Hijar k Mousam main ye barish ka barasna kaisa
Ik sehra se sumandar ka guzarna kaisa
Ayee mere dil na pareshan ho tanha ho kar
Wo tere saath chala kab tha-Bicharna kaisa
Log kehte hain gulshan ki tabahi dekho
Main to veeran sa jungle tha-Ujarna kaisa
Dekhny may to koi dard nahi
Phir ye ankho may youn ashko ka ubharna kaisa
Bewafa kehne ki jurrat b na karna
Us nay iqraar kiya kab tha Mukarna kaisa.
No comments:
Post a Comment