Cho gayi woh jaise barish ki pehli boondh
Mehsos kia usko jaise ek sard shaam ki fiza
Na jane kaisi bahar ha woh khizan k baad keh
Mehak utha mera ashiyan ek tufan k baad
Jo phool kal tak lagta tha be-mehka sa
Mekha gaya WOH phool ko jaise ark e gulab
Na jane kaisi subh ha woh ghani tareek raat k baad keh
Roshan hogya phr mera jahan is tuluy e aftab k baad
Jin baaton se dil e nadan ko bachaya kerte the
Hogya dil e gustakh uss anjaan ki guftago ka
Na jane kaisi ghazal ha woh gham e zindagani k baad keh
Surili hogae phr zindagi meri taweel khamoshi k baad.
No comments:
Post a Comment