Nafraton ke gher tum thordo
muhabbat ki pannah main aajao
hai bas char dinki zindagani
hasi khusi aise guzarlo
na socho kisi ke liye kuch galat
sabke dil tum jeet lo
gham ki raat ka itna gham na ker
her pal ko gale se laga lo
mila ke hathse hath mita do yeh dooriyan
khusiyan hi tum sab main bato
murdo ki tarha jeeke kya keroge
dosro ke dukh dard ko apna samjho
rakh khuda pe barosa woh teri hai sunta
khud ko kabhi akela na samjho
miti mein miljana hai her cheez ko yahan
zindagi rakz kare iss tarha jeeyo.
No comments:
Post a Comment