Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Image Poetry, Urdu Image Ghazal, Sad Poetry, Urdu Sad Poetry, Heart Touching Poetry, Pashto Poetry, Pashto Image Poetry, Pashto Sad Poetry, Funny Images, Funny Poetry, etc..
Bohat khamosh reh kr wo sadain mujko deta tha, Urdu Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazal, Heart Touching Ghazal,
Bohat khamosh reh kr wo sadain mujko deta tha
Bary barpoor jazbon ki qabain mujko deta tha,
Kabhi jo dard ki aatish muje sulagnay lagti the
Wo apne saans ki mehki hawain mujko deta tha,
Wo uski chahtain b sari duniya se anokhi the
Reazat khud wo krta tha jazain mujko deta tha,
Mery ehsas k sahraon main jo dhoop barti the
Wo mosam ka khuda ban kr ghatain mujko deta tha,
Usy main ajnabi smjhi magar har mour pe
Wo apny naam ki sari duain mujko deta tha.
Wo Khuwaab Thaa Bikhar Gayaa, Heart Touching Ghazal, Urdu Ghazal, Romantic Poetry, Romantic Ghazal, Romantic Ghazal Poetry, Romantic Pictures, Romantic Sms, Urdu Sms,
Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin,
har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin,
wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin
qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin,
ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake
kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin,
hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein
zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin.

Subscribe to:
Posts (Atom)