Na siyo honth na khwabon mein sadaa do hum ko


Na siyo honth na khwabon mein sadaa do hum ko
Maslehat ka ye takaaza hai bhula do hum ko

Hum hakeekat hain to tasleem na karne ka sabab
Haan agar harf-e-ghalat hain to mita do hum ko

Shorish-e-ishq mein husn baraabar hai shareek
Soch kar jurm-e-muhabbat ki sazaa do hum ko

Maqsad-e-jeest gham-e-ishq sahra ho ke shaher
Baith jaaeinge jahaan chaaho bitha do hum ko.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...