Pages

Nahi mil raha hai yahan kaheen meri zaat ka hi nishan mujhey

Nahi mil raha hai yahan kaheen meri zaat ka hi nishan mujhey
Sun aey justuju dey jawaab tu, ke ley aai hai ye kahan mujhey,

Wo sabaq mein parh ke bhula chuka ke usool banatey hein zindagi
Mujhey mantaqi si daleel dey, ye muhawarey na suna mujhey,

Tujhey kya khabar mein dil mein dard, liye phir raha hoon ajab ajab
Teri mashq puraani hai yaar tu, kya ghaao dey ga naya mujhey,

Nahi kuch gila ke ye sab hai kya, bhaley kuch ajab hai ye maajra
Keh merey aik jurm pe baar baar, koi dey raha hai sazaa mujehy,

Ye jo chaahaton ke bazaar hein yahaan bik raha hai sabhi magar
Yahan kon ley ga wafaa ki jins, bhala kya miley ga nafaa mujhey,

Merey hum’nawa bhala mein kahan, terey waastey mujhey bhool ja
Tu ney khwahishon ke auraq par, kaheen likh dia to mita mujhey,

Yun diye na rakh merey haath pe ke katain ge nahi phir raastey
Kabhi rok lein gi baarishein to kabhi tang karey gi hawa mujhey,

Kataa zindagi ka katthin safar, mein muflisi mein mraa magar
Mein gulshanon ka makeen tha, zara khushbu'ain to laga mujhey.

No comments:

Post a Comment