Wo Bi Udaas Wahan Men Bi Be-Chain Hun


Wo Bi Udaas Wahan
Men Bi Be-Chain Hun

KaaSh Hm MaShwara Krty
MuhaBat Krny Se PehLy.



Logon Ki Baaton Ko Zara Bhi Nahi Sunti


Logon Ki Baaton Ko Zara Bhi Nahi Sunti
Mera Dil Ab Bhi Kehta Hain Usey Mujh se Mohobbat Hai.

Humain to woh bohat achey lage hain


Humain to woh bohat achey lage hain
Najane hum unhen kese lage hain

To kya yeh par nikalne ka hai mausam
Hawaa main jaal se khulney lage hain

Naye qaatil ka istaqbaal hai kya
Puraney zakham kyon bharney lage hain

Ajab hai yeh talissm hum-zubaani
Paraaye log bhi apne lage hain

Dilon ka bhaid Allah janta hai
Bazaahir aadmi achey lage hain.



Chale gi yeh pareshaani kahan tak


Chale gi yeh pareshaani kahan tak
Bata aye ghar ki veerani kahan tak

Bohat lambi thi ab ke khushk saali
Barastaa ankh se paani kahan tak

Tere tootey huye gajron ke hote
Mehekti raat ki raani kahan tak

Rukey gi kab talak saanson mein khushbu
Urrey ga rang yeh dhaani kahan tak

Khilona hai isey to tootna hai
Karain dil ki nigehbaani kahan tak

Usey baadal bulate hain hamesha
Samandar main rahe paani kahan tak.

Paaon Phelaye To Phir Dekhi Nahi Chadar Hum ne


Paaon Phelaye To Phir Dekhi Nahi Chadar Hum ne
Tujh Ko Chaha To Ouqat Se Bardh Ker Chaha.


Na Husn Pe Behkte Hain Na Jism Ka Nisha Karte Hain Ye Tu Mere


Na Husn Pe Behkte Hain Na Jism Ka Nisha Karte Hain Ye Tu Mere
 Yar Ko Bi Nahi Maaloom Ham Us Ki Kis Ada Pe Marte Hain.

Beti Mujhy Itna Pyaar Na Do Baba Kal Janay Mujhy Nasib Na Ho

Beti

Mujhy Itna Pyaar Na Do Baba
Kal Janay Mujhy Nasib Na Ho

Ye Jo Maatha Chuma Kertay Ho
Kal Is Per Shikan Ajeeb Na Ho

Main Jab Bhi Roti Hoon Baba
Tum Ansu Poncha Kertay Ho

Mujhy Itni Dour Na Chhor Ana
Main Roun Aor Tum Qareeb Na Ho

Meray Naaz Othatay Ho Baba
Mujhy Laad Ludatay Ho Baba

Meri Chhoti Chhoti Khahish Per
Tum Jan Lutatay Ho Baba

Kal Aisa Ho Ek Nagri Main
Main Tanha Tum Ko Yaad Karon

Aor Ro Ro Ker Feryaad Karon
Aye Allah Meray Baba Sa

Koi Pyaar Jtanay Wala Ho
Meray Naaz Othanay Wala Ho

Meray Baba Mujh Se Ehd Karo
Mujhy Tum Chhupa Ker Rakho Gay

Dunya Ki Zalim Nazroon Se
Mujhy Tum Chhupa Ker Rakho Gay

 Baba

Her Dam Aisa Kab Ho Paya Hy
Jo Soch Rahe Ho Meri Noor Tum

Woh Sab Tou Bs Ek Maya Hy
Koi Baap Apni Beti Ko

Kab Janay Se Rook Paya Hy
Sach Kehtay Hain Dunya Walay

Beti Tou Dhan Praya Hy
Gher Gher Ki Yahe Kahani Hy

Dunya Ki Reet Purani Hy
Her Baap Nibhata Aya Hy
Teray Baba Ko Bhi Nibhani Hy.


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...