Dhoom Itni Tere Deewane Macha Sakte Hain


Dhoom Itni Tere Deewane Macha Sakte Hain
K Abhi Chaheen To Arash Ko Hilaa Sakte Hain

Mujh Se Agyaar Koi Aankh Milaa Sakte
Munh To Dekho Mere Samne Aasakte Hain

Yaan Woh Atish-e-Nafsaan Hai K Ubhren To Aah Jhat
Aag Daaman-e-Shafaq Ko Bhi Laga Sakte Hain

Sochiye To Sahi Hatt Dharmi Na Kijeye Sahib
Chutkiyon Mein Kab Aap Mujhe Uraa Sakte Hain

Hazrat Dil To Bigaar Aaye Hain Is Se Lekin
Ab Bhi Hum Chaahen To Pher Baat Banaa Sakte Hain

Sheikhi Itni Na Kar Aye Sheikhka Zandaan-e-Jahaan
Ungliyon Par Tujhe Chaahen To Nacha Sakte Hain.



Phool Ko Rang Sitaare Ko Ziyaa Kis Ne Di


Phool Ko Rang Sitaare Ko Ziyaa Kis Ne Di
Aye Gham-e-Dil Tere Honto Ko Nawa Kis Ne Di

Jee Usay Dekh K Kiyoon Aaj Bhara Jaata Hai
Shula-e-Arz-e-Tamanna Ko Hawa Kis Ne Di

Dil K Dariya Mein Giya Jo B Waheen Doob Giya
Yeh Magar Dehaan Ki Galiyon Se Sadaa Kis Ne Di

Apni Hi SHakal Hai Jis Semat Nazar Parti Hai
Shaher-e-Aayena Mein Aankho Ko Saza Kis Ne Di

Hu Bahu Uski Hi Awaaz Lagi Hai Mujh Ko
Waadi-e-Sang Mein Nidaa Kis Ne Di.

Door Tak Chhaye Thay Badal Aur Kahin Saaya Na Tha


Door Tak Chhaye Thay Badal Aur Kahin Saaya Na Tha
Is Tarah Barsaat Ka Mausam Kabhi Aaya Na Tha

Kia Mila Aakhir Tujhe Saayon Ke Peechhey Bhaag Ker
Ai Dile Naadan Tujhey Kia Humney Samjhaya Na Tha

Uff Yeh Sannata Ke Ahat Tak Na Ho Jis Mai Mukhil
Zindgi Mai Is Qadar Hum Ne Sukoon Paaya Na Tha

Khoob Roye Chhip Ke Ghar Ki Chaardeewari Mai Hum
Haale Dil Kehne Ke Qabil Koi Hamsaaya Na Tha

Ab Khula Jhonkon Ke Peeechey Chal Rahi Theen Aandhiyan
Ab Jo Manzar Hai Wo Pehle To Nazar Aaya Na Tha

Sirf Khushboo Ki Kami Thee Ghaur Ke Qabil Qateel
Warna Gulshan Mai Koi Bhi Phool Murjhaya Na Tha.

Bikhri Hai Kuch Iss Tarha Mohabbat Usey Kehna

Bikhri Hai Kuch Iss Tarha Mohabbat Usey Kehna
Aankhoon Mein Utar Aaie Hai Wehshat Usey Kehna

Kehna Kh Tere Baad Se Jee Lagta Nahi Hai
Bechain Si Rehti Hai Tabeait Usey Kehna

Ashkoon Se Wazoo Kar Ke Khamosh Aankhein
Kerti Hain Roz Teri Ibaddat Usey Kehna

Yeh Soch Ker Badnaam Na Ho Kisi Din
Kar Li Hai Tere Sheher Se Hijrat Usey Kehna

Mehki Phir Se Mere Aangan Mein Raat Ki Rani
Jagi Hai Tere Qurb Ki Hasrat Usey Kehna.




KHUDA Jane Kahan Se Jalwa E Janan Kahan Tak Hay


KHUDA Jane Kahan Se Jalwa E Janan Kahan Tak Hay
Wahin Tak Dekh Sakta Hay Nazar Jis Ki Jahan Tak Hay

Hum Itni Bhi Na Samjhe Aql Khoi Dil Ganwa Baithe
Ke Husn O Ishq Ki Dunya Kahan Se Hay Kahan Tak Hay

Zameen Se Aasman Tak Aik Sannate Ka Aalam Hay
Nahin Maloom Mere Dil Ki Veeraani Kahan Tak Hay

Zameen Se Aasman Tak Aasman Se La'makan Tak Hay
KHUDA Jane Hamary Ishq Ki Dunya Kahan Tak Hay

Nayaz O Naaz Ki Rudad Husn O Ishq Ka Qissa
Ye Jo Kuch Bhi Hay Sab Un Ki Hamari Dastan Tak Hay

Khayal E Yaar Ne To Aate Hi Gum Kar Diya Mujh Ko
Yahi Hay Ibteda To Inteha Is Ki Kahan Tak Hay.

Mohabbat Bhi Ajab Shay Hai Bari Takleef Deti Hai


Mohabbat Bhi Ajab Shay Hai Bari Takleef Deti Hai
Isi Mein Lutf Hain Saare Yahi Takleef Deti Hai

Yahi Dastoor Hai Shaayad Wafaadari Kii Duniya Ka
Jise Jee Jaan Se Chaaho Wahi Takleef Deti Hai

Shikaayat Kar Rahaa Tha Aasmaan Se Aik Sehra Kal
Mujhe Khawaabon Mein Aksar Ik Naddi Takleef Deti Hai

Palak Bhar Ka Milan Hota Hai Do Anjaan Chehron Mein
Magar Phir Umr Bhar Ye Ik Ghari Takleef Deti Hai

Kazaa Ka Khauf Lekar Jee Rahe Hain Sab Zamaane Mein
Haqiiqat Mein Sabhi Ko Zindagi Takleef Deti Hai.


Rasm E Girya Bhe Utha Di Hum Nay


Rasm E Girya Bhe Utha Di Hum Nay
Aakhri Shama Bujha Di Hum Nay

Raakh Bhe Pay Na Koi Apni
Ab K Wo Aag Laga Di Hum Nay

Sansanaty Rahy Taray PahroN
KyuN Teri Baat Suna Di Hum Nay

Har Kari Rah Main Har Manzil Par
Teray He Ghum Ko Sada Di Hum Nay

Aas K Bujhtay Howay Shoulay Ko
Teray Daman Say Hawa Di Hum Nay.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...