Pages

Hum say mut pooch keh kab chaand ubharta hai yahan

Hum jo pohonchay sar-e-maqtal to yeh manzar daikha
Sab say uncha tha jo sar, nok-e-sina per daikha,

Hum say mut pooch keh kab chaand ubharta hai yahan
Hum nay suraj bhi teray sheher maian aa ker daikha,

Pyaas yaaron ko ab us morr pay lay aai hai
Rait chamki to yeh samjhay keh samandar daikha,

Aisay liptay hain dar-o-baam say ab kay jaisay
Hadson nay bari muddat main mera ghar daikha,

Zindagi bhar na hua khatm qayamat ka azaab
Hum nay her saans main barpa naya mehshar daikha,

Itna bay-his keh pighalta hi na tha baton say
Aadmi tha keh tarasha hua patthar daikha,

Dukh hi aisa tha keh roya tera Mohsin warna
Gham chhupa ker usay hanstay huay aksar daikha.

No comments:

Post a Comment