Pages

Best Of Hamza baba,


Hamza baba

Na Me Meena Charta Kary Na Janan Pejanam
Na Me Peghla Yada Kary Na Pezwan Pejanam
Ajiba Ghunde Zalmy Yam Pa Zrra Gham Na Laram
Na Me Tory Zulfy Lagi, Na Arman Pejanam
Zrra Me Mast Dy Da Masty Na Pa Topono Sar DEy
Na Khazan Yama Wahaly Na Hijran Pejanam
Da Janan Muhabbatono Ke His Gata Neshta
Za Muhabbat Ke Khpala MOR Aw0 BABA JAN Pejanam
Na Da Yarai Pa Chal Pohegam Na Me Yari Karre Da
Za Pa Meena Ke Bas Dagha Dwa Kasan Pejanam
Pa Muhabbat Ke Sa Faida Da Rata Ta Owaya?
Za HAMZA Khu Na Kamsay Aw Na Laban Pejanam.

Pashto Ghazal Poetry, Pashto Poetry, Pashto Sad Poetry, Pashto Heart Touching Poetry,


Zra mi radak shi kho da zra da raspardalo sok di
Ta rana lare ye ao nor da hal wayalo sok di
Khalak da khwand da para awri da dardano qeesi
Sada ashna pa ma ao ta da dardedalo sok di
Lewane khor urbal ratol ko pa bale koza shwa
Wayal ye dalta chata porta da katalo sok di
KHATIRA...ta hum lewanae ye che sheerona leeke
Khalak pa zan di da sheerono awredalo sok di.

Mohabbat, Mohabbat Poetry, Sad Mohabbat Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Sad Ghazal, Sad Poetry,


Mohabbat karke yeh dhoka bhi mujhe khana tha
Karke Wafa bhi bewafayi ka ilzam mujhe utthana tha

Hamesha raha main jiske Pyaar ki panahon mein
Aaj uski baahon mein kisi aur ka thikana tha

Zara si baat par hui thi woh khafa mujhse
Kyunki aaj usne mere Pyar ko aazmana tha

Jab kuch na kaha usne to chup raha main bhi
Mujhe bhi thi bahut jaldi usse bhi Ghar ko jaana tha

Mohabbat ka haseen Rishta itne araam se toota
Hui ghalti mujhse Dil mein kisi ko nahi basana tha.

Meri dastan hasrat wo suna suna kar roye, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Sad Poetry, Sad Ghazal, Sad Urdu Poetry,


Meri dastan hasrat wo suna suna kar roye
Mere azmane wale mujhe azma kar roye

Koi aisa ahal-e-dil ho k fasana mohabbat
Main usse suna kar roun wo mujhe suna kar roye

Mere pass se guzar gaya mera haal taak na poocha
Main yeh kaise maan jaun ke wo door jaa kar roye

Teri bewafaiyon par teri kujarayion par
Kabhi sir jhuka kar kabhi muh chhupakar roye

Meri aarzoo ki duniya dil-e-natawan ki hasrat
Jise kho kar shadman the usse aaj paakar roye

Jo sunayi anjuman mein shabe-e-gum ki aap beeti
Kai ro kar muskuraye kayi muskura kar roye.

Meri barbadi ki daastan, Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Sad Ghazal, Sad Poetry, Urdu Poetry,


Meri barbadi ki daastan sunane se pehle
Mujhe itna bata jaate chhod jaane se pehle

Agar koi shikwa tumne mujhse kiya hota
Main tumko mana leta rooth jaane se pehle

Tum khush naseeb ho humne chaha hai tumhain
Warna bahut the humko chahne wale tumse pehle

Kya maloom tha itna tarpayegi judai teri
Dekho tum laut aana yeh jaan jaane se pehle.

