Ab ke kehne se irada nahi badla jaata
Har saheli se dupatta nahi badla jaata
Hum ke shayar hai sihyasat nahi aati humko
Humse muh dekh ke lehza hai badla jaata
Hum fakiron ko fakiri ka nasha rehta hai
Warna kya sheher mein shajra nahi badla jata
Aisa lagta hai ke woh Bhool gaya hai humko
Ab kabhi khidki ka parda nahi badla jaata
Jab rulaya hai to hasne pe na majboor karo
Roz bimar ka nuskha nahi badla jaata
Ghum se fursat hi kahan hai ke tujhe yaad karoon
Itni laashen hai to kadhan nahi badla jaata
Umrr ek talkh haqiqat hai doston phir bhi
Jitne tum Badle ho Utna nahi badla jaata.
No comments:
Post a Comment