Lab-E-Khamosh Se Izhaar-E-Tamanna Chahe
Baat Karane Ko Bhi Tasvir Ka Lahaja Chahe
Tu Chale Sath To Ahat Bhi Na Aye Apni
Daramiyaan Ham Bhi Na Ho Yun Tujhe Tanha Chahe
Zahiri Ankhon Se Kya Dekh Sakega Koi
Apne Baaton Pe Bhi Ham Faash Hona Chaahe
Jism-Poshi Ko Mile Chadar-E-Aflak Hamein
Sar Chupane Ke Liye Vusaat -E-Sehara Chahe
Khvaab Mein Roye To Ehasas Ho Sairabi Ka
Ret Par Soyein Magar Ankh Mein Dariya Chahe
Bhed Carh Jaun Na Main Apne Hi Khair-O-Shar Ki
Khon-E-Dil Zabt Kare Zakhm Tamasha Chahe
Zindagi Ankh Se Ojhal Ho Magar Khatm Na Ho
Ek Jahan Aur Pas-E-Parda-E-Duniya Chahe
Aj Ka Din To Chalo Kat Hi Gaya Jaise Bhi Kataa
Ab Khuda-Band Se Khairiyat-E-Farda Chahe
Aise Tairaak Bhi Dekhe Hain Muzaffar Hamne
Garq Hone Ke Liye Bhi Jo Sahara Chahe.
No comments:
Post a Comment