Pages

Teri Ankhun K Haseen Jaal Me Aa Jaon Ga Mai, Urdu Ghazal, Love Poetry, Wasi Shah Poetry, Urdu Poetry,


Teri Ankhun K Haseen Jaal Me Aa Jaon Ga Mai
Mujh Ko Lagta Hai Teri Chaal Me Aa Jaon Ga Mai

Zindagi Baad Tere Hona Thi Mushkil Lekin
Ye Na Socha Tha K Is Haal Me Aa Jao Ga Mai

Dekh Kr Us Ko Mujhe Yaad Kre Gi Dunya
Eik Din Us K Khadokhaal Me Aa Jao Ga Mai

Kitne Mosam The Jo De Kr Mujhe Taaney Guzrey
Tum To Kehte They K Ik Saal Me Aa Jaon Ga Mai

Sur Me Aa Jaye Ga Jewan Tere Jane Se
Tere Aane Se Kisi Taal Me Aa Jao Ga Mai.

Eik Masoom Takaddus Me Bhigoya Huwa Lams, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Love Poetry, Wasi Shah Poetry,


Eik Masoom Takaddus Me Bhigoya Huwa Lams
Kitna Pakiza Hay Ehsas Me Dhoya Huwa Lams

Ye Tere Jism Ki Khushbu Ka Sonehra Ehsas
Jis Terha Chand K Haaley Me Paroya Huwa Lams

Us K Hontoon Ko Me Chhu Loon To Gumaan Hota Hay
Jese Jannat K Gulaboon Me Daboya Huwa Lams

Jo Meri Rooh Me Utrey He Chale Jaate Ho
Ik Nae Rang Me Ubhrey Ga Ye Boya Huwa Lams

Bhegi Khusbo Mae Basa, Wasl Me Bhega Bhega
Kitna Masoom Hay Pehlo Me Ye Soya Huwa Lams

Tishnagi Aan Basi Hay Meri Pooroon Me WASI
Dhondta Phirta Hun Muddat Se Main Khoya Huwa Lams.

Samndr C Haseen Ankhen Hmesha Yaad Ayngi, Sad Ghazal, Sad Poetry, Sad Urdu Ghazal, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Wasi Shah Poetry,


Samndr C Haseen Ankhen Hmesha Yaad Ayngi
Mjhe us Shakhs Ki Baaten Hmesha Yaad Ayngi

…Chalo Ye Farz Kr Lete hain Mjh Ko Bhool Jaogi
Magr Meri Kahi Ghazlen Hmesha Yaad Ayngi

Yunhi Dasht-e-Musaft me Gire Jo Tm Kbi Thak Kr
Tjhe Meri Ghani Palken Hmesha Yaad Ayngi

Hawa Jab B Tre Honto Ko Choom Kr Gzre Gi
Meri Bikhri hui Sansen Hmesha Yaad Ayngi.

Dard Kya Hota Hai Bataen Ge Kisi Roz, Sad Ghazal, Sad Love Poetry, Sad Poetry, Sad Urdu Ghazal, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Wasi Shah Poetry,

Dard Kya Hota Hai Bataen Ge Kisi Roz
Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunaen Ge Kisi Roz

Thi Un Ki Zidd K Main Jaun Un Ko Manane
Mujh Ko Ye weham Tha Wo Bulaen Ge Kisi Roz

us Rab ki Qasam Main Ne To Socha Bhi Nahin Tha
Wo Itna Mere Dil Ko Dukhaen Ge Kisi Roz

Her Roz Aayine Se Ye hi Pochta Hoon Main Kya humare liye 
Rukh Pe Tabbassam Bhi Sajaen Ge Kisi Roz

Urrne Do In Parindon Ko Azaad Fiza Mein "WASI"
Tumhare Hon Ge to Lot Hi aaen ge kisi roz.

Sach kahon ga to saza dain gy tery shehr k log, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Best Poetry,

Sach kahon ga to saza dain gy tery shehr k log
Mujko sooli pr charha dain gy tery shehr k log

Baton Baton mein tera zikr krain gy mujh sy
Yun zakhmon ko hawa dain gy tery shehr k log

Aik diwar gira doon bhi to aye jan e ghazal
Nai diwar utha dain gy tery shehr k log

Main ny sadion mein hunsny ka saliqa sikha
Kiya khabar thi rula dain gy tery shehr k log

Main to shama hoon meri umar hi kiya hai
Subha hoty hi bujha dain gy tery shehr k log.

