Aise Bane
Naa Raha Tarq-E-Muhabbat
Naa Khullus-E-Dil Raha
Ab Woh Maangte Hai Mujhse Ek-Ek Pal Kaa Hisaab
Naa Raha Panna-E-Zisht
Naa Dill Mera Kitaab Raha
Woh Hai Ki Meri Muhabbat Behisaab Kar Rahe Sar-E-Aam
Yahan Mere Ashqon Ke Samandar
Ka Kinaara Naa Raha.
Tu Mera Naam Na Poocha Ker

Tu Mera Naam Na Poocha Ker
Main Teri Zaat Ka Hissa Hoon
Main Teri Soch Main Shamil Hoon
Main Teri Neend Ka Qissa Hoon
Main Tere Khawab Ka Hasil Hoon
Main Teri Yaad Ka Mehwar Hoon
Main Teri Saans Ka Jhonka Hoon
Tu Manzar Main Pas-E-Manzar Hoon
Main Lamha Hoon
Main Jazba Hoon
Jazbe Ka Koi Naam Nahin
Tu Mera Naam Na Poocha Ker
Main Teri Zaat Ka Hissa Hoon.
Haan main gunehgaar hoon

Haan main gunehgaar hoon
iss ishq ke liye main jimewaar hoon
chalo ek kaam karna tum
hamari iss khata ki saza dena
humme tum yu hi bhula dena
hamara kya hai hum chikhenge chilayenge
ek din fir maut ki god mein soyenge
tum sada khush rehna wada karo
humme tum bhula doge dil se kaho
yaad mein kabhi hamari aansu naa bahaoge dil se kaho.
Masoom mohabbat ka bas itna sa fasaana hai

Masoom mohabbat ka bas itna sa fasaana hai
Kaagaz ki haveli hai baarish ka zamaana hai
Kya shart-e-mohabbat hai kya shart-e-zamaana hai
Aawaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gaana hai
Uss paar utarne ki ummeed bahot kam hai
Kashti bhi purani hai toofan ko bhi aana hai
Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke
Ek shaqs ko aakhon se ek sher sunaana hai
Bholi si adaa koi phir ishq ki zidd par hai
Fir aag ka dariya hai aur doob ke jaana ha.
Subscribe to:
Posts (Atom)

