
Nigah-e- ishq nay
jab poocha unke dil se
Kya tum bhi mujhe
itna hi chahtay ho
Toh unkay chehray ki rangat
Ikk sawaal kay kai jawaab ban gaee
Unkay jhukay nain
kai afsaane bayaan kar gaye
Unkay laraztay honth
mohabbat ki kahani ban gayee
Muskurahat unki
beshumaar diyae jalaa gayee
Aur Sharmaana unka
Heer ki kahaani sunaa gayee.
No comments:
Post a Comment