Pages

Ek Diya Dil Mein Jalaana Bhee, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Sadest Ghazal,


Ek Diya Dil Mein Jalaana Bhee, Bujhaa Bhee Dena
Yaad Karna Bhee Usse Roz Bhula Bhee Dena

Kiya Kahoon Ye Meri Chaahat Hai Ke Nafrat Usski
Naam Likhna Bhee Mera, Likh Ke Mitaa Bhee Dena

Phir Na Milne Ko Bichhadta Hun Tujh Se Laikin
Mud Ke Dekhoon To Palatne Ki Duaa Bhee Dena

Khat Bhee Likhna Mayoos Bhee Rehna Uss Se
Jurm Karna Bhee Magar Khud Ko Sazaa Bhee Dena

Mujh Ko Rasmon Ka Takalluf Bhee Ganwaara Laikin
Jee Mein Aaye To Ye Deewaar Gira Bhee Dena

Uss Se Mansoob Bhee Kar Laina Puraane Qisse
Uss Ke Baalon Mein Naya Phool Sajaa Bhee Dena

Soorat-e-Naqsh-e-Qadam, Dasht Mein Rehna Ae Dost
Apne Hone Se Na Hone Ka Pataa Bhee Dena.

No comments:

Post a Comment