Pages

Mousam badal raha hay apna khayal rakhna ae dost

Mousam badal raha hay apna khayal rakhna ae dost
Kyon k badalte mousam aur badalte log bhoht takleef da hote hay.

Urdu Poetry, Urdu Image Poetry, Urdu Images Poetry,

Har naimat dastiyab thi dunya jahan ki 
Lakin us ki kami ka azala na ho saka.

Urdu Poetry, Urdu Images Poetry, Urdu Image Poehetry, Sad Urdu Poetry,

Us ka maayar abhi mujh ser juda hay lakin
Wo bhi bhekray ga tu hojaye ga mere jaisa.

Urdu Poetry,

Laow kaha se judai ka hosala!!!
Kyon es qadar tum mere qareeb aagaye.

Taqdeer k qalam se tu bach na payega

Taqdeer k qalam se tu bach na payega
Paishani pe jo likha hay wo paish ayega 
chahne se kabi aarzu ke phool na khile
khushi ke char din bhi zindagi me na mile
dekhye ye piyar bi kitnaa majboor hai
manzil ke pas aa ke bi manzil se door hai
ek nazar bhar ke bi na tu dekh payega
Taqdeer k qalam se tu bach na payega
qismat banaa koi kisi ko pa ni sake
aur piyar ko seene se laga nahi sake
milne se pahle hi yahaa dil toot jaate hai
safar se pahle hi hamsafar cchut jate hai
Taqdeer tujh pe hase gi tu ro na payega 
Taqdeer k qalam se tu bach na payega.

Ab tu mumkin he nahi un se mulaqat WASI

Ab tu mumkin he nahi un se mulaqat WASI
Ab tu urooj pe pahunchi hai us ki zaat WASI
Wohi wady hain aur rasmon ki zanjeeren baqi
Kb badalti hain zamany ki riwayaat WASI
Ek wo din thy k ek doosrey ko sochty thy hum
Ab miltey nahi dono k khayalat WASI
Meri hr subah ka aaghaz tere naam se ho
Teri yadoon myn katti meri hr ek raat WASI
Tum kahan aur mere piyar ka miyar kahan
Wo kitni saadgi se kar gaya ye baat WASI.

Sta da ratlo ao da dedan pa tama

Sta da ratlo ao da dedan pa tama 
Zama da jwand hara lamha terigi
Makham me sta khwaga yadona mal she 
Pa shogero bandi me shpa terige
Zma pa gheg ke che Ashna oweni
Pa raqeeb khwar bandi lamba terigi
Che da ratlo wade kri maate Ashna
Pa ma da marg naray khwala terigi
Imdada zra me pa topono sar she
Kala che zenga pa kosa terigi.

Koi afsaana koi baat purani likhty

Koi afsaana koi baat purani likhty
Itni fursat hi na thi apni kahani likhty
Teri umeed k sahil sey jury hoty agar
Mere sehra, tery darya ki rawani likhty
Kuch kitaaboon main tery phool chupaya karty
Apne takiye pe teri koi nishani likhty
Dil ka Aangan teri khushbo sy mehkta shab bhar
Hum muhabbat sy tujhe raat ki kahani likhty.

December Poetry, Urdu Poetry, Urdu Heart TOuching Poetry,

Ane wale December Ki Is Sham Mein
Chupkay Say Agar Tum Aa Jao
Ye Sham Suhani Ho Jaye
Rangeen Kahani Ho Jaye
Wo Bat Jo Lab Na Keh Sky
Ankhon Ki Zubani Ho Jaye
Koi Pyar Ka Naghma Tum Cherro
Koi Pyar Ka Geet Sunayen Hum
Haan Pyar Karen Youn Hum Dono
Ye Raat Suhani Ho Jaye
Mai Bethun Tere Pehlu Mein
Kuch Dil Ki Baten Ho Jaye
Tum Unglyan Phero Mere Balon Mein
Hum Meethi Neend So Jayen.

Kaheen ISHQ ki dekhi Ibtida

Kaheen ISHQ ki dekhi Ibtida
Kaheen ISHQ ki dekhi Intiha
Kaheen ISHQ Sooli pe Charh gaya
Kaheen ISHQ ka Nezay pe Sir gaya
Kaheen ISHQ sajday mein gir gaya
Kaheen ISHQ Sajday se phir gaya
Kaheen ISHQ dars-e-wafa bana
Kaheen ISHQ husn-e-ada bana
Kaheen ISHQ nay sanp say daswa diya
Kaheen ISHQ ne namaz ko Qaza kiya
Kaheen ISHQ saif-e Khuda bana
Kaheen ISHQ sher-e-Khuda bana
Kaheen ISHQ Toor pay deedar hai
Kaheen ISHQ zibah ko tayyar hai
Kaheen ISHQ nay behka diya
Kaheen ISHQ ne Shah-e-Misr bana diya
Kaheen ISHQ ankhon ka Noor hai
Kaheen ISHQ Koh-e-Toor hai
Kaheen ISHQ 'tu hi tu' hua
kaheen ISHQ ALLAH Hoo hua.

Har Shakhs Ki Qismat Main Nahi Pyar Ka Mosam

Har Shakhs Ki Qismat Main Nahi Pyar Ka Mosam
Har Shakhs Ko Duniya Main Mohabbat Nahi Milti
Har Shakhs Muqaddar Ka Sikanddar Nahi Hota
Har Shakhs K Lafzon Ko AQeedat Nahi Milti
Wo Khuwab Kabhi Khuwab Ka Darja Nahi Pata
Jis Khuwab Ko Tabeer Ki Nemat Nahi Milti
Tu Merey Muqaddar Ka Tamasha Na Bana
Har Shakhs Ko Mangney Se To Ghurbat Nahi Milti
Us Shakhs Ki Ulfat Main Giraftar Hai Yeh DiL
Jis Shakhs Ko Merey Liye Fursat Nahi Milti.

Ujrhy howy Dasht K Baasi

Yeh Rooh Piyasi Humein wirsy main mili Hai
Dukh Dard sy Sadiyon Ka ta'luQ Hy Hmara
Aankhon Ki Udaasi Humen wirsy main mili Hy
Jaan dena Rivayyat Hy KabeeLey Ki Hmari
Yeh Surkh Libaasi Humein wirsy main mili Hy
Jo Baat Bhi Kehty Hain uter Jati Hy diL main
Taseer Juda Si Humein wirsey main mili Hy
Jo Haath Bhi Thaama Hy Sdaa Saath Raha Hy
EHBAAB Shanasi Humein wirsy main mili Hy.

Mera Wajood Sirf Meri Mohabbat Se Hai


Mera Wajood Sirf Meri Mohabbat Se Hai
Mujhe Ghuroor Bohat Apni Mohabbat Pe Hai
Ki Hai Tujh Se Mohabbat Mene Bepanah
Or Meri Zindagi Ka Sukoon Sirf Meri Mohabbat Se Hai
Mujhe Chahate Honge Or Bhi Log Bohat
Magar Mujh Ko Mohabbat Sirf Apni Mohabbat Se Hai.

