Kal Chodhween Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera
Kuch Nay Kaha Yeh Chaand Hai Kuch Nay Kaha Chehra Tera
Hum Bhi Wahen Mojood Thay Hum Say Bhi Sab Poocha Kiye
Hum Hans Diye Hum Chup Rahay Manzoor Tha Pardaa Tera
Is Shehr Mai Kis Say Milen Hum Say To Chootein Mehfilein
Har Shakhs Tera Naam Lay Har Shakhs Deewaana Tera
Koochay Ko Teray Chor Kar Jogi Hi Ban Jayen Magar
Jungal Teray Parbat Teray Basti Teri Sehraa Tera
Hum Aur Rasm-e-Bandagi Aashuftagi Uftaadgi
Ahsaan Hai Kiya Kiya Tera Ae Husn-e-BeParwah Tera
Do Ashk Janay Kis Liye Palkon Pay Aa K Tik Gaye
Altaf Ki Barish Teri Ikraam Ka Dariya Tera
Ae Be’Daraigh-o-BeAmaan Hum Nay Kabhi Ki Hai Faghan
Hum Ko Teri Wehshat Sahi Hum Ko Sahi Saudaa Tera
Hum Par Yeh Sakhti Ki Nazar Hum Hain Faqeer-e-Raah-Guzr
Rasta Kabhi Rokaa Tera Daman Kabhi Thaama Tera
Haan Haan Teri Surat Haseen Lekin Tu Aesa Bhi Nahin
Is Shakhs Ke Ashaar Say Shohraa Hua Kiya Kiya Tera
BeDard Sunni Ho To Chal Kehta Hai Kiya Achi Ghazal
Ashiq Tera Ruswa Tera Shair Tera INSHA Tera.
No comments:
Post a Comment