Pages

Sunday Morning, Happy Sunday Morning, Good Morning, Good Morning Pictures, Sunday Morning Pictures,

Sunday Morning, Happy Sunday Morning, Good Morning, 
Good Morning Pictures, Sunday Morning Pictures, 

Wasi Shah Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Image Poetry, Sad Poetry, Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry,


Apne qadmon k nishan mere rastey se hata de Wasi
kahin ye na ho main chalte chalte phir se tere pass ajaon.

Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna, Urdu Poetry, Urdu Sms, Sad Urdu Sms, Sad Urdu Ghazal,


Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna
Acha Lagta Hai Isi Dhun Mein Bikhartay Rehna,

hijar walon Se Bari Dair Se Sikha Humne
Zinda Rehnay K Liye Jan Se Guzartay Rehna,

Kya Kahun Q Mere Neendon Me Khalal Dalta Hai
Chand K Aks Ka Pani Mein Utartay Rehna,

Main Agar Toot Bhi Jaon Toh Phir Aaina hoon
Tum Mere Baad Bhi har Roz Sanwartay Rehna,

Shaam Ko Doobtay Suraj Ki Hai Aadat
Subha Hotay Hi Mere Sath Ubhartay Rehna.

Ishq Poetry, Mohabbat Poetry, New Urdu Peotry, Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Sms, Sad Urdu Sms,


woh log bohot khush qismat thay
jo ishq ko kaam samajhtey thay
yaa kaam se aashqi kartey thay
hum jeetey jee masroof rahey
kuch ishq kiya kuch kaam kiya
kaam ishq ke aarrey aata raha
aur ishq se kaam ulajhta raha
phir aakhir tung aa kar hum ne
donoN ko adhoora chor diya.

Mirza Ghalib Poetry, Ghalib Poetry, Ghalib Urdu Poetry, Ghalib Pictur Poetry, Urdu Poetry by Mirza Ghalib,



Be-waja nahi rota ISHQ main koi Ghalib
Jisay khud se barh kar chaho wo rulata zaror hay.





Mirza Ghalib Poetry, Ghalib Poetry, Ghalib Urdu Poetry,
 Ghalib Pictur Poetry, Urdu Poetry by Mirza Ghalib, 

Sharabon jesi ankhen, phool ki patti jesey hont, Romantic Poetry, Romantic Ghazal, Romantic Urdu Poetry, Romantic Urdu Sms, Urdu Sms,


Sharabon jesi ankhen, phool ki patti jesey hont
Gul ko dho de jesey shabnam, us larki k wesey hont.

Ankh uthaye to tarpa de, boley to dehkaay aag
Uff toba ye kesi ankhen, Uff toba ye kesey hont.

Aksar dhonda kartey hen ham, phir kar sheher ki sarkon par
Mast katora c wo ankhen, mast bananey waley Hont.

Kitni piyari lagti hen wo, ankhen mast ghzalon c
Sholey se bharaktey dil me, Uff wo aag ugaltey hont.

Uff wo jaaron ka mosam, wo barfon jesi tez hawa
Jaaney kia kia yaad dilayen, kaanptey or thiraktey hont.

Ik zara sa bus choo leney se aajiz jal kar khaak hoye
Aakhir kab tak dekhtey rehtey, us k angaaron jesey hont.






Romantic Poetry, Romantic Ghazal, Romantic Urdu Poetry, 
Romantic Urdu Sms, Urdu Sms, 

Urdu Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Sms, Urdu New Sms, Sms Poetry In Urdu, Urdu Ghazal,


Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye
Tujhe bewafa kahoon mein, woh maqaam aa na jaye,

Jisey sun ke toot jaye mera aarzu bhara dil
Teri anjuman se mujh ko woh peyaam aa na jaye,

Woh jo manzilon per laa kar kisi hamsafar ko lootain
Unhi rehzanon mein tera kahin naam aa na jaye,

Isi fikr mein hain ghalat yeh nizaam ke bandey
Jo tamaam zindagi hai woh nizaam aa na jaye.





