Jo Meri Ankhon Se Khawab Dekho


Jo Meri Ankhon Se Khawab Dekho
To Ek Bhi Shab Na So Sako Ge

Ke Laakh Chaho Na Hans Sako Ge
Hazar Chaho Na Ro Sako Ge

Ke Khawab Kia Hain Azaab Hain Yeh
Mere Dukhon Ki Kitaab Hain Yeh

Rafaqaten Un Ki Choot-Ti Hain
Mohabbaten Un Ki Rooth-Ti Hain

Panapti Hain Un Main Wehshaten Si
Aziyaten Un Main Phoot-Ti Hain

Inhi Ke Sar Se Khizaan Hain Jazbay
Inhi Se Shaakhen Se Toot-Ti Hain

Ghamon Ki Bandish Main Khawab Mere
Dukhon Ki Barish Main Khawab Mere

Ubal Raha Hai Dukhon Ka Laawa
Zameen Aatish Hain Khawab Mere

Khayal Saaray Jhulas Gaye Hain
Sulagti Khawahish Hain Khawab Mere

Ukharti Saansen Hain Zindagi Ki
Lahu Ki Saazish Hain Khawab Mere

Jo Meri Ankhon Se Khawab Dekho
To Ik Shab Bhi Na So Sako Ge.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...