Mere Sabar Ka Na Le Imtihaan, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Sad Urdu Ghazal, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry,


Mere Sabar Ka Na Le Imtihaan Meri Khamoshi Ko Saja Na De
Jo Tere Baghair Na Jee Sake Use Jeene Ki To Dua Na De

Tu Azeez Dil-o-nazar Se Hai Tu Qareeb Rag-o-jaan Se Hai
Mere Jism-o-jaan Ka Yeh Faasla Kaheen Waqt Aur Badha Na De

Tujhe Bhool Ke Na Bhula Sakoon Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakoon
Meri Hasraton Ko Shumaar Kar Meri Chahaton Ka Sila Na De

Wo Tarap Jo Shola-e-jaan Mein Thi Mere Tan Badan Se Lipat Gayi
Jo Bujha Sake To Bujha Ise Na Bujha Sake To Hawaa Na De

Tujhe aGar Mile Kabhi Fursatain Meri Shaam Phir Se Sanwaar De
AGar Qatal Karna Hai To Qatal Kar Yoon Judaiyo Ki Sazaa Na De.

Masoom mohabbat ka bus itna fasana hai


Masoom mohabbat ka bus itna fasana hai
Kagaz ki haveli hai,Baarish ka zamaana hai

Kya shart-e-mohabbat hai,Kya shart-e-zamaana hai
Awaz bhi zakhmi hai aur Gaana bhi gaana hai

Uss par utarne ki Umeed bahut kam hai
Kashti bhi purani hai,Tufaan ko bhi aana hai

Samjhe ya na samjhe wo Andaaz mohabbat ke
Ek shaks ko aankho se Ek sher sunana hai

Bholi si ada,Koi fir ishq ki zid par hai
Fir aag ka dariya hai AUR doob ke jaana hai.
Doob ke jaana hai.



Sad Ghazal, Sad Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Poetry, 

Meri Dhadkan Se Dil Ka Dhadkna Mangoge


Meri Dhadkan Se Dil Ka Dhadkna Mangoge
Ek Din Tum Mujhse Mera Pyaar Udhar Mangoge

Main Voh Phool Hu Jo Tere Chaman Se Na Niklega
Apni Veeran Zindagi Ke Liye Bahar Mangoge

Abhi Dekha Hi Kahan Hai Tumne Meri Mohabbat Ka Asar
Tum Mujhe Ulfat Mein Apni Shamo-o- Sahar Mangoge

Behtar Hai Waqt Se Samjhota Kar Lo
Guzre Waqt Se Phir Kaise Apna Hisab Mangoge

Hum Saath The To Meharba Tha Khuda Tujh par
Ab Kisse Tum Ujale Ke Liye Charag Mangoge

Jab Mousme Gul Bhi Tumhe Kar Dega Ruswa
Laut Kar Tum Mujhse Guzri Bahar Mangoge.



Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Sad Poetry, Sad Urdu Poetry,

Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry,


Kitnaa Haseen Hai Hum Dono Ka Rishtaa
Tera Mujh Se Mera Tujh Se Mohabbat Karna.

Romantic Poetry, Romantic Pictures Poetry,


Uuufffff Wo Naram Laboo Ka Dheray Se Kehna
Koe Dekh Na Lain Ab To Galay Se Lagalo Mujhay Apny.

Romantic Ghazal, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry,


Na Tumhe Hosh Rahe Or Na Mujhe Hosh Rahe
Is Qadar Toot Ke Chaho, Mujhe Pagal Kar Do

Tum Hatheli Ko Mere Pyar Ki Mehendi Se Rango
Apni Aankhon Mein Mere Naam Ka Kajal Kar Do

Ishq ke Saaye Mein Mere Khawaab Dhak Uthenge
Mere Chehre Pe Chamakta Huwa Aanchal Kar Do

Dhoop Hi Dhoop Main Hon Toot Ke Barso Mujh Par
Is Qadar Barso,Meri Rooh Mein Jal Thal Kar Do

Jaise Shehero Mein Har Shaam Hawa Chalti Hai
Is Tarah Mujh Mein Chalo Or Mujhe Thal Kar Do

Tum Chupa Lo Mera Dil, Oat Mein Apne Dil Ki
Or Mujhe Meri Nigaaho Se Bhi Aujhal Kar Do

Masala Hoon To Nigahein Na Churao Mujh Se
Apni Chahat Se, Tawajja Se Mujhe Hal Kar Do

Apne Gham Se Kaho Har Waqt Mera Sath Rahe
Ek Ehsaan Karo UsKo Musalsal Kar Do.




