Pages

Tumhari aankhain kehti hain hisar-e-zaat say niklo

Tumhari aankhain kehti hain hisar-e-zaat say niklo
Tamanna meri ban jao, shab-e-barbaad say niklo,

Kinara thaam lo dil ka bhula do her gila shikwa
Kabhi sachi hansi hans do punari yaad say niklo,

Khayal-e-yaar acha hai magar jis nay wafa na ki
Palat ker phir sada na do, dar-e-faryad say niklo,

Nahin koi muhabbat bhi, jijr rut bhi, raqabat bhi
To yeh dharka sa kya, kahiye, wehem ki ghaat say niklo,

Sukhanwer hum say kehta hai saja lo ankh main kuch khwab
Dharakna dil ko sikhla do, amaawas raat say niklo,

Nahin tum ko gawara ab hamara qurb to keh do
Hamaray karb ki choro, tum is gardaab say niklo,

Sar-e-maqtal jo jatay ho, na ho darmandgi kuch bhi
Zamana daikh tham jaye, kuch is andaas say niklo.

No comments:

Post a Comment