Dil Mere Tu Kis ke Liye Dhadakta Hai, Sad Ghazal, Sad Image Poetry, Sad Love Poetry, Sad Poetry, Sad Urdu Ghazal, Sad Urdu Poetry,

Dil Mere Tu Kis ke Liye Dhadakta Hai
Dil Mere Tu Kis ke Liye Dhadakta Hai

Tere Ehsaaso Ko Kaun Yaha Samajhta Hai
Tu Kyun Kisipe U Marta Hai

Har Koi Is Matlabi Duniya Me Jeeta Hai
Khusi K Liye Kyun Har Pal Tarasta Hai

Yaha Toh Gamh Hi Khubsurat Lagta Hai
Armaano Ko Liye Kyun Machalta Hai

Unko Adhura Rehte Dekh Jeeya Jalta Hai
Tuth Kar Bhi Kyun Tu Sambhalta Hai

Yaha Tuje Phir Bikharna Padhta Hai
Bharosa Kyu Itna Karta Hai

Yaha Har Ghadi Insan Chehra Badalta Hai
Tu Kyun Jaan U Chidakta Hai

Woh To Tera Katil Bana Phirta Hai
Pagal DilTu Kyun Nahi Samajhta Hai

Teri Halat Dekh Har Koi Hasta Hai
Tere Liye Kisika Nafrat Hi Acha Hai
Yaha Toh Pyar Bhi Bahot Sasta Hai.

Mujhe Ye Zidd Nahi Mere Gale Ka Haar Ho Jao, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Love Poetry, Heart Touching Urdu Poetry,

Mujhe Ye Zidd Nahi Mere Gale Ka Haar Ho Jao
Akele saath Dena Tum Jahan Be-Zaar Ho Jao

Bahut Jaldi Samajh Mein Aane Lagte Ho Zamane Ki
Bahut Aasan Ho Thode Bahut Dushwar Ho Jao

Mulakaton Mein Wafa Isliye Hona Zaroori Hai
Ke Tum Ek Din Judayi Ke Liye Taiyar Ho Jao

Main Kaisi Chil-Chilati Dhoop Ke Sehra Se Aaya Hoon
Bas Ab Aisa Karo Tum Saya-E-Deewar Ho Jao

Tumhare Paas Dene Ke Liye Jhuthi Tasalli Ho
Na Aaye Aisa Din Tum Is Kadar Nadar Ho Jao

Tumhe Malum Ho Jayega Kaise Ranj Sehte Hai
Meri Itni Dua Hai Kash Tum Fankar Ho Jao.

Kabi Tum apni Mohabbat ka Aitbaar to do, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Poetry, Love Poetry,

Kabi Tum apni Mohabbat ka Aitbaar to do
Mai chahoon Toot k Tum ko ye Ikhtiyaar to do

Guzarti hi nahi Mujh se ye Zindagi Tanha
Sahara Pyaar ka deker isey guzaar to do

Mai sochta Hoon Tumhare bagair kya hoga
Dil-o-Dimaag per ek Bhoj hai utaar to do

Mere khayal ki Raahon ko Keh-Kishaan kar do
K Roshni se Meri Zindagi Sanwaar to do

Umeed-e-Wafa Ghum-e-Hijar ka Mudawa hai
Mai Intizaar karoon magar Zabt-e-Intizaar to do.

Ghamgeen Shaam, Eid Peotry, Eid Sad Peotry, Eid Poetry for Sad Lovers,

Jis k baghair sham guzri na thi kabhi
Us k baghair EID guzar gai

Mohsin Naqvi, Mohsin Naqvi Poetry, Urdu Poetry By Mohsin Naqvi, Heart Touching Urdu Poetry By Mohsin Naqvi,


Ussne door rehne ka mashwara bhi likha hai
Saath hi muhabbat ka vasta bhi likha hai 
Ussne ye bhi likha hai mere ghar nahin aana
Saaf saaf lafzon mein rasta bhi likha hai
Kuch haroof likhe hain zabt ki naseehat mein
Kuch haroof mein ussne hosla bhi likha hai
Shukriya bhi likha hai dil se yaad karne ka
Dil se dil ka hai kitna faasla bhi likha hai
Kya usse likhen'mohsin'kya usse kahe Mohsin
Jis ne kar ke be-jaan phir jan-e-jaan bhi likha hai.

