Mere Sabar Ka Na Le Imtihaan Meri Khamoshi Ko Saja Na De
Jo Tere Baghair Na Jee Sake Use Jeene Ki To Dua Na De
Tu Azeez Dil-o-nazar Se Hai Tu Qareeb Rag-o-jaan Se Hai
Mere Jism-o-jaan Ka Yeh Faasla Kaheen Waqt Aur Badha Na De
Tujhe Bhool Ke Na Bhula Sakoon Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakoon
Meri Hasraton Ko Shumaar Kar Meri Chahaton Ka Sila Na De
Wo Tarap Jo Shola-e-jaan Mein Thi Mere Tan Badan Se Lipat Gayi
Jo Bujha Sake To Bujha Ise Na Bujha Sake To Hawaa Na De
Tujhe aGar Mile Kabhi Fursatain Meri Shaam Phir Se Sanwaar De
AGar Qatal Karna Hai To Qatal Kar Yoon Judaiyo Ki Sazaa Na De.
No comments:
Post a Comment