Mohabat khawab hoti hay

Mohabat khawab hoti hay
Mohabat baat hoti hay
Ager koi pooch bethey to
mohabat raaz hoti hay
Machalti hui umangon ka
sohana saath hoti hay
Ager koi dhondna chahy to
mohabat nayab hoti hay
Mohabat yun b hoti hay
kurbay zaat hoti hay
Mohabat phool hai shayid
Ghamon ki dhool hai shaid
Ksi ka saath hai shaid
Chamakti raat hai shaid
Mohabat pur skøøn b hay
Mager
Betaab hoti hay.

Zindagi kya hai dhuaa hi toh hain

Zindagi kya hai dhuaa hi toh hain
Jo na chaha kabhi wahi toh hua hain
Unke pahlu mei hona toh haasil nahi
Kya hua hain agar jo chua hi toh hain
Humse pucha ye ishq hain bala kon si
Haske bole wo ye ek khuda hi toh hain
Humse pucha sawal-e-talab usne ‘Neer
Hum to bole ye ishq ek gunah hi to hai
Raate kat ti nahi Din gujarte nahi
Aur kya hai ye bolo saja hi toh hai.

Mohabbat Maqsad Hai Zindagi Ka

Mohabbat Maqsad Hai Zindagi Ka
Mohabbat Muqaddar Hai Har Kisi Ka
Mohabbat Pakiza Naam Hai
Mohabbat Har Khushi Ka Paigham Hai
Mohabbat To Rehmat Hai
Mohabbat To Chahat Hai
Mohabbat PyaR Ishq oR Lagan Hai
Mohabbat Me Har Shaks Magan Hai
Mohabbat Me Zindagi Kho Jati Hai
Mohabbat Haar Hai
Mohabbat Jeet Hai
Mohabbat Hi Dil Ka Sachcha Meet Hai
Mohabbat Phoolon Ko Hui Kanton Se
Mohabbat Palkon Ko Hui Aankhon Se
Mohabbat Chand Ko Hui Chandni Se
Mohabbat R00h Ko Dui Ragini Se
Mohabbat Subha Ki Pehli KiRaN Dai
Mohabbat Do Dilon Ka Milan Hai
Mohabbat Hi Manzil Hai
Mohabbat Hi Mera Dil Hai
Mohabbat Majboori Hai
Mohabbat Kamzori Hai
Mohabbat Hi Taqat Hai
Mohabbat Hi Ibadat Hai

Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon

Usey Main Bhool Jana Chahta Hoon
Suno! Main Muskurana Chahta Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon
Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahta Hoon
Woh Sab Tohfey
Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahta Hoon
Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahta Hoon.

Urdu Poetry,

Abhi abhi toh mile ho
Abhi na karo chootne ki baat
Abhi abhi toh pasand aaye ho
Abhi abhi rootne ki baat
Abhi abhi toh roshni aayi
Abhi na karo muh chupane ki baat
Abhi abhi zindagi shuru hai
Abhi abhi tham jaane ki baat
Hum toh haare mahiya re
Moonde naina neend tihare 
Teri baazoo mein meri chahate samaaye
Teri dhadkanon ko meri dhadkane sunaye
Teri khwahishon se meri khwahishe riha hai
Teri karwato se meri daastan bayaan hai
Kya sukoon kya junoon
Hum nawa?
Abhi abhi dil ki suni hai
Abhi na karo zamane ki baat
Abhi abhi baat rukhi hai
Abhi abhi dohrane ki baat
Abhi abhi aawargi aayi
Abhi na karo sambhalne ki baat
Abhi abhi zindagi shuru hai..
Abhi abhi tham jaane ki baat
Woh subah toh bewaja ho
Ki guzare bin tumhare jis ki raat
Teri baazoo mein meri chahate samaahe
Teri dhadkanon ko meri dhadkane sunaye
Teri khwahishon se meri khwahishe rahi hai
Teri karwato se meri daastan bayaan hai
Kya sukoon kya junoon
Hum nawa?
Hum toh haare mahiya re
Moonde naina neend tihare 

HATHO KI IN LAKEERO SAY APNAY GILA NAHI

HATHO KI IN LAKEERO SAY APNAY GILA NAHI
THA DIL KI DHARKANO MAIN JO MUJH KO MILA NAHI
CHAHA THA US KO TOOT KAY DIL KA FAREEB THA
LAIKIN HAQEEQATO MAIN KISSI KA NASEEB THA
TANHAYOO KO DIL MAIN BASAYA HAY IS LYEE
CHAHAT KAY RASTOO PAY KOI SANG CHALA NAHI
HATHOO KI IN LAKEERO PAY
DIL UTH CHUKA HAY NAA MOHABAT SAY ABH YAHAN
CHAIN O QARAR DHONDNY JAOON TO MAIN KAHAN
DIL KI ZAMEEN SAY FASL E BAHARAN GUZR GAEE
IK PHOOL BHI TO PYAR KA IS PER KHILA NAHI
HATHO KI IN LAKEERO PAY
DIL TAAR TAAR ZAKHMO SAY HOTA CHALA GAYA
ZAKHMO KO HANSTY DEKH KAY ROOTA CHALA GAYA
KEHNAY KO TO NASEEM NAY LIKHA HAY DARD KO
LAIKIN FAREEB KHUD KO DYA KUCH LIKHA NAHI
HATHO KI IN LAKEERO SAY APNAY GILA NAHI
THA DIL KI DHARKANO MAIN JO MUJH KO MILA NAHI.

Tere Youn Chor Jane Ka Ghum Ni Hai Mujhe

Tere Youn Chor Jane Ka Ghum Ni Hai Mujhe
Han Hai Tu Khud Pe Bharosa Hai Mujhe
Teri Nazaron Se Gir Giya Hon Shayad
Per Mitta Ni Hon Tere Dil Ki Geharai Se
Hai Yaqeen Mujhe
Thi Kuch Meri Khataa Jo Mujh Se Biyaan Na Hui
Kuch Or Tou Sumjhi
Main Tu Tere Raste Ka Aik Mor Tha Na K Manzil
Tha Pata Mujhe
Janta Hon Tou Meri Koi Ni
 Or Tere Liye Bi Main Kuch Ni Han Kuch Ni
Per Hai Tou Sath
Na Jane Kyun Mil Jata Hai
Ye Soch Kar Sakon Mujhe
Tujhe Sochon Ga Tujhe Chahon Ga
 Bass Tujh Ko Hi Mangon Ga
Nazim Ko Kuch Or Ni Chahiye Teri Is Duniya Se
Bana’na Hai Tu Aye Khuda Bass Ussi Ka Bana De Mujhe.

Dil main wafa ki hai talab

Dil main wafa ki hai talab
Lab py sawal b nahi
Hum hain hasar-e-dard men
Us ko khayal b nahi  Itna hai us sy rabta
Chaon se jitna dhoop ka
Gar ye nahi hai hijr to
phr ye wisal b nahi
Wo jo ANA PARAST hai
main b WAFA PARAST hun
Us ki misal b nahi
meri misal b nahi
Us ko zuban de chukay
dil ka jahan de chukay
Ehd-e-wafa ko torr dain apni mijal b nahi
Us se kaho k 2 gharri hum sy wo aa milay kabhi 
Mana k ye muhal hai itna muhal b nahi.

