Khird ke pas khabar ke siwa kuch aur nahi
tera ilaj nazar ke siwa kuch aur nahi
har muqam se aage muqam hai tera
hayat zauq-e-safar ke siwa kuch aur nahi
rangon mein gardish-e-khun hai agar to kya hasil
hayat soz-e-jigar ke siwa kuch aur nahi
urus-e-lala munasib nahi hai mujhase hijab
ki main nasim-e-sahar ke siwa kuch aur nahi
jise qasad samajhate hain tajaran-e-firang
wo shay mata-e-hunar ke siwa kcuh aur nahi
giranbaha hai to hifz-e-khudi se hai warna
gohar mein aab-e-gauhar ke siwa kuch aur nahi.
No comments:
Post a Comment