Ye haadsa hua h tujhe dekhne ke baad
Dil mera kho gaya h tujhe dekhne ke baad
Ab aa ke tere seher se wapas na jayenge
Ye fesla kiya h tujhe dekhne ke baad
Kehte the tujhko log masiha magar yaha
Ek shaks mar gaya h tujhe dekhne ke baad
Raato ko chonk jata hu aksar mein neend me
Ye haal ho gaya h tujhe dekhne ke baad
Palko ko ab jhapakne ki aadat nhi rahi
Na jane kya hua h tujhe dekhne ke baad
Surat kisi ki aankho me basti nhi meri
Aisa bhi ho gaya h tujhe dekhne ke baad
Na dil ko h karar na raato ko neend h
Jeena nhi aata h tujhe dekhne kebaad
Ab dil ko lagau mein ye himmat nhi rahi
Dil toot sa gaya h tujhe dekhne ke baad
Pehle to aankh se kabhi aansu nhi bahe
Rona bhi aa gaya h tujhe dekhnebaad
Tu khush h apni duniya me lekin yaha koi
Tanha sa reh gaya a tujhe dekhne k baad
Surat bhi lajawab h sirat bhi lajawab
Dil mera keh raha h tujhe dekhneke baad
Aa jaye agar maut to me chain se maru
Meri zindagi saja h tujhe dekhne k baad
Tha shayri ka mujhko salikha nhi
Ye sher keh diya h tujhe dekhne ke baad
Tu na mile ko to koi gumnhi
Sabkuch hi seh liya h tujhe dekhne ke baad.
No comments:
Post a Comment