Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Image Poetry, Urdu Image Ghazal, Sad Poetry, Urdu Sad Poetry, Heart Touching Poetry, Pashto Poetry, Pashto Image Poetry, Pashto Sad Poetry, Funny Images, Funny Poetry, etc..
Pages
▼
Urdu Poetry by Meer Taqi Meer
Meer Taqi Meer
Kya chaal nekali hay k jo daikhay so mar jaye
Bechak koi rah jaye koi jee se guzar jaye ....
Ghazab Hai Tera Naqab Saqi
Ghazab Hai Tera Naqab Saqi
Pila De Mujhko Sharab Saqi
Enhi Ko Chhoony Kee Aarzoo Hai
Ye Hont Hai Ya Gulab Saqi
Suna Hai Tere He Hath Se Hai
Isi Ka Peena Saqi
Hashar Me Kehty Hai Tor Dengy
Ye ap apna Hejab Saqi
Bary Dino Se Piya Ni Hai
Na Mang Mujh Se Hisab Saqi
Ye Maikada Hai Hazar Fitny
Laa Pila Dy Sharab Saqi.
Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Sad Poetry, Sad Love Poetry, Sad Urdu Poetry,
Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,
Tu fikar mand q hai mera dil torr kar
Tu fikar mand q hai mera dil torr kar
Main khud hi ja raha ho tera shehr chor kr
Ab humein tum rokna chaho bhi to kia hasil
Hum na daikhein rukh apna mor kr
Tari muhabat mein khoob lotya hy apna ap
Ab ja raha hon sharer k siwa sub kuch chor kr
Na dena kisi aur ko dhoka muhabat mein
Kia kro gy tum itny dilon ko tor kr kashi
Main khud he ja raha hon tera shehr chor kr.
Heart Touching Urdu Poetry, Sad Urdu Ghazal, Urdu Ghazal,
Urdu Poetry, Urdu Ghazal Poetry, Sad Ghazal, Sad Poetry,
Na tujhe chhod sakte hai,tere ho bhi nahi sakte, Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal,
Na tujhe chhod sakte hai, tere ho bhi nahi sakte
Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte
Yeh kaisa dard hai pal pal hamhe tarpaye rakhta hai
Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahi sakte
Chhupa sakte hai aur na dikha sakte hai logo ko
Kuch aise daag hai Dil par jo hum dho bhi nahi sakte
Kaha to tha chhod denge yeh nagar phir ruk gaye lekin
Tumhe paa to nahi sakte magar kho bhi nahi sakte
Hamara ek hona bhi nahi mumkin raha ab to
Jeeyen kaise ke tumse door reh bhi nahi sakte.
Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry, Urdu Poetry, Urdu Ghazal,
Is Shehar-e-Kharaabi Mein Gham-e-Ishq k Maare
Zindaa Hain Yahi Baat Barri Baat Hai Piyaare
Ye Hanstaa Huwa Chaand Ye Pur-Noor Sitaare
Taabindaa-o-Painda Hain Zarron k Sahaare
Hasrat Hai koi Gunchaa Hamein Piyaar se Dekhey
Armaan hai koi Phool Hamein Dil Se Pukaare
Har Subah Meri Subah Pe Roti Rahi Shabnam
Har Raat Meri Raat Pe Hanste Rahe Taare
Kuch Aur Bhi Hain Kaam Hamein Ay Gham-e-Janaan
Kab Tak Koi Uljhi Huwi Zulfo'n Ko Sanwaare.
Ane wale December Ki Is Sham Mein, December Poetry, Urdu Poetry, Urdu Ghazal,
Ane wale December Ki Is Sham Mein
Chupkay Say Agar Tum Aa Jao
Ye Sham Suhani Ho Jaye
Rangeen Kahani Ho Jaye
Wo Bat Jo Lab Na Keh Sky
Ankhon Ki Zubani Ho Jaye
Koi Pyar Ka Naghma Tum Cherro
Koi Pyar Ka Geet Sunayen Hum
Haan Pyar Karen Youn Hum Dono
Ye Raat Suhani Ho Jaye
Mai Bethun Tere Pehlu Mein
Kuch Dil Ki Baten Ho Jaye
Tum Unglyan Phero Mere Balon Mein
Hum Meethi Neend So Jayen.
Wo Dulhan Ke Roop Mai Khari Thi, Heart Touching Urdu Poetry, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Poetry, Urdu Romantic Poetry,
Wo Dulhan Ke Roop Mai Khari Thi
Par Wo Kisi Or Kelye Saji Thi
Aaj Bhi Uska Roop Wohi Suhana Tha
Jise Mai Dekhta Tha Or Dewana Tha
Usay Pane Ki Justuju Thi Usay Pana Tha
Par Usay Kahan Meri Zindagi Mai Ana Tha
Ankhon mai Ashk Liye Dekhta Reh Gaya
Meri Ankhon se Ashkon ka Tofan Beh Gaya
Wo Dulhan K Roop Mai Khari Thi
Mere Liye Nahi Kisi Or Kelye Saji Thi
Dil Mai Jo Dhak Dhak Ho Rahi Thi
Mere Dil Ki Dharkan Bhi Ro Rahi thi
Pocho Na Mujse Kya Beeti Mujpar Kya seh Raha Tha
Uski Doli Ko Jate Howe Dekh Raha Tha
Wo Dulhan K Roop Mai Khari Thi
Par Wo Kisi Or Kelye Saji Thi.