Is benam rishte ko nibha jao kisi din

Is benam rishte ko nibha jao kisi din
Jo mile fursat to pass aao kisi din
Milta hai sabhi ko sab kuch ye suna hai
mujhe to faqat tum hi mil jao kisi din
Barso ke pyar ko yuhi bhula baithe ho
Muj ko bhi aisa hunar sikha jao ek din
Muqaddar me jo likha hai kabhi naa milega
Fursat mile to dil ko ye baat samja jao kisi din.

Tum beshak le lo jaan meri

Tum beshak le lo jaan meri
Be-chaiin rakho din raat mujhe
Tarsaya karo, tarpaya karo
Chahe milne bhi na aaya karo
Darshan bhi na do
Aur vaade bhi na poore karo
Chahe qaid rakho tum khwabon mein
Din raat rakho azabon mein
Meri aankhon ko purnam kar do
Aur zindgi pekar-e-gham kar do
Lekin jaana meri dukhti rag na chhua karo
Tujhe Meri Kasam 
Mujh se naraz na hua karo
Mujh se naraz na hua karo.

Kiss Tarhaa Ke Waqt Se Ulljh Gaye Hain Hum

Kiss Tarhaa Ke Waqt Se Ulljh Gaye Hain Hum
Rafta Rafta Dukhon Ko Bardashat Karte Karte
Dukhi Ho Gaye Hain Hum 
Kab Hai Asaan Is Waqt Ke Sath Chalna
Kitni Mushkil Main Jakray Gaye Hain Hum 
Ansu' Dard' Takleef Ki Shiddat Be Intihaa
Ab Tu Khud Se Bi Be Parwaa Ho Gaye Hain Hum
Mujhe Nafrat Se Youn Dekheine Walon
Matt Garor Karo
Nazim Aisa Nehin
Magar Ab Zindagi Ki Bezariyon Se
Tang Ho Gaye Hain Hum
Apni Saasein Bi Ab Rukti Si Jati Hain Dard Se
Dil Mein Tu Tum Ho 
Magar Ab Or Jaan Baqi Nehin
Be Jaan Ho Gaye Hain Hum
Nazim Main Kyun Kar Gilla Karon
Kisi Se Apne Halaat Ka
Hai Meri Hi Qismat Ka Chakar 
Par Ab Afsurda Ho Gaye Hain Hum. 

Kabhi aankh se jo gira nahi

Kabhi aankh se jo gira nahi
Main wo ashk hun,Mere Dosto
Mera zabt hey meri zindagi
So main kya kahoon, Mere Dosto
Main to aik harf-e-sawal hun 
main to aik mouj-e-khayal hun
Wo sunay to arz-e-wafa karoon
Kahay to bahun mere dosto
Tumhi meri ronaq-e-sheher thay
Meri jaan thay,maani-e-dehr thay
Mera aas paas ujard gya
Main kahan rahoon mere dosti
Wo jo phool hain jo charagh hain
Mere naam k wo tumhain milain
Ye jo zakhm hain ye jo dagh hain
Inhain main sahun 
Mere dosto Kahien jeet kar tumhain kho na doon
Tu shikast apni hi maan loon
Mere zarf ka hey ye faisla
K main chup rahoon mere dosto.

Ma We Che Khpal Day Kho Pa Khpalo Ke Praday Khkarege

Ma We Che Khpal Day Kho Pa Khpalo Ke Praday Khkarege
Aw Janan Me Gul Day Kho Pa Gulo Ke Azghay Khkarege
La Ye Zamonga Da Jazbato Ehsasato Qadar Na Day Kare
Os Hum Che Warsho Rata Trew Ye Tanday Khkarege
La Da Khaist Charche Ye Os Hum Kor Pa Kor Kege
Chata Khkula Chata Ye Stargi Lewanay Khkarege
Aw Qadar Zmonga Da Ehsas Ba Warta Sanga Oshe
Sok Warta Sar Pa Laas Olar Aw Sok Zargay Khkarege.

Ghani Khan, Ghani Khan Poetry, Ghani Khan Pashto Poetry, Pahto Heart Touching Poetry By Ghani Khan, Ghani Khan The Great Poetry,

Na Pa Hussan Na Pa Naaz Aw Ada Kegi
Mena Zrra Ke Wi Da Zrra Pa Raza Kegi
Kha Pohegam Che Sta Zrra Hum Meena Ghwarri
Kho Sta Makh Na Me Da Stargo Haya Kegi
Lewani Na Yo Da Mene Talabgar Yo
Wali Mong Pore Da Hr Cha Khanda Kegi
Che Pa Zrra Ke Da Janan Mena Rikhtya V
Pa Badal Da Wafa Hala Wafa Kegi
Da Saba Neta Che Kala Janan Rakrri
Hagha Shpa Pa Ma Bya Kala Saba Kegi
A Ghani Ta Nor Sa Ghwari Da Khudaya
Sta Jarra Sara Janan Pa Jarra Kegi.

Sta da dostay hagha Iqrar sa sho


Sta da dostay hagha Iqrar sa sho ?
Sta da Jundoon hagha Yaadgar sa sho ?
Mong khu wayel che tar Qyamata ba u
Da Malgirtya hagha Bazaar sa sho ?
Teek da che za kho pa chaman ki nast yem
Khafa pa di yam che Maalyar sa sho ? 
Mong khu ba hara wraz yaw bal ta katal
Os da chutay hagha Itwar sa sho ?
Dostay khu shta khu da dunya dosti da
Hagha da Rab da raza Yaar sa sho?.

Che Meena Na lari Nazar Na lari

Che Meena Na lari Nazar Na lari
Laka Che Sok Da Khpal Kor Wr Na lari
Peghla Ba Vi Kho Pukhtana Ba Na Vi
Che Pa Khpal Sar Bandy Sadar Na lari
KHUDYA Pa Km Saf Ke De Odrawalm
Sar Ke Hagha Dy Che Sok Sar Na lari
Monga Da Wraze Hom Deeve Blawoo
Zamong Da Barkhey Asmaan Nwar Na lari.

Rasha poey me ka pa mina


Rasha poey me ka pa mina
Krra khabra rata spina
Waya waya mina sa da
6 da bada ao ka kha da
Rasha ghwag onisa mata
6 nan haal owayam tata
Chala mina u janat shi
Chala jorr u musibat shi
Da cha jorra zindagi shi
Sok akhta pa zalalat shi
Sok pa mina k badsha shi
Sok faqir ao sok gada shi
Sok pa sro stargo jarregi
Da cha tol umar khanda shi
Rahman wai mina kha da
A malgro bada na da
Kho ekhlas 6 pa k na v
Dagha mina mina na da.

