Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho Jayein

Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho Jayein
Kiun Na Ay Dost Ham Judaa Ho Jayein

TU Bhee Heeray Se Ban Gaya Patthar
Ham Bhee Kal Jaanay Kia Se Kia Ho Jayein

Hum Bhee Majboorion Ka Uzar Karain
Phir Kaheen Aur Mubtala Ho Jayein

Ab Ke Gar TU Milay Tou Ham Tujhse
Aisay Liptain Teri Qabaa Ho Jayein

Bandagi Ham Ne Chhor Di Hai Faraz
Kia Karain Jub Loog Khuda Ho Jayein.

Suno Tumhari Wafa Pe Mujhko Pora Yaqeen Hai


     Suno
Tumhari Wafa Pe Mujhko
Pora Yaqeen Hai

Par Zamane K Waar Ka
Kuch Bharosa Nahi Hai

So Gar Kbhi
Tumhe Mujhse Nafrat Ho Jaye

Aur Meri Rooh Ki Komal Pattiyaan
Tumhe Kisi Babool Ki Manind Chubhne Lagien

To Mujhe Yaad Na Kerna
K Yaado'n Ka Zeher

Zakham Bharne Nahi Deta
Haan Magar Dekho

Kabhi In Raahon Se Nafrat Na Karna
Jin Per Kbhi Hum Ek Saath Chale The

K Raaste To Manzil Ka Pata Dete Hain
Aur Kisi K Qadmon Ki Besabati Se

In Raaston Ka Kya Lena Dena
Kabhi In Rangon Se Nafrat Na Karna

Jo Mujhe Ache Lagte The
K Rang To Ziyaa Bikhairte Hain

Mager Kisi Ki Rooh K Andhere Se
In Rango'n Ka Kya Lena Dena

Kabhi Is Dhun Se Nafrat Na Kerna
Jo Meri Rooh K Taar Jor Deti Thi

K Dhun To Sur Ki Tarteeb Hoti Hai
Aur Kisi Andar Ki Betarteebi Se
Is Dhun Ka Kya Lena Dena.

Khud Numai To Nahein Shaiwa-e-Arbaab-e-Wafa


Khud Numai To Nahein Shaiwa-e-Arbaab-e-Wafa
Jin Ko Jalna Ho Woh Aaraam Say Jal Jatay Hai.




Tere daman ke hawa mangate hain


Tere daman ke hawa mangate hain
Hum bhi jine ke dua mangate hain.

Kaantay ki rug mein bhi hai lahu sabzazaar ka


Kaantay ki rug mein bhi hai lahu sabzazaar ka
Paala howa hai woh bhi nasim-e-bahaar ka.

Meri Muhabatain Bi Ajeeb Thi


Meri Muhabatain Bi Ajeeb Thi
Mera Faiz Bi Tha Kamal Par

Kabi Sab Kuch Mila Bina Talab
Kabi Kuch Na Mila Sawal Par.

Shehar Ke Dukandaro Karobaar-E-Ulfat Mein


Shehar Ke Dukandaro Karobaar-E-Ulfat Mein
Sood Kia Zian Kia Hai Tum Na Jaan Pao Gay

Dil Ke Daam Kitne Hein Khuwab Kitne Mehnge Hein
Aur Naqd-E-Jaan Kia Hai Tum Na Jaan Pao Gay

Koi Kaisay Milta Hai Phool Kaisay Khilta Hai
Aankh Kaisay Jhukti Hai Saans Kaisay Rukti Hai

Kaisay Reh Nikalti Hai Kaisay Baatein Chalti Hai
Shouq Ki Zabaan Kya Hai Tum Na Jaan Pao Gay

Wasl Ka Sukoon Kya Hai Hijr Ka Junoon Kya Hai
Husn Ka Fusoon Kya Hai Ishq Ke Daroon Kya Hai


Tum Mareez-E-Danai Maslihat Ke Shaydai
Raah-E-Gumrahan Kya Hai Tum Na Jaan Pao Gay

Zakhm Kaisay Phaltay Hein Daagh Kaisay Jaltay Hein
Dard Kaisay Hota Hai Koi Kaisay Rota Hai

Ashq Kia Hai Nalay Kia Dasht Kia Hai Chalay Kia
Aah Kia Fughaan Kya Hai Tum Na Jaan Pao Gay

Namuraad Dil Kaisay Subah Shaam Kartay Hein
Kaisay Zinda Rehtay Hein Aur Kaisay Martay Hein

Tum Ko Kab Nazar Aayi Ghamzadoon Ki Tanhai
Zeest Be-Umaan Kia Hai Tum Na Jaan Pao Gay

Janta Hoon Mein Tum Ko Zouq-E-Shaiyri Bhi
Hai Shaksiyat Sayjanay Mein Ik Yeh Mahiri Bhi Hai

Phir Bhi Harf Chuntay Ho Sirf Lafz Suntay Ho
In Ke Darmiyaan Kya Hai Tum Na Jaan Pao Gay.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...