Kitab-E-Dil Ka Koi Bhi Waraq Saada Nahi Hota
Nigah Usko Bhi Padh Leti Hai Jo Likha Nahi Hota
Use Main Dekhti Rehti Hoon Yaadon Ke Chanaron Se
Nigahon Ki Tapish Se Wo Kabhi Shola Nahi Hota
Hawa Ko Chhuna Chahti Hoon Ke Ye Usko Bhi Chhuti Hai
Magar Mera Junoon Mujhse Kabhi Pura Nahi Hota
Sunana Chahti Hoon Haal-E-Dil Jis Ek Jumle Mein
Bikhar Jata Hai Wo Jumla Kabhi Yakjaa Nahi Hota
Tapish Is Dilki Aa Pahuchi Meri Namnaak Aankhon Tak
Kaash Jo Jal Gaya Kandha Wohi Tera Nahi Hota
Mujhe Is Haal Tak Pahucha Diya Teri Mohabbat Ne
Sitam Kaisa Bhi Ho Tujhse Koi Shikwa Nahi Hota.
No comments:
Post a Comment