Urdu Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Sms, Urdu New Sms, 
Sms Poetry In Urdu, Urdu Ghazal, 

Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon, Urdu Sms, Heart Touching Urdu Sms, Latest Urdu Sms Poetry,


Mohabbat ki duniya main mashoor kar doon
Mere saada dil tujh ko maghroor kar doon,

Tere dil ko milney ki khud aarzuu ho
Tujhe is qadar gham se ranjoor kar doon,

Mujhe zindagi door rakhti hai tujh se
Jo tu paas ho to usey door kar doon,

Mohabbat ke iqraar se sharam kab tak
Kabhi saamna ho to majboor kar doon,

Yeh be’rangiyan kab tak, ay hussan rangeen
Idhar aa tujhe ishq mein choor kar doon,

Tu agar samney ho to mein be’khudi mein
Sitaaron ko sajdey pe majboor kar doon,

Nahin zindagi ko wafaa warna Akhtar
Mohabbat se duniya ko mamoor kar doon.

Be la ta ba shpa saba she, Pashto Poetry, Pashto Latest Poetry, Pashto Heart Touching Poetry,


Be la ta ba shpa saba she, da kho tik da
Stargy pate ba zama she, da darogh de,

Sra Gulan ba Bia samsor she, da kho tik da
Kho pa ma ba Sparly rashe, da darogh de,

Intizar ka Hamesha v, da kho tik da
Kho Janan ba charta rashe, Da darogh de,

Ta ba sal Kasama okhre, da kho tik da
Yaw wada ba di reshtiya she, da darogh de,

Za hamesh ba darta Jaram, da kho tik da
Zra ba naram charta sta she, da darogh de.

Israr Atal Poetry, Israr Atal, Atal Poetry, Atal Pashto Peotry, New Atal Peotry,


Daasi pa zra ki me Khyalona da Janan Tawege
Laka che sam pa sarri zmaka ao Asman tawege,

Da Lewano guman pa zaan okrram pa de khabara
Che staso Cham ke rana wale mashomaan tawege,

Mung che waarra wo ao che kala baa selai taweda
Taa ba wy, "dagha Selai Weni? Daa peeryaan tawege",

Daasi tawege me khyalona sta da zaat na Gula
Laka pa Hajj ke da Kaabe na che Haajiyan tawege,

Mashom ashna me Ghaara raakrra rata ye dase owey
Atala staa na me laasona pa eman Tawege.

Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry, Romantic Picture Poetry, Urdu Romantic Ghazal, Heart Touching Poetry,


Mizaj barham, khafa sa lehja
Mizaaj barham, Khafa Sa lehja
Udas chehra, naraz ankhen
Waja jo poochi mane us se
JAAN meri udaas q ho?
Q ho barham? Naraz q ho?
Bhar k chalki aankhen uski
Larkhara k galy Se lag kar

"Mujh say Boli"

Kahan gay thay? Q gay thay?
Mujhy batao tumhary bin jo be'basi thi
Elaaj uska bata K Jatay,
tum jo bichro kahan main dhoondon?
Suraagh apna bata K Jatay,
Tumhain pata tha Tmhary bin main
aik Pal b reh nahi sakti
Chahay bichray duniya Sari
Teri judai Seh Nahi sakti
Tumhain qasam hai ab na jana
mar jaon gi tumhary bin main
Chalo Ab mujh sy Wada kar lo
Kahin bhi jao Kabhi bhi jao
Saath mujh ko lay K Jana.

Urdu Ghazal, Urdu Romantic Ghazal, Romantic Ghazal Poetry, Urdu Peotry, Latest Urdu Poetry, New Urdu Peotry,


Sabne Pehana Tha Bade Shauk Se Kaagaz Ka Libaas
Jis Kadar Log The Baarish Mein Nahaane Wale,

Adal Ke Tum Na Hume Aas Dilaao
Katl Ho Jate Hai, Zanzeer Hilaane Wale,

Kisko Hogi Yahan Taufeek-E-Anaa Mere Baad
Kuch To Socho Mujhe Sooli Pe Chadhaane Wale,

Marr Gaye Hum To Ye Katbe Pe Likhaa Jaayega
So Gaye Aap Zamaane Ko Jagaane Wale,

Dar-O-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai "Qateel"
Jaane Kis Des Gaye Pyaar Nibhaane Wale.