Payaam Aaye Hain Us Yaar-e-Beparwa K Mujhe, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Sad Ghazal, Sad Urdu Poetry,
Payaam Aaye Hain Us Yaar-e-Beparwa K Mujhe
Jissay Qaraar Na Aaya Kaheen, Bhula K Mujhe
Judaaiyan Hoon To Aisi K Umer Bhar Na Milain
Faraib To Do Zara Silsilay Barha K Mujhe
Nashay Se Kam To Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam
K Le Urra Hai Koi Dosh Per Hawa K Mujhe
Main Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahaan Waalay
Udaas Chorh Gaye Aaina Dikha K Mujhe
Tumhaare Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar
Jo Dekhna Ho To Dekho Nazar Utha K Mujhe.
Khinchi Howi Hai Mere Aansooun Mein Ek Tasveer
Dekh Raha Hai Wo Muskura K Mujhe.
Shikwa hai ab humko apni taqdeer se, Sad Ghazal, Sad Poetry, Sad Urdu Poetry, Sad Urdu Ghazal, Heart Touching Poetry,
Shikwa hai ab humko apni taqdeer se
Logo se ae dil hum kuch kaha nahi karte
Kar lete hai tanhaiyon mein khud se hi baate
Dard apne dil ka kisi se kaha nahi karte
APne afsane k khud hi malik hai hum
APne fasane kisi se kaha nahi karte
Aandhero se hi kar li hai dosti humne
Ujaale ab hume bhaya nahi karte
Dil hi ko bana liya hai faqat apna rafeeq
Sun lete hai sabki apni kisi se kaha nahi karte.
Woh bhi royi hogi meri Yaad mein, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry, Urdu Poetry, Urdu Ghazal,
Woh bhi royi hogi meri Yaad mein
Mujhe bhi aansoo bahaane do
Use kaYi dino se nahi dekha
Mujhe uske pass jaane do
Is chhoti si zindagi mein chahat nahi hogi
Use chahne ke liYe zamaane do
Uski muskaan pe luta du zindagi apni
Uspar lutaane k liYe khazaane do
Haqiqate sab padh le uspar likhi
Ab padhne ke liYe fasaane do
Ek do jaam se ab kaam nahi
Pee jaane ke liYe maY-khaane do
Laag aur Lagav ka farq na jaanti ho kahi
Yeh baat mujhe use samjhaane do
Muqeed kar diya hai tumne mujhko
In aankhon mein to sapne sajaane do
Chalo! aise hi azmaa lo tum mujhko
Aur mujhe usko bhi azmaane do.
Urdu Poetry, Romantic Ghazal, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry,
Main aaina tha, woh mera khayal rakhti thi
Main toot-ta tha to chunkar sambhal rakhti thi
Har ek masle ka hal nikal rakhti thi
Zaheen thi, mujhe herat mein daal rakhti thi
Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha
Woh rokti thi mujhe, kal pe taal rakhti thi
Bas ek woh thi jise zakhm main dikhata tha
Bas ek woh thi keh jo khayal rakhti thi
Woh mere dard ko chunnti thi apni pooron se
Woh mere waste khud ko nidhal rakhti thi
Woh doobne nahi deti thi dukh ke dariya mein
Mere wajood ki naow uchaal rakhti thi
Duain uski balaon ko rok leti thi
Woh mere chaar soo haathon ki dhaal rakhti thi
Ek aisi dhun ki nahi phir kabhi maine suni
Woh munfarid sa hansi mein kamal rakhti thi.
Heart Touching Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Urdu Poetry Pictures, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,
Man ki baate sune har koi, dil ka dard na jaane koun
Awaazo ke bazaaro mein Khamoshi pehchaane koun
Sadiyo sadiyo wahi tamaasha rasta rasta lambi khoye
Lekin jab hum mil jaate hai, kho jaata hai jaane koun
Vo mera aaina hai main uski parachhai hu
Mere hi ghar mein rahta hai, mujh jaisa hi jaane koun
Kirat kirat halka sa suraj, palal palak khulati neendein
Yu hi dil pighal raha hai, zarra-zarra jaane kaun.
Heart Touching Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry, Heart Touching Ghazal,
Kal Raat Jo Kholi Diary Apni
Tou Tum Bht Yaad Aaye
Us Mein Dekhi Jo Teri Baten
Tou Tum Bht Yaad Aye
Tumhari Hansi K Lamhy Qaid Kiye Thy Mai Ny
Unko By-Dhyani Mein Jo Dekha
Tou Tum Bht Yaad Aaye
Log Kehty Hain K Mohabbat, Tanhai, Yaaden
Sab Rasmi Baten Hain
Agar Aysa Mumkin Hai
Tou Phr Tum Ku Mujhe Itna Yaad Aaye?
Maana K Tum Kisi Aur K Ho Gaye
Lekin Meri Yaadon Mein Tum Ab B Ho
Mere Khwabon Ki Saltanat Mein Tum Ab B Ho
Tumhen Bhool Jana Koi Aam c Baat Nhe
Kyun K Meri Zindagi Ka Sarmaya Tum He Ho
In Baton Ko Jb Raat Ko Sochny Lga
Tou Tum Bht Yaad Aaye
Achanak
Aek Titli Mere Pehlu Mein Aa Kar Bethi
Ahsaas Hua, Tum Aaye Ho
Andaaz Tumhary Jesa Tha
Kyun K, Usay Jany Mein Dyr Na Lagi
Us Suhani Raat K Pehlu Mein
Tum He Tum Yaad Aaye.