Bol do dil ki bat hum tera raaz rakhein gae

Bol do dil ki bat hum tera raaz rakhein gae
Keh do aaj har ik baat hum tera raaz rakhein gae
Tum ko hum se chahat hai ya nafrat kiya pata
Kardo apne jazbat ka izhar hum tera raaz rakhein gae
Mat samajhna k tum ko ruswa kareinge zamane mein
Qasam hai hum ko teri yar hum tera raaz rakhein gae
Mat ghabrao zamane ki uljanon se
Bataa do aaj har ik raaz hum tera raaz rakhein gae.

Zameen ki fitrat, Ansuoo Poetry, Urdu Poetry, Urdu Sad Poetry, Ansuoo ka Samandar,



Ye zameen ki fitrat hai ky har cheez ko jazab kr laiti hai
Warna tere yaad mai mere ansuoo ka alag he samundar hota.

Raqeeb ye shondi khkolave za ye da lasa nesam, Pashto Shairy, Romantic Pashto Poetry, Pashto Poetry, Raqeeb Poetry,

Raqeeb ye shondi khkolave za ye da lasa nesam
Raqeeb ta khandi mata waye che bangre mategee.

Khalaq doulat ghwarri, shohrat ghwarri, Izzat ghwarri

Khalaq doulat ghwarri, shohrat ghwarri, Izzat ghwarri
Ma da Pokhtoon janan da yaow nazar arman karre de.

Urdu Ghazal, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Hamraz Ka Rang, New Urdu Ghazal,


Yun Saja Chand k jhalka Tery Andaz ka Rang
Yon Faza Mehki k badla Mery Hamraz ka Rang
Saya-e-Chasham me Heran Rukhh-e-Roshan ka Jamal
Surkhhi-e-Labb me Pareshan Teri Aawaz ka Rang
Be'Piye hun k Agar Lutaf kro Aakhhir-e-Shab
Shesha-e-Mae me dahaly Suba'h k Aaghaz ka Rang
Ching-o-Ney Rang pe thy, Apny Lahoo k Damm se
Dill ne Ley badli to Madham hua hr Saaz ka Rang
Ek Sukhan aur k phir Rang-e-Takallum Tera
Harf-e-Saada ko Enayat kary Ai'jaaz ka Rang.

Aankho Ke Saamne Kal Jo Aapka Rumaal Aa Gaya


Aankho Ke Saamne Kal Jo Aapka Rumaal Aa Gaya
Kaise Miloon Phir Aapse Ye Phir Sawaal Aa Gaya

Uutth To Gaye Hi The Kadam Aapke Ghar Ki Taraf
Magar Dil Ko Aapki Dee Kasam Ka Khyaal Aa Gaya

Faraz Poetry, Faraz Urdu Poetry, Faraz Images Poetry, Urdu Poetry, Heart touching Poetry,

Suna hay zindagi imtehan laythi hay Faraz
Par yaha tu imtehano ne Zindagi lay li

Aarzoo, Aarzoo Poetry, Aarzo ye nahi k gham ka tuooan mett jaye,

Aarzoo ye nahi k ghum ka toofan tal jaye
Fikar ye hai k tumhara dil na badal jaye,
Kabhi bhi mujh ko agr bhoolna chaho tum
Dard itna dena k mera dam nikal jaye.

Heart Touching Poetry, Urdu Images Poetry, Heart Touching Ghazal, Romantic Ghazal, Romantic Poetry,


Wo Hasna aur Hasana
Wo Rona or Rulana
Wo krna dhair sari baten
Wo Roothna or Manana
Pani pe k jo bach jaye wo dost pe Girana,
Wo Mushkil mein Sath Nibhana
Wo Preshani me Hosla Barhana
Likh likh k krna baten
Wo kohni mar k bulana
Kbi Roothny pe Sorry krna kbi zid pe arr jana
Har bar dena last warning aur phir se man jana
BS Tum Aisy he SATH NIBHANA".

Itna dard ap ki shayari mai kis ne dala hy, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry,


Itna dard ap ki shayari mai kis ne dala hy
Wo bewafa kon hy jis ne ap ko dil sa nikala hy
Aise ashaar na maine sune or na parhe
Hume bhi apna dost bna lo ap ka kon sa kch bigarne wala hy.