Yehi Wafa Ka Sila Hai To Koi Baat Nahi

Yehi Wafa Ka Sila Hai To Koi Baat Nahi
Yeh Dard Tu Nay Diya Hay To Koi Baat Nahi
Yahi Bohat Hay K Tum Dekhti Ho Sahil Se
K Safena Dhoob Raha Hay To Koi Baat Nahi
Rakha Tha Aina-E-Dil Main Choopa Ka Tum Ko
Wo Ghar Choor Diya Hay To Koi Baat Nahi
Tum Nay Hi Aina Dil Mara Banaya Tha
Tum Nay Hi Toor Dia Hay To Koi Baat Nahi
Bilakhar Zeesat K Kabal Bana Hoon
Bari Moshkal Se Pathar Dil Bana Hoon
Wo Aay Hain Sarapa-E- Jesim Ban Kar
Main Ghabra K Mujasma-E-Dil Bana Hoon
Jahan Maqtool Hi Theray Hain Mujram
Yahi Kuch Soch K Katal Bana Hoon
Bara Mohtat Hon Tari Mahfil Main
Tari Janib Se So Gafil Bana Hoon
Main Kha Kar Thookrain Tari Ghali Ki
Bra Murshad Bara Kamil Bana Hoon
Koi Samjhay Ga Kiya Mujko
Main Khod Apnay Liye Mushkal Bana Hoon.

Wo Saath Rehtay They Toh Kehtay Thay

Wo Saath Rehtay They Toh Kehtay Thay
Hum Mein Kahin Judai Na Par Jaye
Ab Wo Pass Say Aisay Guzrtay Hain k
Un Par HUmari Parchayi Na Par Jaye.

Teri Wafa K Takazay Badal Gaye Warna

Teri Wafa K Takazay Badal Gaye Warna
Mujhay Tu Aaj Bhi Tum Say Aziz Koi Nahi.

Zindagi Jaisay Ek Sazaa Si Ho Gayi Hai

Zindagi Jaisay Ek Sazaa Si Ho Gayi Hai
Gham K Sagar Mein Kuch Is Kadar Kho Gayi Hai
Tum Aa Jao Wapis Yeh Guzaarish Hai Meri
Shayad Mujhay Tumhaari Aadat Si Ho Gayi Hai.

Bohat Nazar Andaz Kernay Lagey Ho Mujhay

Bohat Nazar Andaz Kernay Lagey Ho Mujhay
Baaz Aa Jao Warna Inhi Nazro Say Dhundtay Reh Jao Gay.

Dooriyan Bhi, Chahtain Bhi, Rafaqatain Bhi

Dooriyan Bhi, Chahtain Bhi, Rafaqatain Bhi 
Kuch Beetay Dino Ka Ehsas Bhi Bohat Tha
Kuch Mujhay Bhi Thi Apni Anna Aziz
Kuch Tumhain Bhi Riwaiyton Ka Pass Bohat Tha.

Kitna Door Nikal Gaye Ristey Nibhatey Nibatey

Kitna Door Nikal Gaye Ristey Nibhatey Nibatey
Khud Ko Kho Diya Humnay Apno Ko Patey Patey
Log Kahtey Hain Dard Hai Mere Dil Mein
Aur Hum Thak Gaye Muskuratey Muskuratey.

Main Sochta Hoon,

Main Sochta Hoon, Ager Ho Jaye Mujhay Janab-E-Ziarat
Laoun Ga Main Kaha Say Tere Miyaar Ki Aankhain.

Wasi Shah, Wasi Shah Poetry, Wasi Shah Urud Poetry,

Hum Haseen Honay Ka Dawa Tu Nahi Kartey Wasi
Magar Haan! Jisay Ankh Bhar Kar Dekh Lain
Usay Uljhan Mein Daal Detey Hain.

Is Qadar Toot K Tum Pay Hamein Pyaar Aata Hai

Is Qadar Toot K Tum Pay Hamein Pyaar Aata Hai
Apni Banhon Mein Bharain Maar Hi Dalain Tum Ko.

Asman Per Urtay Howey Parinday Say Kisi Nay Poocha

Asman Per Urtay Howey Parinday Say Kisi Nay Poocha
Kya Tumhain Zameen Per Ghirnay Ka Dar Nahi?
Us Nay Muskura Ker Jawab Diya
Main Insan Nahi Jo Zara Si Bhulandi Per Ja Ker Akharr Jaoun
Nazrain Meri Zameen Per Hi Hoti Hain.

Da zulam jam ba di naskor shi nor mi ma tangawa

Da zulam jam ba di naskor shi nor mi ma tangawa
Da khpal khayest ba darta aor shi nor mi ma tangawa
Da malangano da azara bazar 6a mondaly
Jowand ba di sam da megi kor shi nor mi ma tangawa
Zama da meni ao kholos na inkari janana
Tata ba hum mina peghor shi nor mi ma tangawa
Za kho TANHA yam tanhayaye sara adat yam ashna
Hasi na zra mi darna tor shi nor mi ma tangawa.

Hairan Hain Hum Is Muhabbat Ki Karamat Pay

Hairan Hain Hum Is Muhabbat Ki Karamat Pay
Dard Na Qabil-e-Bardaasht,Zindagi Phir Bhi Rawaa Dawaa.

Ik Roop K Sagar Me Nahati Rhi AANKHEN

Ik Roop K Sagar Me Nahati Rhi AANKHEN
Kuch Khwab Mere DiL Me Sajati Rhi AANKHEN,

Yado K Darichy Pe Wo Deti Rhi Dastak
Kal Raat Bohat Mujh Ko Satati Rahi AANKHEN,

Palkon Se Tapakne Na Dia EK Bhi Ansoo
Ye Rasam-E-Muhabbat Bhi Nibhati Rhi AANKHEN.

Main roya nahi rulaya gaya hon

Main roya nahi rulaya gaya hon
Bana kar pasand phir tukhraya gaya hon,

Chhor diya gaya taqdeer k sahary
Pyar k naam pe jalaya gaya hon,

Bohat hi narm-o-nazuk tha mizaj apna
Jeety ji khak me milaya gaya hon,

Mareez-e-muhbat ko gulab raas kahan
Hamesha k liye kanto par sulaya gaya hon,

Be mout na marta to kya karta
Bhari dunya me yun sataya gaya hon,

Kabhi jo palkon pe naaz uthaty thy MOHSIN
Aaj usi nazar se giraya gaya hon.

Dukh drd ki brsaat ne pagal bana dia

Dukh drd ki brsaat ne pagal bana dia
Tanha samaj k raat ne pagal bana dia,

Shikwa nahi kisi se kisi se gila nahi
Mujko mere halat ne pagal bana dia,

Ye b nahi k un se milein bar bar hum
Bus ik mulakat ne pagal bana dia,

Kehta hai wo hr baat pe pagal to nahi Ap
Mujko to isi baat ne pagal bana dia.

