Pages

Gam ke samundar main doobne lagi hun


Gam ke samundar main doobne lagi hun
Teri yaad main til-til marne lagi hun

Le gaya cheen kar mera sabr-o-qaraar
Vehshat-e-gam se ab tootne lagi hun

Neend meri ankhon se koson duur hai
Jaag ke raat bhar taare ginne lagi hun

Maat khaai apnon ke haathon is qadr
Ehsaas-e-shikast se bikharne lagi hun

Jazbaton ke samundar main garq tanhaai
Dard ki parchaiyon main palne lagi hun

Mehekne lagi meri tanhaai teri yaadon se
Maazi ke jharokon main khone lagi hun

"Aarzoo" ko diya gam-e-judaai ki saughaat
Intezaar ke lamhon main jhulasne lagi hun.

No comments:

Post a Comment