Dharti se aasman ko jo naap raha hai
Ho kar khada zameen pe, khud kanp raha hai
Aghosh mein lipta hai naye, saal ka manzar
Honthon pe tabasum hai, jigar kanp raha hai
Ha waqt-e-sehar khawaab yeh, dekha maine
Ek zinda basher apna kafan naap raha hai
Har aankh zamane ki nazar ho gayi logo
Palko ka shamiyana kisse dhaap raha hai
Khanjar bakaf hai mera, masiha mere andar
Kyon zakhm zakhm jism mera, kanp raha hai
Umeed ki kirne kaheen, maadoom hoyi hai
Sooraj bhi kaheen paar-e-ufaq,hanp raha hai.
Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry Pictures, Heart Touching Ghazal,
Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry,
No comments:
Post a Comment