Hum ko lota hai usi sheher ne aye jan-e-wafa


Hum ko lota hai usi sheher ne aye jan-e-wafa
Jis ki galiyon mein mohabbat ka kuch hisab na tha,

Woh jo rehty thy mere sath hamesha din bhar
Unke mazhab mein wafaon ka koi baab na tha,

Wo jo ankhon mein mohabbat ko liye phirtay they
Unke dil mein thi woh nafrat, k kuch hisab na tha,

Mene jisko bhi musebat men maseeha jana
Jo dia usne bara us se kuch azaab na tha,

Mujhy khayal tha yeh log mere apne hain
Magar, wahan pe to aysa koi rewaaj na tha.

Hum se wafa k baray main jo chaho poochh lo

Hum se wafa k baray main jo chaho poochh lo
Lekin wafa ki kya hai saza ye na poochna,

Rah-e-wafa main hum par jo guzri wo pooch lo
Manzil par kya hua salook ye na poochna,

Chahat ki dastan to hai zaati mamla
Tora hai kis ne ehd-e-wafa ye na poochna,

Rastay main kon kon mila pooch shok se
Kis kis ka sath chhoot gaya ye na poochna,

Kya hum ne zindgi ko diya ye sab ko hai khabar
Kya zindgi ne hum ko dia ye na poochna.

Chalo Jazba-e-Dil azma k dekhty hain

Chalo Jazba-e-Dil azma k dekhty hain
Khuwab uski aankho mein saja k dekhty hain
na jany kyun wo humy aapna aapna lagta hai
Dil k aangan mein jab usy saja k dekhty hain
Suna hai jo mangy dil se wo mil k rehta hai
Chalo ab mojzy apni dua k dekhty haain
Jab b likhta hon koi lafz uske naam k baad
Sare lafz mujhe muskura k dekhte hain
wo nibhaye ya na nibhaye
Hum to gee jaan se uss se nibha k dekhty hain
Dhool reh jati hai faqt aankh mein
Doston ko jab aazma k dekhty hain.

Kabhi aa jao tum pal bher ko

Kabhi aa jao tum pal bher ko
Mujhe tumse batien kerni hain
Kuch gham k geet sunany hain
Kuch raaz hain jo batany hain
Kuch Dil ko yaar behlana hai
Kuch Zakham hain jo dikhany hain
Kuch dik se yadien dhoni hain
Kuch natay naye banany hain
Ji shair likhy hain teri furkat mea
Kuch shair tumhen wo sunany hain
Kuch dard sunany hain dil k
Kuch oiyari batien kerni hain
Kabhi aa jao tum pal bher ko
Mujhe tumse batien kerni hain

Kaha uss ne bharosa dil pe itna nahi kerty

Kaha uss ne bharosa dil pe itna nahi kerty
Kaha mein ne mohabbat mein kabhi socha nahi kerty
Kaha uss ne Bohat Khush Rang Duniya k nazary hain
Kaha mein ne jab tum ho to hum kuch dekha nahi kerty
Kaha Uss ne mea tumse Door hon lakin tumhara hon
Kaha mein ne Sapny Dil ko behlaya nahi kerty
Kaha Uss ne Tumhari Chahat tumhein Ruswaiyan de gi
Kaha mein ne Sohrat se Ghabraya nahi kerty
Kaha Uss ne "Samjh Jao Samjh Jao Ay Mere Dost"
Kaha mein ne doston ko Samjhaya nahi kerty.

Meri Aankho ki piyas ko kaash samjhta koi

Meri Aankho ki piyas ko kaash samjhta koi
Mere Dil ki aas ko kaash samjhta koi
Phoolon k badly kanto ki chubhan shahi mein ne
In kanto ki chubhan ko kaash samjhta koi
Mein ne akser deep jalaye thy rahon mein uski
Un deepon ki roshni ko kaash samjhta koi
Sitaro ki bheed mei chand ki tarah tanha rehny lagy hum
Hamary iss Tanha Rehny ko kaash samjhta koi
Khiza mein patton ki tarah toot k Bikherny Lagy hum
hamry toot k bikherny ko kaash samjhta koi
Be mosem k badlon ki tarah beresny lagi ye aankhien
In aakho k beresny ko kaash samjhta koi
Mere Ashiya ka Derwaza ab b uski rah takta hai
Is derwazy ki raah takny ko kaash samjhta koi
Bicher gia ik bhianak tofan ki tarah wo mujhse
Iss tofan k bicherny ko kaash samjhta koi.

Yahan sabko mily pyar yeh zarori to nahi hai

Yahan sabko mily pyar yeh zarori to nahi hai
Ho Kismat pe Ikhtiyar ye Zarori to nahi hai
Dard dil mein agar ho to Rooh Roti hai
Aankhien Royn zaar zaar ye zarori to nahi hai
Phoolon ki chuban se daman huwa chalni
Ho uss mein koi ghar Ye zarori to nahi hai
Jo her ghari khaty hain sang merny ki kasmein
Ho sang jeeny ko tiyar ye zarori to nahi hai
Umeed mein jiski teri palkein hui pathar
Usy ho tera intizar ye zarori to nahi hai
Yakeen kerke jisko apni zindgi banaon
Usy tujhpar atibar ye zarori to nahi hai
Beth ker rona khoob badnaseebi per apni
Ziist se ho sab bezar ye zarori to nahi hai.

Aagaz mein ne kia tha Tum ikhtatam ker do

Aagaz mein ne kia tha Tum ikhtatam ker do
Jab chaho mere jazbo ko benam ker do
Baat agar zerf ki hai to youn ker lo
Tum jeet jao haar mere naam ker do
Meri hansi k gulab meri mushkurahut k kanwal lelo
Apny gham apny sare aanso mere naam ker do
Saahil dekh ker kis soch mein perr gaye ho
Aagy berh jao mujhe sapurf-e-mouj-e-hawadis kerdo
Musafat hai kathin Maznil hai door
Jo ho manzooor Apna saath mere naam ker do.

Ajab kashmakash k rasty hain

Ajab kashmakash k rasty hain
Barhi kathin ye musafitien hain
Mein jiski rahon mea bich giye hon
Usi ko mujh se shikayetien hain
Shikiyetien sab baja hain lakin
Mein kesy usko yakeen dilaon?
Usko bhoolon to mar jaon
Mein iss khamoshi k imthihan mein
kahan kahan seguzer giye hon
usy khabar bhi nahi hai shayad
Mein dheeray dheeray bikher gai hon.

Aj k baad her aik cheez badal jaye ge

Aj k baad her aik cheez badal jaye ge
Teri ulfat bhi mere dil se nikal jaye ge
Doobta deka raha tha mein aik muddat se
Ab ye kashti teri yadon ki sanbhel jaye ge
Wo jo kerta hai pyar ki batien akser
Uski aadat hai ye adat b badel jaye ge
Ishq perwana hai jel jaye ga mer jaye ga
Pyar ki shama bhi aik roz pigel jaye ge
Aj tanha hoon tere gham mea teri furqat mein
Wasal ki jab na rahi ye b shab dhal jaye ge
Kuch ghamo k liye Hai zaher b Dawa
Zindgi mout ki bahon mea behal jaye gee.