Meri Har Dua Tumhare Liye Hai Jaan-E-Zindagi,


Meri Har Dua Tumhare Liye Hai Jaan-E-Zindagi
Yeh Jo Ham Mei Tum Mein Hai Rabta
Khuda Kare Ye Sada Rahe
Yeh Charagh Hai To Jala Rahe
Yeh Phool Hai To Khila Rahe
Tu Jaha Rahe Khush Rahe
Tere Sath Meri Dua Rahe
Tu Dua Kare To Qabool Ho
Wafa Kare To Wasool Ho
Koi Gam Na Tere Qareeb Ho
Teri Zindagi Khushi Se Bhari Rahe
Tu Jaha Chale Saba Chale
Tu Jahan Ruke Bahaar Ho
Jis Taraf Bhi Uthe Teri Nazar
Wahin Mousam-E-Gull Sadaa Rahe.

Urdu Poetry,


Taghaful Se To Behter Tha Humein Tum Zehr Dey Detey
Humara Naaam Ho Jata, Tumhara Kaaam Ho Jata.

Dil ki Halat, Udasiyon ki raat, Urdu Poetry, Urdu Picture Poetry,

Us raat ki udasiyon se pochon hamare dil ki halat
Jab tumhari yaad aati hay aur bhi gehray hojatay hay.

Tumhe Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dil se Bojh Utaar Do

Tumhe Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dil se Bojh Utaar Do
Main Bahut Dino Se Udaas Hoon Mujhe Ek Shaam Udhaar Do

Mujhe Apne Roop Ki Dhoop Do K Chamak Sake Mere Khad-o-khal
Mujhe Apne Rang Mein Rang Do Mera Sara Zang Utaar Do

Kisi Aur Ko Mere Haal Se Koi Gharz Hai  Na Hi Wasta
Mere Dil pe Haath Rakho Zara  Meri Dhadkano Ko Qaraar Do

Tumhe Subah Kaisi Lagi Kaho Meri Khwahishon Ke Dayaar Ki
Jo Bhali Lage To Yehi Raho Ise Chahaton Se Nikhaar Do

Wahan Ghar Pe Kaun Hai Muntazir K Ho Fikr Der Sawer Ki
Badi Mukhtasir Si Ye Raat Hai esse Chandni Mein Guzaar Do

Koi Baat Karni Hai Chand Se Kisi Shakhsaar Ki Aout Mein
Mujhe Raaste Mein Yahin Kahin Kisi Kunj-E-Gul Mein Utaar Do.

Kal Chodhween Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera



Kal Chodhween Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera
Kuch Nay Kaha Yeh Chaand Hai Kuch Nay Kaha Chehra Tera

Hum Bhi Wahen Mojood Thay Hum Say Bhi Sab Poocha Kiye
Hum Hans Diye Hum Chup Rahay Manzoor Tha Pardaa Tera

Is Shehr Mai Kis Say Milen Hum Say To Chootein Mehfilein
Har Shakhs Tera Naam Lay Har Shakhs Deewaana Tera

Koochay Ko Teray Chor Kar Jogi Hi Ban Jayen Magar
Jungal Teray Parbat Teray Basti Teri Sehraa Tera

Hum Aur Rasm-e-Bandagi Aashuftagi Uftaadgi
Ahsaan Hai Kiya Kiya Tera Ae Husn-e-BeParwah Tera

Do Ashk Janay Kis Liye Palkon Pay Aa K Tik Gaye
Altaf Ki Barish Teri Ikraam Ka Dariya Tera

Ae Be’Daraigh-o-BeAmaan Hum Nay Kabhi Ki Hai Faghan
Hum Ko Teri Wehshat Sahi Hum Ko Sahi Saudaa Tera

Hum Par Yeh Sakhti Ki Nazar Hum Hain Faqeer-e-Raah-Guzr
Rasta Kabhi Rokaa Tera Daman Kabhi Thaama Tera

Haan Haan Teri Surat Haseen Lekin Tu Aesa Bhi Nahin
Is Shakhs Ke Ashaar Say Shohraa Hua Kiya Kiya Tera

BeDard Sunni Ho To Chal Kehta Hai Kiya Achi Ghazal
Ashiq Tera Ruswa Tera Shair Tera INSHA Tera.