Romantic Ghazal, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry, 

Mujhse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine


Mujhse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine
Teri tasveer thi jo tujhse chhupa li maine

Jispe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi
Apne maathe ki woh lakeer mita li maine

Ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu
Teri yaadon se har ek saans saja li maine

Jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha
Bas wohi ek ghazal sabse chhupa li maine.




Sad Ghazal, Sad Image Poetry, Sad Love Poetry, Sad Poetry, 
Sad Urdu Ghazal, Sad Urdu Poetry, 

Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry, Romantic Ghazal,


Mujhko tu apna bana ya na bana teri khushi
Tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai

Mere hisse mein koi jaam na aaye na sahi
Teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai

Dekh kar log mujhe naam tera lete hai
Is pe main khush hoon mohabbat ka yeh anjaam to hai

Woh sitamgar hi sahi dekh ke usko lekin
Shukar is dil-e-bimaar ko aaraam to hai

Tu kahi bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai
Tere haathon ki lakiro mein mera naam to hai.




Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry, 
Romantic Ghazal, Romantic Poetry, Urdu Romantic 

Heart Touching Urdu Poetry, Sad Poetry, Sad Urdu Poetry,


Muddat se mera dil hai ke abaad nahi hai
Honthon par magar aaj bhi fariyaad nahi hai

Aata hai khayaalon mein mere ek hi chahra
Bas iske siwa kuch bhi mujhe yaad nahi hai

Phirte hai sabhi log yaha sehme hue se
Is shahar mein jaise koi azad nahi hai

Dekha hai ujadte hue kitne hi gharo ko
Hai koun jo is ishk mein barbaad nahi hai

Udne ko parinde sabhi par tol rahe hai
Lagta hai chaman mein koi sayad nahi hai

Dil jiski judai mein dhadkta hai saari shaam
Wo aam sa chahra hai pari zaad nahi hai

Ek lehar si uthti hai aaj bhi dil mein
Is lehar ke uthne ka sabab yaad nahi hai.




Heart Touching Urdu Poetry, Urdu Ghazal Poetry, 
Urdu Poetry, Sad Poetry, Sad Urdu Poetry, 

Mil hi jayega kabhi dil ko yaqeen rehta hai


Mil hi jayega kabhi dil ko yaqeen rehta hai
Wo isi shehar ki galiyo mein kahi rehta hai
Jiski saanso se mehakte the daar-o-baam tere
Aey makaan bole kaha ab woh makeen rehta hai
Ek zamana tha k sub ek jagah rehte the
Aur ab koi kahi aur koi kahi rehta hai
Roz milne par bhi lagta tha k jug beet gaye
Ishq mein waqt ka ehsaas nahi rehta hai
Dil farsooda to hua dekh k usko lekin
Umer bhar koun jawan koun haseen rehta hai.



Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Urdu Images Poetry, Heart Touching Ghazal, 

Titli jo ek mujhko mili thi kitaab mein, Heart Touching Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Poetry, Romantic Ghazal, Romantic Poetry,


Titli jo ek mujhko mili thi kitaab mein
Wo apna aks chhod gayi mere khawaab mein

Ab tak woh mere zehen mein uljha sawaal hai
Shaamil rahi jo har ghadi mere nisaab mein

Aankhon mein neend hai na koi khawaab door tak
Rehte hai hum bhi aaj kal waise azaab mein

Milta hai gardisho se gale lag ke chaand bhi
Aaye the simat ke faasle kitne saraab mein

Aakhir meri wafa ka mujhe kya sila mila
Likha na ek harf bhi usne jawaab mein.

Le lo apni bahoon mein mujhey, Romantic Ghazal, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry, Urdu Poetry,


Le lo apni bahoon mein mujhey apni chahat de do
jiss ki tamanaa hey mujhey tum woh rahaat de do

meri ho jo sirf meri mujhey woh aik raat de do
Le lo apni bahoon mein mujhey apni chahat de do.

Kuch Nahi Hai Magar Meri Zindagi Me Tum Ho, Heart Touching Urdu Poetry, Urdu Poetry, Urdu Image Poetry, Heart Touching Poetry,


Kuch Nahi Hai Magar Meri Zindagi Me Tum Ho
Aarzu Just-o-ju Meri Bandagi Me Tum Ho
Bhul Jau Tumhe Ye Sochu Kaise
Meri Har Nazar Meri Har Dua Me Tum Ho JANA.