Tooty huy khuabon mein haqiqat dhoondta tha

Tooty huy khuabon mein haqiqat dhoondta tha
Pather k dilon mein mohabbat dhoondta tha
Naadan hoon mein ab tak ye b nahi samjha
Bejaan but-toun mein Ulfat dhoondta tha
Mere Jazbaat ki kimet yaah kuch b nahi
Jhoot k bazaron mein sachaie fhoondta tha
Iss Ajnabhi duniya mein koi b apna nahi
Gairon ki aankho mein apni suret dhoondta tha
Umeed ki thi Pyar kiBas yehi bhool thi meri
Girty huy asnkhon mein apni hasret dhoondta tha.

Jany wale meri her soch mein shamil rehna

Jany wale meri her soch mein shamil rehna
Jaisay ab pass ho youn hee mujhe hasil rehna
Chaahatien aur bhi behrti hain bicher jany se
Tum mere ho to issi baat k qayel rehna
Her nai rut mein mujhe behjna apni khushbu
Teri khushbu k bina lagta hai muskil rehna
Rishni ben ker uter aana meri raton mein
Aber ben ker kabhi suraj k muqabil rehna
Phool behjeon ge tumhe behty huwy pani mein
Ho saky tum se to ja ker labe sahil rehna.

Hum tumse Shook-e-Mulaqat nahi rekhty magar

Hum tumse Shook-e-Mulaqat nahi rekhty magar
Mily Koi aur tumse ye acha nahi lagta
Hum tumhe chahty b nahi mager
Chahe koi aur tumhe ye acha nahi lagta
Tere Kafley mea chalne ki aarzu nahi mager
Chale koi aur saath tere yeh acha nahi lagta
Dedaar tera shayad pasand nahi humien magar
Dekhy koi aur tumhe ye acha nahi lagta
Nafret hai mohabbat hai adawat hai malom nahi
Kisi aur ko bataen ye acha nahi lagta

Rakhy KHUDA ne doo rasty mujhe aazmany k liye

Rakhy KHUDA ne doo rasty mujhe aazmany k liye
Wo chor de mujhe ya mein chor do usy zamany k liye
Kaisy maang lon RAB se usy bhool jany ki dua
Haath uthty nahi hain dua mein usy bhool jany k liye
Nahi ki zindgi mein meany koi bhi naiki
Per perhdi hain chup ke kuch Namazien usy pany k liye.

Kabhi nazerien milany mein Zamany beet jaty hain

Kabhi nazerien milany mein Zamany beet jaty hain
Kabhi Nazerien churany mein zamany bet jaty hain
Kisi ki aankh b khulti hai to sone ki nagri mein
Kisi ko ghar banany mein zamany beet jaty hain
Kabhi ghar se nukelty hi nazar aa jati hai maznil
Labhi manzil ko pany mein zamany beet jaty hain
Jinhy hum bhool jaty hain wo kyun ker yaad aaty hain
Unhain phir se bhoolany mein zamany beet jaty hain
Kabhi aik pal braber ben k sadiyan beet jati hain
Kabhi aik pal bitany mein zamany beet jaty hain.

Mein be-karar tha sajdy mein iltija ben ker

Mein be-karar tha sajdy mein iltija ben ker
Wo mere samny behta raha khuda ben ker
Wafa k naam se nafret c ho giye hai mujhko
Jo ho saky to milo tum b bewafa ben ker
wo aik shaks jo pather bana gia hai mujhe
Wo khud b Jee Raha Hai Mager Saza ben ker.

Aesa Nahi K Shaks Acha Nahi Hai Wo

Aesa Nahi K Shaks Acha Nahi Hai Wo
Jesa MEin Ne Socha Tha Wesa NAhi Hai Wo
Takhleeq Aasamaan Pe Wo MEre Liye Hua Hai
Mana K Iss Zameen Pe Wo MEra Nahi HAi WO.

Kahan Mumkin Tha Mein Dilse Teri yadain Mita Deta

Kahan Mumkin Tha Mein Dilse Teri yadain Mita Deta
Bhala Kesy Mein Jeeta Phir Agar Tujh Ko Bhula Deta
Teri Ruswai K der Se Labon Ko Si Lia Werna
Tere Sehhar-E-Munafiq Ki Mein Bunyadain Hila Deta
Ki Tarq-E-Wafa Usne To Hogi Uski Koi Majbori
Jisy Berson DUA di Thi Usey Bud-DUa Kia Deta.

Ab Mohabbat Ki Wakalat Nahi Ki Ja Sakti

Ab Mohabbat Ki Wakalat Nahi Ki Ja Sakti
Shehar Bher Se To Adawat Nahi Ki Ja Sakti
Mera Chehra Meri Aankhain hain Salamat Ab bhi
Kon Kehta HAi Wazahat Nahi Ki Ja Sakti
Baat Ye Hai K Koi Toot K Chahye To Sahi
Her Kisi Se To Mohabbat Nahi Ki Ja Sakti.

Piyas Aesi K Pee Jaon Aankain uski

Piyas Aesi K Pee Jaon Aankain uski
Naseeb Aesa K moyasar Zehar B Nahi
Be-Los Wafain Koi Hum Se Seekey
Jisey Toot K Chaha Usey Khabar Nahi

Dhoop Ho Chaon Ho Tum Sath Nibhaya Karna

Dhoop Ho Chaon Ho Tum Sath Nibhaya Karna
Mere Chehre Pe Sada Palko Ka Saya Karna
Raah Daikhon Gi Tumhari Mai Sar-e-sham Yonhi
Kabhi Jaldi Kabhi Dair Se Aya Karna
Daant Lena Sir-e-Mehfil Koi Bat Nahi
Phir Akele Mei Galay Laga Ker Manaya Karna
Jan Jaon Gi Mai Khushbo Se Tumhri Tum Ko
Tum Peechey Se Meri Ankhon ko Chupaya Karna
Jagna Chaho Tu Rat Bhar Baaten Karna
Neend Aa jaye Tu Seene Per Sulaya Karna.

Hum toot k bikhre hain itnay k tujhe kya khabr

Hum toot k bikhre hain itnay k tujhe kya khabr
Zindagi gawa k ji rahay hain tujhay kya khabr
To apni kushiyon mein magan hai es kadr
Hum tanhaiyon ko pee rahey hain tujhe kya khabar
Tu apni jeet pe nazaan hai es kadar
Hum ne haar kar bhi tujhe jeeta tujhe kya khabr
Tere saath guzrey lamhat ki yaad main
Raat din tarap rahey hain tujhe kya khabr
Teri yaadon ki aaghoosh me kho kar
Hum to khud ko hi bhool gaye hain tujhe kya khabr.

