Pages

Ajab Apna Haal Hotaa Jo Visaal-E-Yaar Hotaa


Ajab Apna Haal Hotaa Jo Visaal-E-Yaar Hotaa
Kabhi Jaan Sadaqe Hotii Kabhii Dil Nisaar Hotaa

Na Mazaa Hai Dushmani MeN Na Hai Lutf Dosti MeN
Koii Gair Gair Hotaa Koi Yaar Yaar Hotaa

Ye Mazaa Thaa Dillagi Kaa Ke Baraabar Aag Lagati
Na TumheN Qaraar Hotaa Na HameN Qaraar Hotaa

Tere Waade Par Sitamagar Abhii Aur Sabr Karate
Agar Apanii Zindagii Kaa HameN Aitabaar Hota.

No comments:

Post a Comment