Mujhe kisi se mohabat nai unke siwaa, Urdu Poetry, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry, Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry,


Mujhe kisi se mohabat nai unke siwaa
Mujhe kisi ki zarurat nai uske siwaa
Meri nazar ko thi talaash jiski
Kisi k pas wo surat nai uske siwaa.

Meri Band Aankho Ka Sacha Khwab Ho Tum


Meri Band Aankho Ka Sacha Khwab Ho Tum
In Tanhaiyon Ke Sawalo Ka Jawab Ho Tum.

Ab To Duniya Bhi Rooth Jaye To Gam Na Hoga
Meri Duniya, Kaynaat, Mera Chand Ho Tum.

Barish Poetry,

Barish ki Duaon main nami Aankh ki mill jaye 
Jazbay ki kabhi itni rafaqat bhi bhoht thi 

Urdu Poetry, Urdu Image Poetry, Best Poetry, 2 Lines Poetry, Heart Touching Poetry, Ishq Poetry, Urdu Shairy,

 Urdu Poetry, Urdu Image Poetry, Best Poetry, 2 Lines Poetry, Heart Touching Poetry, 
 Urdu Poetry, Urdu Image Poetry, Best Poetry, 2 Lines Poetry, Heart Touching Poetry, 

 Urdu Poetry, Urdu Image Poetry, Best Poetry, 2 Lines Poetry, Heart Touching Poetry, 
 Urdu Poetry, Urdu Image Poetry, Best Poetry, 2 Lines Poetry, Heart Touching Poetry, 
 Urdu Poetry, Urdu Image Poetry, Best Poetry, 2 Lines Poetry, Heart Touching Poetry, 
Urdu Poetry, Urdu Image Poetry, Best Poetry, 2 Lines Poetry, Heart Touching Poetry, 

December Poetry, December Images Poetry, December Pictures Poetry, December Poetry Collection, Poetry About December, December Urdu Poetry,

 December Poetry, December Images Poetry, December Pictures Poetry, 
December Poetry Collection, Poetry About December, December Urdu Poetry, 
 December Poetry, December Images Poetry, December Pictures Poetry, 
December Poetry Collection, Poetry About December, December Urdu Poetry,
 December Poetry, December Images Poetry, December Pictures Poetry, 
December Poetry Collection, Poetry About December, December Urdu Poetry,
 December Poetry, December Images Poetry, December Pictures Poetry, 
December Poetry Collection, Poetry About December, December Urdu Poetry,
 December Poetry, December Images Poetry, December Pictures Poetry, 
December Poetry Collection, Poetry About December, December Urdu Poetry,
 December Poetry, December Images Poetry, December Pictures Poetry, 
December Poetry Collection, Poetry About December, December Urdu Poetry,
December Poetry, December Images Poetry, December Pictures Poetry, 
December Poetry Collection, Poetry About December, December Urdu Poetry,

Ane wale December Ki Is Sham Mein, December Poetry,


Ane wale December Ki Is Sham Mein 
Chupkay Say Agar Tum Aa Jao 

Ye Sham Suhani Ho Jaye 
Rangeen Kahani Ho Jaye 

Wo Bat Jo Lab Na Keh Sky 
Ankhon Ki Zubani Ho Jaye 

Koi Pyar Ka Naghma Tum Cherro 
Koi Pyar Ka Geet Sunayen Hum 

Haan Pyar Karen Youn Hum Dono 
Ye Raat Suhani Ho Jaye 

Mai Bethun Tere Pehlu Mein 
Kuch Dil Ki Baten Ho Jaye 

Tum Unglyan Phero Mere Balon Mein 
Hum Meethi Neend So Jayen.




