Pages

Bikharna tootna bhi aor anaa ke saath bhi rehna

Bikharna tootna bhi aor anaa ke saath bhi rehna
Sitam eejaad bhi karna, wafa ke saath bhi rehna,

Tera andaaz aisa hai andheron ki kahaani main
Jalaana kuch diye bhi aur hawa ke saath bhi rehna,

Yahaan to shokhiyon ko apni zebaaii se matlab hai
Lahu main bhi machalna aur hina ke saath bhi rehna,

Ajab rang-e-ta'aluq hai mohabbat ka mere dil se
Keh us ko torna bhi aur sada kay saath bhi rehna,

Haram aur dair sab naqsh-e-mohabbat hain, to dil ko hai
Khad-o-khaal-e-butaan main bhi, khuda ke saath bhi rehna

No comments:

Post a Comment