Hamarey haal pe kis ki nawazishen hon gi
Khayal o khawb ki befaiz dastiken hon gi
Tumhare husn ke charchey har ik zubaan par hain
Tumhari zaat se kis ko shikayten hon gi
Tumhare sheher ke munsif hain lootney waley
Tumhare sheher ki yeh bhi riwaayeten hon gi
Hasool-e-adal ki khaatir chale to ho lekin
Qadam qadam pe lakhon rukaawten hon gi
Jahan milain na tahafuz kisi ki izat ko
Wohi to ghair’yakeeni hakoomtain hon gi
Challak gaye peyaaleyy hamari ankhon ke
Tumhari aankh ki saari karaamtain hon gi
Nisaab-e-ishq mein shaamil karain ge
Tumhare husn ki jitni wazaahtain hon gi
Uthaa rahe hain jo Farooq maikadey se mujhe
Kisi ko zeher pilaaney ki saazishen hon gi.

No comments:
Post a Comment