December Poetry, Heart Touching Ghazal, 
Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, 

Wo Dulhan Ke Roop Mai Khari Thi


Wo Dulhan Ke Roop Mai Khari Thi
Par Wo Kisi Or Kelye Saji Thi

Aaj Bhi Uska Roop Wohi Suhana Tha
Jise Mai Dekhta Tha Or Dewana Tha

Usay Pane Ki Justuju Thi Usay Pana Tha 
Par Usay Kahan Meri Zindagi Mai Ana Tha

Ankhon mai Ashk Liye Dekhta Reh Gaya
Meri Ankhon se Ashkon ka Tofan Beh Gaya

Wo Dulhan K Roop Mai Khari Thi
Mere Liye Nahi Kisi Or Kelye Saji Thi 

Dil Mai Jo Dhak Dhak Ho Rahi Thi
Mere Dil Ki Dharkan Bhi Ro Rahi thi

Pocho Na Mujse Kya Beeti Mujpar Kya seh Raha Tha 
Uski Doli Ko Jate Howe Dekh Raha Tha

Wo Dulhan K Roop Mai Khari Thi 
Par Wo Kisi Or Kelye Saji Thi.




Heart Touching Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, 
Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, 

Dharti se aasman ko jo naap raha hai


Dharti se aasman ko jo naap raha hai
Ho kar khada zameen pe, khud kanp raha hai

Aghosh mein lipta hai naye, saal ka manzar
Honthon pe tabasum hai, jigar kanp raha hai

Ha waqt-e-sehar khawaab yeh, dekha maine
Ek zinda basher apna kafan naap raha hai

Har aankh zamane ki nazar ho gayi logo
Palko ka shamiyana kisse dhaap raha hai

Khanjar bakaf hai mera, masiha mere andar
Kyon zakhm zakhm jism mera, kanp raha hai

Umeed ki kirne kaheen, maadoom hoyi hai
Sooraj bhi kaheen paar-e-ufaq,hanp raha hai.





Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry Pictures, Heart Touching Ghazal, 
Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry, 

Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho

Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho
Zindgi kya hai kitaabo ko hata kar dekho

Woh sitara hai chamakne do yoon hi aankhoon mein
Kya zaroori hai isse jism bana kar dekho

Pathro mein bhi zuban hoti hai dil hote hai
Apne gharo ki daro diwaar saja kar dekho

Fasla nazro ka dhoka bhi to ho sakta hai
Woh mile ya na mile haath badha kar dekho.




Urdu Ghazal, Urdu Images Poetry, Urdu Romantic Poetry, 
Heart Touching Urdu Poetry, Heart Touching Poetry, 

Is zindagi mein husn ko nikhaar chahiye


Is zindagi mein husn ko nikhaar chahiye
Ujde hai jo gulshan unhe bahaar chahiye

Deewano ko yeh chahiye had se badhe na woh
Aur aashqo ko dil pe ikhtiyaar chahiye

Unko nahi tasalli ye dil yaar ki taraf
Iqraar ho gaya hai to izhaar chahiye

Sunkar awaaz yaar ki kehte hai machal kar
Kaafi nahi guftaar hi deedaar chahiye

Mohabbat ke liye laazim hai kuch ashyaai khaas bhi
Dil-o-jaan chahiye imaan-o-aitbaar chahiye

Yeh sab to humne paaya magar ek aur khawahish hai
Jo bewafa na ho humhe woh yaar chahiye.



Heart Touching Urdu Poetry, Sad Urdu Ghazal, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, 
Heart Touching Poetry, Heart Touching Poetry, 

Jiska koi haasil nahi aisa ek khawaab dekha tha


Jiska koi haasil nahi aisa ek khawaab dekha tha
Raat haatho mein apne ek mahtab dekha tha

Shab bhar khushi se jaagi rahi hai aankhain
Aaj pehli baar apne liye use betaab dekha tha

Ab ke bahar mein bhi woh zard sa dikhayi diya
Khiza'n rut mein bhi jis chehre ko gulab dekha tha

Jo sab kuch hi bahakar saath le gaya hai mera
Dil ke dariya mein aisa ek sailaab dekha tha

Aaj yoohi chhoti si maat pe roya hai der talak
Ye dil jise baare baare dukhoon par shadab dekha tha

Duniya pooche tere dil ke busti kya huwi Ghazal
Kaha!nahi maloom,ek baar use zair-e-aab dekha tha.




