Chehare Pe Mere Zulf Ko Phailaao Kisi Din


Chehare Pe Mere Zulf Ko Phailaao Kisi Din
Kyaa Roz Garajate Ho Baras Jaao Kisi Din

Raazon Ki Tarah Utaro Mere Dil Men Kisi Shab
Dastak Pe Mere Haath Ki Khul Jaao Kisi Din

Pedon Ki Tarah Husn Ki Baarish Men Nahaa Lun
Baadal Ki Tarah Jhuum Ke Ghir Aao Kisi Din

Khushbuu Ki Tarah Guzaro Mere Dil Ki Gali Se
Phuulon Ki Tarah Mujh Pe Bikhar Jaao Kisi Din

Phir Haath Ko Khairaat Mile Band-E-Qabaa Ki
Phir Lutf-E-Shab-E-Vasl Ko Doharaao Kisi Din

Guzaren Jo Mere Ghar Se To Ruk Jaayen Sitaare
Is Tarah Meri Raat Ko Chamakaao Kisi Din

Main Apani Har Ik Saans Usi Raat Ko De Dun
Sar Rakh Ke Mere Siine Pe So Jaao Kisi Din.

Khamosh Ho Kyon Daad-E-Jafaa Kyuun Nahiin Dete


Khamosh Ho Kyon Daad-E-Jafaa Kyuun Nahiin Dete
Bismil Ho To Qaatil Ko Duaa Kyuun Nahiin Dete

Vahashat Kaa Sabab Ruuzan-E-Zindaan To Nahiin Hai
Mahar-O-Maah-O-Anjum Ko Bujhaa Kyuun Nahiin Dete

Ik Ye Bhii To Andaaz-E-Ilaaj-E-Gam-E-Jaan Hai
Ai Chaaraagaro Dard Badhaa Kyuun Nahiin Dete

Munsif Ho Agar Tum To Kab Insaaf Karoge
Mujarim Hai Agar Ham To Sazaa Kyuun Nahiin Dete

Kyaa Biit Gaii Ab Ke ‘Faraz’ Ahal-E-Chaman Par
Yaaraan-E-Qafas Mujh Ko Sadaa Kyuun Nahiin Dete.

Kbhi Na Hathon Se Hath Choote KhayaL Rakhna


Kbhi Na Hathon Se Hath Choote KhayaL Rakhna
Kabhi Na Chahat Ka Maan Toote KhayaL Rakhna

BachAa K Rakhna Mohabat Ko Sazishon Se
Wafa Ki DoLat Jafa Na Loote KhayaL Rakhna

Jo Ho Mohabat To ranjishon Se Guraez Karna
Kisi Ka Nazuk Sa DiL Na Toote KhayaL Rakhna.

Ejaaz hai kis ka ye gardish-e-zamana


Ejaaz hai kis ka ye gardish-e-zamana
Toota hai asia main ye sehar-e-firangana

Tameer aashiyan se main ne ye raaz paya
Ehel-e-nawa k haq main bijli hai aashiyana

Ye bandag Khudaye wo bandage gadaye
Ya banda-e-Khuda ban Ya banda-e-zamana

Ghafil na ho khudi se kar apni paasbani
Shayad kisi haram ka tub hi hai aastana

Ay La Illaa K waris, baqi nahi hai tujh main
Guftaar dilbarana, kirdaar kahiraana

Tere nigah se dil senon main kaanpte the
Khoya gaya hai tera jazba-e-qalandarana

Raaz-e-haram se shayad “Iqbal” ba khabar hai
Hain is ki guftugu k andaaz muhrimaana.



Yun aanso na bahao k abhi umer pari hai


Yun aanso na bahao k abhi umer pari hai
Gham apna na chupao k abhi umer pari hai

Sar-e-shaam kyun pete ho tanhaiyun k dar se
Zara mekhane se nikal aao k abhi umer pari hai

Mere qatil se hai milna to zara aayene main dekho
Phir yun chehra na chupao k abhi umer pari hai

Kheera karti hain nigahon ko wo roshan aankhen
Jalte suraj ko bhujao k abhi umer pari hai.



Ablapa koi is dasht main aya hoga


Ablapa koi is dasht main aya hoga
warna andhi main diya kis ne jalaya hoga

zarre zarre pe jare honge kunware sajde
ek ek but ko Khuda us ne banaya hoga

pyas jalte huye kanton ki bujhai hogi
riste pani ko hatheli pe sajaya hoga

mil gaya hoga agar koi sunahari patthar
apna tuta hua dil yad to aya hoga

khun k chinte kahin poch na len rehron se
kis ne wirane ko gulzar banaya hoga.

Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko


Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko
Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko

Chalega Mehfil Me Jab Zikr Hamara Koi
To Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu Bahane Ko.


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...