Barish ki rimjhim me Aa tujhy pagal bana don

Barish ki rimjhim me Aa tujhy pagal bana don
Apne pyar ki aag me tera tan man jala don
Tujh ko chupa lon bahon me
Kia hota he pyar ye tujh ko bata don
Teri ankhon me apna chehra basa lon
Tere bheege honton se apni pyas bhuja lon
Tere badan se karon ghanto sharraten
Or tujhy khud se begana bana don
Pyar k bister pe me tujh ko lita don
Tere jism ko aag e ishq se garma don
Apne pyar ki had me tujh ko samjha don
Sab se chura kar tujhy apna bana lon.

Mil Kr B Us Sy Hasrat-E-Mulaqat Reh Gyi

Mil Kr B Us Sy Hasrat-E-Mulaqat Reh Gyi
Baadal To Gehry Aye Thay Barsat Reh Gyi
Wo Aaj Yun Mila K Hamein Janta Na Ho
Lab To Mere Khuly Thay Mgr Baat Reh Gyi
Main Haar K B Khush Hon k wo Jeet To Gya
Qismat Men Meri Maat Thi So Maat Reh Gyi
Daman Mein Kya Rakha Hai Es K Siwa Bs
Bakhshy Jo uss Ny Zakhm Wo Soghat Reh Gyi
Kya Kya Badal Rahay Hain Yahan Mousam Khabar Nhi
DiL K Nagar Mein Raat Thi So Raat reh Gyi.

Karb chehray se maah-o-saal ka dhoya jaaye


Karb chehray se maah-o-saal ka dhoya jaaye
Aaj fursat se kaheen baith k roya jaaye
Phir kisi nazm ki tamheed uthaai jaaye
Phir kisi jism ko lafzon men samoya jaaye
Kuch to ho raat ki sarhad men utarnay ki saza
Garm sooraj ko sammundar men daboya jaaye
Itni jaldi to badaltay nahi hongay chehray
Gard aalood hain aaeenay inhain dhoya jaaye
Maut se khof zada jeenay se Bay-zaar hain log
Aisay aalam men hansa jaaye k roya jaaye.

Labon pe phool khiltay hain


Labon pe phool khiltay hain kisi ke naam se pahle
Dilon ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle

Kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahin pata
Kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle

Yahi taare tumhaari aankh ki chilman mein rehte the
Yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle

Hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
Ab in ko kis tarah rokain nawaah-e-daam se pahle

Ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
Ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle

Huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyatan ham
Sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle.

Hes Me Onaledal Pa Ishq Ke Nakamay Na Baghair


Hes Me Onaledal Pa Ishq Ke Nakamay Na Baghair
Har Ranga Dard Me Pa Zra Ter Kro Khushalay Na Baghair

Da Lewano Nam Rata Khpala Zindagi Bada Shwa
Hes Che Me Ranghlal Jolai Ta Badnamay Na Baghair

Da Ishq Dardono Rala Dase Adat Kary De Zra
Che Pa Ahono Bandy Sar De Bemaray Na Baghair

Pa Imdad Khiyal Bandy Yo Shpa Laka Da Kaal Tera She
Che Be Ashna Kala Oda Shi Shairay Na Baghair.

Da pa ghusa ghusa katal che kave


Da pa ghusa ghusa katal che kave
Da pa banoo bande vishtal che kave,

Da yo adat me darke khwakh na sholo
Da pa zulfano k taral che kave,

Yo khog takur me pa zargi olage
Da ta pa meene k kanzal che kave,

Da they azab na hum khabar yeah ko na
Dagha pa stargo k wajal che kave.

Na jaane Dhoondte ho kia Meri veeran aankhon main


Na jaane Dhoondte ho kia Meri veeran aankhon main
Chupa rakhe hain Hum ne to kayi toofan aankho me
Kahan wo shokhiyaan pehle si. ab kuch bhi nahi baqi
Chaley Aaye ho Tum kiya khojne be-jaan aankhon main
Kisi ka hath le kar haat main jub wo miley Hum se
Tu kaise toot k bikhra tha mera maan aankho me
Na samjho chup hain Hum to us se koi shikwa nahi
Hum apne dard ki rakhte nahi pehchaan aankhon mein.

Suna hoga bohat Tum ne


Suna hoga bohat Tum ne
kahin aankhon ki rim jhim ka
kahin palkon ki shabnam ka
parha hoga bohat tumne
kahin lehjay ki barish ka
kahin sagar ke aansoo ka
magar tum ne kabhi humdam
kahin daikhay? kahin parkhay
kisi tehreer ke aansoo
mujhe teri judaai ne
yehi mairaaj bakhshi hai
ke main jo lafz likhta hoon
woh saray lafz rotay hain
ke main jo harf bunta hoon
woh saray bain kartay hain
mere sang is judaai main
mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain
meri tehreer ki lekin
kabhi koi nahin sunta
mere alfaz ki siski
falak bhi jo hila daalay
mere lafzoN main hain shamil
usi taseer ke aansoo
kabhi daikho mere humdam.

DR Iqbal Poetry, Iqbal Poetry, Allama Iqbal, Allama Iqbal Poetry, Iqbal Urdu Poetry, Iqbal Picture Poetry, Urdu Poetry by Allama Iqbal,




Iqbal Poetry, Allama Iqbal, Allama Iqbal Poetry, Iqbal Urdu Poetry, 
Iqbal Picture Poetry, Urdu Poetry by Allama Iqbal,

Iqbal Poetry, Allama Iqbal, Allama Iqbal Poetry, Iqbal Urdu Poetry, Iqbal Picture Poetry, Urdu Poetry by Allama Iqbal,






Iqbal Poetry, Allama Iqbal, Allama Iqbal Poetry, Iqbal Urdu Poetry, 
Iqbal Picture Poetry, Urdu Poetry by Allama Iqbal,

Mujhe bekhudi ki hai arzo


Mujhe bekhudi ki hai arzo
Mujhe qurbaton ka khumar de
To jo rug rug mein bus gaya
Tu hai dorion ka jawaz kia
Meri zindagi mery pas aa
Meri bekhudi ko qarar dy
Hai nazar nazar teri justajo
Tu meri wafa ki hy aabro
Kabhi youn bhi ho mery rubaru
Mujy jan sy hi guzar dy
Mujy iss tarah sy tu yaad aa
Teri yaad ko bhi guman na ho
Tu mery khiyal mae youn sama
Mera herf herf nikhar dy.

Hir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko


Hir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko

Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko

Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko

Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko

Uoon to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko

Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maot nay piyar say pehloo main bithaya mujh ko

Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko

kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko.

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa


Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa

Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa

Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham
tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa

kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa

ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa

ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden
ye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa.


Ek aarzu thi teri bahon me dum nikale


Ek aarzu thi teri bahon me dum nikale
Kasur tera nahin, badnasib hum nikle,

Jahan bhi jae khush rahe tu sadaa
Dil se mere dua yahi nikle,

Mere honto ki hansi tere honto se nikle
Tere gam ka dayra meri aankhon se nikle,

Ye zindagi sadaa tumhari hasti hue nikle
Agar chahe to hamein rulati hui nikle,

Agar zindagi me kabhi jina pade tere bin
Teri maut se pahle janaza mera nikle.