Heart Touching Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Sad Urdu Ghazal, Urdu Ghazal, 
Urdu Ghazal Poetry, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry, 

Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi,


Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi
Apni aankhon mein mere khawaab sajati hogi

Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai
Kabhi to meri bhi socho mein kho jaati hogi

Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai
Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi

Labon par rehti hai wo har pal hansi bankar
Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi

Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein
Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi

Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai
Mere liye apna chain bhi gawanti hogi

Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon
Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti hogi

Jiske liye meri har raat hai karwat karwat
Kabhi to use bhi neend na aati hogi

Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan
Meri chahat ke wo bhi deep jalati hogi

Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir
Meri judaai use bhi yuhi rulati hogi.




Sad Urdu Poetry, Sad Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, 
Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, 

Muqaddar chhod de jisko zamana chhod deta hai


Muqaddar chhod de jisko zamana chhod deta hai
Fizaa mein har parinda aashiyana chhod deta hai

Samajhle lag rahi hai aapki buniyaad mein deemak
Padosi jab kabhi nazrein milana chhod deta hai

Zamaane bhar ki taqreeren asar mujhpar nahi karti
Magar ek lafz tera ek fasaana chhod deta hai

Wo zaalim bewafa harjaai hai magar fir bhi
Nazar milte hi ek manzar suhana chhod deta hai.

Neend mujhe raat bhar aati hai kam

Neend mujhe raat bhar aati hai kam
Shayad macharo ko bhi mil gaya hai sanam

Har pal main sochta hun tumko
Kya karu koi aur kaam jo nahi humko

Mohabbat hai mujhko sirf tumse sanam
Sach keh raha hu main tumhari kasam

Jhoot main agar kahoon to, tu mar jaye
Ae kash mujhko aishwarya mil jaye

Is duniya mein, tumhi sab se haseen ho
Main aur kahoon jhoot kitna, ke tumko yakeen ho

Roz khawaab mein nazar aate ho tum
Kyon mujhe neend mein bhi darate ho tum

Dekho mujhe hai kitna pyar tumse, ab to haa karo
Agar ab bhi hai inkaar to ye letter aage paas karo.

Urdu Poetry, Urdu Sad Poetry,

Lekhna tha Khush hon tere baghair
Aansou magar qalam se pehlay he gir gaye.

Heart Touching Urdu Poetry, Sad Urdu Ghazal, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Best Poetry, Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,


Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain
Rukh hawaaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain
Pehle har cheez thi apni magar ab lagta hai
Apne hi ghar mein kisi doosre ghar ke hum hain
Waqt ke saath hai mitti ka safar sadiyon tak
Kisko maloom kahan ke hain kidhar ke hum hain,
Chalte rehte hain ki chalna hai musafir ka naseeb
Sochte rehte hain ki kis raahguzar ke hum hain
Gintiyon mein hi giney jaate hain har daur mein hum faysal
Har qalamkaar ki benaam khabar ke hum hain.

Aakhri Shaam - Apni Mahobbat Ki, Heart Touching Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,


Aakhri Shaam - Apni Mahobbat Ki

Yaad He Muje Wo Aakhri Shaam.. Apni Mahobbat Ki
Tute Khwab Aur Reh Gayi Tamanna Adhuri Chahat Ki,

Ki Yaad He Muje Rote Hue Usne Mera Hath Thama Tha
Aur Kar Rahi Thi Intezaar Wo Meri Aakhri Izazat Ki,

Najane Kyu Chahkar Bhi Hath Uska Me Chor Na Paaya
Usne Rote Hue Mujse Fir Ek Baar Jane Ki Riwayat Ki,

Chor Diya Hath Mene Uska Aur Fer Liya Nigaaho Ko Apni
Aur Karke Aankhe Band Dil Hi Dil Me Rab Se Sikayat Ki,

Le Liya Baaho Me Usne Muje Fir Ek Baar Aur Kaha Mujse
Yakeen Karna Mene Har Lamha Har Pal Bas Tumse Mahobbat Ki,

Me Ja Rahi Hu Chorkar Tumhe.. Ise Meri Bewafai Mat Samajna
Mujse To Khud Meri Hi Taqdeer Ne Meri Jaan Bagawat Ki,

Dekh Rahe Ho Wo Dubta Hua Suraj.. Dekhlo Fir Ek Baar
Aur Meri Nigaaho Ko Uthakar Usne Suraj Ki Aur Kifayat Ki,

