Na tujhe chhod sakte hai, tere ho bhi nahi sakte
Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte
Yeh kaisa dard hai pal pal hamhe tarpaye rakhta hai
Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahi sakte
Chhupa sakte hai aur na dikha sakte hai logo ko
Kuch aise daag hai Dil par jo hum dho bhi nahi sakte
Kaha to tha chhod denge yeh nagar phir ruk gaye lekin
Tumhe paa to nahi sakte magar kho bhi nahi sakte
Hamara ek hona bhi nahi mumkin raha ab to
Jeeyen kaise ke tumse door reh bhi nahi sakte.
No comments:
Post a Comment