OS ne kaha mujh se kitna piyar hai
main nay kaha sitaron ka koi shumaar hai
os ne kaha k kon tumhain hai buhat aziz
main ne kaha k dil pay jisay ikhtiar hai
os ne kaha kay kon sa tuhfa hai mann pasand
mainay kaha woh shaam ju ab tak udhaar hai
os ne kaha kay k sainkaron gham Zindagi main hain
mainay kaha k gham nahin jab gham gusaar saath hai
os ne kaha kahan tak saath nibha o gay
mainay kaha jitnee ye saanson ki taar hai
os ne kaha mujh ko yaqeen aa a kis tarah
mainay kaha kay mera naam Aitbaar hai.
No comments:
Post a Comment