Taqdeer k qalam se tu bach na payega
Paishani pe jo likha hay wo paish ayega
chahne se kabi aarzu ke phool na khile
khushi ke char din bhi zindagi me na mile
dekhye ye piyar bi kitnaa majboor hai
manzil ke pas aa ke bi manzil se door hai
ek nazar bhar ke bi na tu dekh payega
Taqdeer k qalam se tu bach na payega
qismat banaa koi kisi ko pa ni sake
aur piyar ko seene se laga nahi sake
milne se pahle hi yahaa dil toot jaate hai
safar se pahle hi hamsafar cchut jate hai
Taqdeer tujh pe hase gi tu ro na payega
Taqdeer k qalam se tu bach na payega.
No comments:
Post a Comment