Aayee na uski kabhi koi jo khabar
Dil gaya hai mar, ye soch soch kar
Kya khub the wo lamhen ulfat ke
Mousam bhi haseen lagte the
Yaad aate hain wo pal reh reh kar
Aayee na uski kabhi koi jo khabar
Dil gaya hai mar ye soch sochkar
Gham ka hai ye alam kya kahen kisi se
Zahkme dil bhi to dikha nahin sakte
Tanha hi rote hain aksar chup chup kar
Aayee na uski kabhi koi jo khabar
Dil gaya hai mar ye soch soch kar
Jabtak tha sab kuch tha mera apna
Uski inayat ne yeh haal kardiya
Legaya wo sab kuch mera lut lutkar
Aayee na uski kabhi koi jo khabar
Dil gaya hai mar ye soch sochkar
Jaana hai kahin aur chalte hain kahin
Lagta hai thokar mujhe har mod pe
Kitna sambhalein khudko ab gir gir kar
Aayee na uski kabhi koi jo khabar
Dil gaya hai mar ye soch soch kar
Intezaar mein uski rah tak te hain
Barkaraar hai meri abhitak ummidein
Isitarah jeete hain hum mar marker
Aayee na uski kabhi koi jo khabar
Dil gaya hai mar ye soch sochkar
Hota hai dard dil ko aajkal kam
Milti hai rahat amin sharaab se
Bhulane lage hain usko pi pikar.
No comments:
Post a Comment