Libas Tan Se Utaar Dena


Libas Tan Se Utaar Dena
Kisi Ko Banhon Ke Haar Dena

Phir Uske Jazbon Ko Maar Dena
Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai

Gunah Karne Ka Soch Lena
Haseen Pariyan Daboch Lena

Phir Uski Aankhein Hi Noch Lena
Ager Mohabat Yehi hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai

Kisi Ko Lafzon Ke Jaal Dena
Kisi Ko Jazbon Ki Dhaal Dena

Phir Uski Izzat Uchaal Dena
Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai

Andhair Nagri Mein Chalty Jana
Haseen Kaliyan Masalty Jana

Aur Apni Fitrat Pe Muskurana
Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai.

Wo pyar ka saboot diyaa karta tha


Wo pyar ka saboot diyaa karta tha
Aansu baha baha kar hume manaaya krta tha

Ye zindagi sirf tum se wabasta hai
Aksar ye bat hume batayaa karta tha

Uski batoon main kuch aesa asar tha
Mein barish ke bina hi bheeg jayaa krta tha

Sone ki fursat thi kise us waqt
Wo hume saari rat jagayaa karta tha

bechani jab had se badh jaati thi
Wo jee bhar ke gale lagayaa karta tha

Wo itni mohabbat karne wala badal gya
jo har bat par meri qasam khayaa krta tha.


Kitni Pyari Hai Ye Teri Aankhe Jin Pe Hum Marte Hai


Kitni Pyari Hai Ye Teri Aankhe
Jin Pe Hum Marte Hai

Yeh Kya Jaane hum
Tum se kitna pyaar karte hai

Kitna Dilkash Hai Yeh Tera Chehra
Jiski Tasweer Hum Sine Main Chupa Rakhte Hai

Yeh Kya Jaane Teri Ghum Main Hum
Khud Ko Kis Tarah saza Dete Hai

Kitna Dard-Barha Hai Ye Tera Dil
Jis Main Hum Baste Hai

Yeh Kya Jaane Hum Tumse
Bicharne Ke Khyal Se Bhi Darte Hai

Kitni Pyaari Hai Yeh Teri Baatein
Jinhe Hum Sine Se Laga Rakhte Hai

Yeh Kya Jaane Hum Teri Yaad Main
Kabhi Jeete Hai to Kabhi Marte Hai.



Laakh miltay hain hum bahanay say


Laakh miltay hain hum bahanay say
Pyar chupta nahi chupanay say

Ummar guzari hay dar-badar apni
Hum hillay thay zara thikanay say

Aik jadu sa kar gaye mujh par
Kuch makaan thay puranay say

Baat karta raha main us say magar
Baat banti nahi bana nay say

Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho
Tum nikalo humain fasanay say

Meri chahat main bhi woh baat na thi
Woh bhi rukhsat hua bahanay say

Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay
Teer palta agar nishanay say.

Kitab-E-Dil Ka Koi Bhi Waraq Saada Nahi Hota


Kitab-E-Dil Ka Koi Bhi Waraq Saada Nahi Hota
Nigah Usko Bhi Padh Leti Hai Jo Likha Nahi Hota

Use Main Dekhti Rehti Hoon Yaadon Ke Chanaron Se
Nigahon Ki Tapish Se Wo Kabhi Shola Nahi Hota

Hawa Ko Chhuna Chahti Hoon Ke Ye Usko Bhi Chhuti Hai
Magar Mera Junoon Mujhse Kabhi Pura Nahi Hota

Sunana Chahti Hoon Haal-E-Dil Jis Ek Jumle Mein
Bikhar Jata Hai Wo Jumla Kabhi Yakjaa Nahi Hota

Tapish Is Dilki Aa Pahuchi Meri Namnaak Aankhon Tak
Kaash Jo Jal Gaya Kandha Wohi Tera Nahi Hota

Mujhe Is Haal Tak Pahucha Diya Teri Mohabbat Ne
Sitam Kaisa Bhi Ho Tujhse Koi Shikwa Nahi Hota.

Dil o jaan se meri ye tamna hai


Dil o jaan se meri ye tamna hai
ke mujh mein is tarah bas jao tum

ke meri dastaan ban jao tum
jab kabhi mein kuch kehna chahon

to mera Bayan ban jao tum
mein jahan apne sapno ke phool khila sakoon

mere liye aisa Gulistaan Ban Jao Tum
mein jab bhi kabhi bhi kuch likhna chahon

to meraUnwaan ban jao tum
Bas itn si Tamanna hai meri
ke mere liye mera JAHaAN ban jao tum.

Mujhe Neend Ki Ijaazat Bhi Unki Yaadon Se Leni Parti Hai


Mujhe Neend Ki Ijaazat Bhi Unki Yaadon Se Leni Parti Hai
Jo Khud Aaram Se Soye Hain Mujhe Karwaton Mein Chhor Kar

Mujhe Neend Ki Ijaazat Bhi Unki Yaadon Se Leni Parti Hai
Jo Khud Aaram Se Soye Hain Mujhe Karwaton Mein Chhor Kar.






Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...