Ajab hain raastay mere ke chalna bhi nahi mumkin
Zara thokar jo lag jaye sanbhalna bhi nahi mumkin
Tera chehra meri nazron mein dhundla sa na ho jaye
Ke ab bheegi hui aankhon ko malna bhi nahi mumkin
Milay hain baad muddat k balaa k sard hain lehje
Ke jalna bhi nahi mumkin pighalna bhi nahi mumkin
Taalluq toot jaane se umeeden toot jaati hain
Dilon mein hasraten le ker behalna bhi nahi mumkin
Bohat nakaamian le ker hua hoon khaak ka qaidi
Chalo ab aaj se ghar se nikalna bhi nahi mumkin
Usse itna na socha ker teri aadat na ban jaye
Phir aisi aadaten Mohsin badalna bhi nahi mumkin.
No comments:
Post a Comment