Tere Naam Ki Thi Jo Roshni Use Khud Hi Tune Bujha Diya
Na Jala Saki Jise Dhoop Use Chandni Ne Jala Diya
Main Hoon Gardishon Mein Ghira Hua Mujhe Aap Apni Khabar Nahi
Wo Jo Shakhs Tha Mera Rehnuma Use Raaston Mein Ganwa Diya
Jise Tune Samjha RaQeeb Tha Wohi Shakhs Tera Naseeb Tha
Tere Hath Ki Wo Lakeer Tha Use Haath Se Hi Mita Diya
Mujhe IshQ Hai Ke Janoon Hai Abhi Faisla Hi Na Ho Saka
Mera Naam Zeenat-E-Dasht Tha Mujhe Aandhiyon Ne Mita Diya
Ye Udasiyon Ka Jamal Hai Ke Hamara Ooj-E-Kamal Hai
Kabhi Zaat Se Bhi Chupa Liya Kabhi Sheher Bahr Ko Bata Diya
Meir Umar Ka Abhi Gulistan Khula Hua Zaroor Hai
Wo Phool Tha Teri Chah Ke Unhe Mausomone Ghira Diya.
No comments:
Post a Comment