Aur Kehne Lagi

Malum Na Tha Mahobbat Me Hamari Din Ek Ye Bhi Aayega
Ki Har Khwab, Har Lamha Mahobbat Ka Chur Chur Ho Jayega,

Janti Hu Dunia Saari Bewafa Kahegi Mere Yaha Se Jane Ke Baad
Par Yakeen Karna Tum Ye Dil Mera Ye Mahobbat Nibhaayega,

Bas Jate Jate Ek Hi Baat Kahungi Tumse Aye Mere Hamdam.
Ki Aaj Is Dubte Hue Suraj Ke Sath Sath
Meri Khusiyo Ka Suraj Bhi Hamesa Ke Liye Dub Jaayega.

Romantic Ghazal, Romantic Poetry, Urdu Romantic Poetry, Urdu Poetry,


Tere Naam Ki Thi Jo Roshni Use Khud Hi Tune Bujha Diya
Na Jala Saki Jise Dhoop Use Chandni Ne Jala Diya
Main Hoon Gardishon Mein Ghira Hua Mujhe Aap Apni Khabar Nahi
Wo Jo Shakhs Tha Mera Rehnuma Use Raaston Mein Ganwa Diya
Jise Tune Samjha RaQeeb Tha Wohi Shakhs Tera Naseeb Tha
Tere Hath Ki Wo Lakeer Tha Use Haath Se Hi Mita Diya
Mujhe IshQ Hai Ke Janoon Hai Abhi Faisla Hi Na Ho Saka
Mera Naam Zeenat-E-Dasht Tha Mujhe Aandhiyon Ne Mita Diya
Ye Udasiyon Ka Jamal Hai Ke Hamara Ooj-E-Kamal Hai
Kabhi Zaat Se Bhi Chupa Liya Kabhi Sheher Bahr Ko Bata Diya
Meir Umar Ka Abhi Gulistan Khula Hua Zaroor Hai
Wo Phool Tha Teri Chah Ke Unhe Mausomone Ghira Diya.

Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry, Sad Urdu Ghazal, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,


Ghum Sum howa aawaz ka darya tha wo ik shakhs
Pathar bhi naheen ab wo sitara tha jo ik shakhs
Shayd wo bhi koi harf-e-wafa dhoond raha tha
Chehroon ko baray ghor se parta the wo ik shaks
Sehra kee tarah dair se piyasa tha wo shayd
Badal kee tarah toot key barsa tha wo ik shakhs
Ay taiz hawa koi khabar us key janoon kee!
Tanha safr-e-shouq pe nikla tha jo ik shakhs
Ab akhree sitroon main kaheen naam hai us ka
Ahbaba kee feh-rist main pehla tha jo ik shakhs
Hathoon main chhupay hoay phirta hai kai zakham
Sheeshay key khilonon se behilta tha jo ik shakhs
Mur mur key isay dekhna chahain meri akhain
Kuchh door mujay chhornay aaya tha jo ik shakhs
Har zehn main kuchh naqsh-e-wafa chhor ghia hai
Kehnay ko bharay shehr main tanha tha jo ik shakhs
Munkar hai wohee ab meri pehchan ka faysal
Aksar mujay khat khoon se likhta tha jo ik shakhs.

Wasi Shah Poetry, Heart Touching Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Poetry Pictures,


Hijr ka taara doob chala hai,dhalnay lagi hai raat Wasi
Qatra qatra baras rahi hai ashkhon ki barsaat Wasi
Tere baad yeh duniya waalay mujh ko pagal kar dain gay
Khushbu k des mein mujh ko lay chal apnay saath Wasi
Yun hi chup ki mohr laga kar kab tak gum-sum betho gay?
Khamoshi se dum ghut-ta hai, chhairo koi baat Wasi
Aaj tau us ka chehra bhi kuch badla badla lagta hai
Mausam badla, duniya badli, badal gaye haalaat Wasi
Mere ghar khushbu ka yeh raqs ussi k dum se hai
Us k saath chali jaaye gi phoolon ki baaraat Wasi
Chhorr "WASI" ab uski yaadein tujh ko pagal kar dain gi
Tu qatra hai,woh dariya hai,dekh apni auqaat "WASI".