Meri Aankho ki piyas ko kaash samjhta koi
Mere Dil ki aas ko kaash samjhta koi
Phoolon k badly kanto ki chubhan shahi mein ne
In kanto ki chubhan ko kaash samjhta koi
Mein ne akser deep jalaye thy rahon mein uski
Un deepon ki roshni ko kaash samjhta koi
Sitaro ki bheed mei chand ki tarah tanha rehny lagy hum
Hamary iss Tanha Rehny ko kaash samjhta koi
Khiza mein patton ki tarah toot k Bikherny Lagy hum
hamry toot k bikherny ko kaash samjhta koi
Be mosem k badlon ki tarah beresny lagi ye aankhien
In aakho k beresny ko kaash samjhta koi
Mere Ashiya ka Derwaza ab b uski rah takta hai
Is derwazy ki raah takny ko kaash samjhta koi
Bicher gia ik bhianak tofan ki tarah wo mujhse
Iss tofan k bicherny ko kaash samjhta koi.
No comments:
Post a Comment