Bohot rouye hei teri judai mei hum

 
Bohot roye hay teri judai mei hum
Ab tooth kar sambhalne ka hoshla bhi nahi rakhtein

Kaha se lai who din talsh kar ke
Ke shabhe tanhai mei jalnei ka hoshla bhi nahi rakhtei

Bohot hum nei tujhe socha hei lekin
Vafadaar nahi tho bewafai ka hoshla bhi nahi rakhtei

Hum se esei na janei kya khata hoi
Maaf kartei hei maafi mangnei ka hoshla bhi nahi rakhtei

Har lamha ankhei lagei rehtei hei intezaar mei masroor
Mohabat mei esaa harei ki marnei ka hoshlaa bhi nahi rakhtei.

Nafraton ke gher tum thordo


Nafraton ke gher tum thordo
muhabbat ki pannah main aajao

hai bas char dinki zindagani
hasi khusi aise guzarlo

na socho kisi ke liye kuch galat
sabke dil tum jeet lo

gham ki raat ka itna gham na ker
her pal ko gale se laga lo

mila ke hathse hath mita do yeh dooriyan
khusiyan hi tum sab main bato

murdo ki tarha jeeke kya keroge
dosro ke dukh dard ko apna samjho

rakh khuda pe barosa woh teri hai sunta
khud ko kabhi akela na samjho

miti mein miljana hai her cheez ko yahan
zindagi rakz kare iss tarha jeeyo.



Jane kyun tujhe pe hai barosa


Jane kyun tujhe pe hai barosa
ye dil to baut bar hai toota

apno se hi khaen hain zakhm
ab geeron se joor raha hai rishta

hum badly mein chahany ki khwaish nahi kerty
per koi iss tarha to ruswa nahi kerta

jo maanga unno ne humne woh hai diya
hogaye juda bina bole ek bar mang hi liya hota

ye haath ab thama hai tum ne
ab tum banke aaye ho meri zindagi mein farihta

raaz ki baatein sabko batate nahi hain
per unse chupate nahi jo dil mein hai rehta

pehla pyaar jald bhulaya jaata nahi
RANI ki aankhon mein aaj bhi wo manzar hai jalakta.

Ek lafz se saverti hai zindagi


Ek lafz se saverti hai zindagi
ek lafz se bighadti hai zindagi

ek lafz laeye hazar khushiyan
ek lafz se tarapti hai zindagi

ek lafz aandheron ko kare ujala
ek lafz se goot goot ke marti hai zindagi

ek lafz se gaher banjaye apne
ek lafz se apne hi zakhmi kerte hai zindagi

ek lafz aankhon ko naaye sapne dekhaye
ek lafz se toote sapno ki zindagi

ek lafz labon ki muskan bara de
ek lafz hi aansoon se barde zindagi

bas baat sirf kismat ki hi hai ke
konsa lafz kisi ki badalde zindagi.

Aj socha unne mein khat likhun


Aj socha unne mein khat likhun
iss dil ka paigham likhun

sang uske beetae wo lamhe
wo subah wo shaam likhun

boondon mein unka aks
barish ki wo chham chham likhun

na khatam hone wala ek intezar
ya wo saari umeedein nakaam likhun

raat ki rani ya subah ka aachal
wo mulakatein tamaam likhun

wo shararatein wo haseen ishaare
labon ki wo tabassum likhun

rangeen hui thi jab wo duniya
ab hai wo gumsum likhun

aankhon ke wo sulagte tarz
veerani ka aalam likhun

jo kati na sath uske wo raat
ya judai ka wo gham likhun

kuch lafzon ki ladiyaan
gazal rubaayi ya nazm likhun.

Lag saat la me deedan la warta boza


Lag saat la me deedan la warta boza
Khoba maa da sitamgar nagar ta boza

Weekh me preg na dey da hijar torey shpey la
Maa pa ghiga ke ooda sahar ta boza

Khapero sara khabarey kawal ghwarram
Nan me biaa da paristaan chakar ta boza

Che pe laar we da chapera godaroono
Maa yao dasey bakhtawar dagar ta boza

Kor da porta na katal da janaan ghwarram
Lag saat la me da ghroono sar ta boza

Adam Khelo ta ba biaa kala chakar shoo
Khoba ! nan me pa sa chal khyber ta boza

Khoba ! dalta kho qadam pa qadam gham dey
La dey khara AJMAL larey charta boza.


Chalo Tareef Ke Bahane Hi Sahi


Chalo Tareef Ke Bahane Hi Sahi
Chand Log Dar Pe Aaye To Sahi

Hum To Qatl Hone Ko Taiyaar Baithe Hain
Koi Nigaahon Ke Teer Chalaye To Sahi.

Khuda kare ki pyar me kisi ka dil na toote


Khuda kare ki pyar me kisi ka dil na toote
Jaise rutha mera sanam kisi aur ka na ruthe

Rota hai dil aur toot jate hain sapne
Ankhon ke aansoo bhi nahin hote hain apne.

Aapke Har Kadam Pe Bichhaenge Palkein

Aapke Har Kadam Pe Bichhaenge Palkein
Rakhenge Khush Itna K Aap Sada Malkein

Mere Pyaar Ka Jaam To Sada Chhalakta Rahega
Par Aapki Kabhi Aankhein Na Chhalkein.

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein


Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi

Din Raat Daudti Duniya Mein
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi

Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi

Saare Naam Mobile Mein Hain
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi

Gairon Ki Kya Baat Karen
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Aankhon Mein Hai Neend Badee
Par Sone Ka Waqt Nahi

Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi

Paison ki Daud Mein Aise Daude
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi

Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Tu Hi Bata E FARAZ
Iss Zindagi Ka Kya Hoga

Ke Har Pal Marne Walon Ko
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.

Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi


Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi

Khud ko jala ke khak kar dala mita diya
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi

Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi

Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.

Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha


Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha
Yadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai

Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha
Dil Afsurda Sa Aaj Bhi Hai

Tum Door Huvey Majboori Mein
Hum Toot Gaye Is Doori Mein

Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana
Ye Dil Ka Dar Wa Aaj Bhi Hai

Tum Khush Ruho Abaad Ruho
Dil Apna Tu Barbaad Huwa

Gham Dil Ka Sahara Kal Bhi Tha
Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hai

Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein
Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain

In Ankhon Mein Jo Kal Tak Tha
Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai

Ab Shikwa Kisi Se Kya Karna
Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila

Gham Kal Bhi Mera Sarmaya Tha
Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai.

Ishq ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain


Ishq ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon kuch roze main bhar jaate hain

Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne roze se aaye hain chup chaap guzar jaate hain

Nurm aawaaz bholi baatain mohazzab lehjaa
Pehle baarish main hi sab rang utar jaate hain

Raasta roke khari hai wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain.

Pagal Smjhte Hai Mujhko Zamane Wale


Pagal Smjhte Hai Mujhko Zamane Wale
Sab Raaz Nahi Hote Batane Wale

Kabhi Fursat Mile To Aakar Dekhna
Kaise ROTE Hai Sabko “HASANE” Wale.