Bharosa Toot Janay Se Zara Pahlay Bata Daina

Bharosa Toot Janay Se Zara Pahlay Bata Daina
Mujhay Tum Azmanay Se Zara Pahlay Bata Daina

Kisi Heelay Bahanay Se Zara Pahlay Bata Daina
Ke Mujhko Tum Bholanay Se Zara Pahlay Bata Daina

Zamin Ke Rait Pe Tumne Mohabbat Se Likhi Thi Jo
Woh Tahrerain Mitanay Se Zara Pahlay Bata Daina

Mairay Dilber Ke Is Dill Par Main Rakh Loon Zabt Ka Pathar
Suno Daman Churanay Se Zara Pahlay Bata Daina

Kisi Bhi Mor Pe Bura Pao Agar Mujhko
Bharosa Toot Janay Se Zara Pahlay Bata Daina.

Urdu HEart TOuching Poetry, Latest Urdu Poetry, New Urdu Poetry, Sadest Images, No Love No Tenssion,


Kabhi Jazbon Kabhi Khawabon ki Tijarat Kar K
Dil Ne Dukh Dard Kamaye Hain Mohabbat Kar K,

Tum Jab Aao Ge to Mehfooz Milege Tum ko
Hum ne Dafnaye Hain Kuchh Khwab Amanat Kar K,

Ek zara si Bhool Hui aur Use Kho Baithe
Hum ne Paya Tha Jise Barson Ibadat Kar K.

Dua Poetry, Dua Heart Toching Poetry, New Urdu Poetry, Urdu Ghazal poetry, Dua Images, Latest Urdu Ghazal,

Utha Kay Haath Khuda Say Bas Mangi Yehi Dua
Naseeb Hoon Khushiyan Tumhain, Tum Khush Raho Sada,

Tumhain Rahat Milay, Tumhain Chahat Milay
Tumhain Saray Jahan Ki Mohabbat Milay,

Jahan Main Sab Say Hoon Achay Tumharay Naseeb
Koi Dukh Kabhi Bhi Na Aaye Kareeb,

Tumharay Dil Ki Har Arzoo Pori Khuda Karay
Tumharay Chahnay Waloon Ko Kabhi Juda Na Karay.




Dua Poetry, Dua Heart Toching Poetry, New Urdu Poetry, 
Urdu Ghazal poetry, Dua Images, Latest Urdu Ghazal,

Tanhaai Poetry, Urdu Latest Poetry, Urdu Poetry, Urdu New Poetry, Best Urdu Poetry, Heart TOuching But Sad Poetry, Images Poetry,



Ab Shoq-e-Safar, Khwahish-e-Yakjaai Bohat Hai
Dushman Hi Milay Raah Me Tanhai Bohat Hi,

Hum Kon Se Ghalib Thay K Shohrat Hamen Milti
Duniya, Teri Itni Bhi Pazeerai Bohat Hai,

Zakhmon Ki Numaaish Ka Saleeqa Nahi Hum Ko
Wo Hain K Unhen Shoq-e-Masihaai Bohat Hai,

Logon Se Taaruf, Na Koi Jaan Na Pehchan
Dil Hai K Isi Bazam Ka Shedaai Bohat Hai,

Galiyon Me Magar Koi Dareecha Nhi Khulta
Aaps Me Yahan Shor-e-Shanasai Bohat Hai,

Shaamen Hain Bohat Veraan Barsat Me Jaana
Kehny Ko Bhara Shehr Hai, Tanhaai Bohat Hai.




Tanhaai Poetry, Urdu Latest Poetry, Urdu Poetry, Urdu New Poetry, 
Best Urdu Poetry, Heart TOuching But Sad Poetry, Images Poetry,

Ye Kon Jane Kis Ka Kasur Tha


Ye Kon Jane Kis Ka Kasur Tha
Tuta Wohi Sahara Jispe Gurur Tha

Use Hai Gurur Wo Kisi Aur Ka Hai
Hame Hai Naaz Wo Kabhi Mera junun Tha.

Apni zindgi se muje hatane chale ho


Apni zindgi se muje hatane chale ho
1 staey hue ko stane chale ho

Kitne nadan ho tum mere DOST
jo apne haton ki lakire mitane chale ho.




Kitna Aur Dard Dega Bas Itna Bata De


Kitna Aur Dard Dega Bas Itna Bata De
Aisa Kar Ya RaBB Meri Hasti Mita De

Yun Ghut Ghut Ke Jeene Se Maut Behtar Hai
Kabhi Na Khulain Aankhein Tu Aisi Neend Sula De.

Sochenge jb kbhi chahne wali ki tarah yad ayenge


Sochenge jb kbhi chahne wali ki tarah yad ayenge
hum tute pegamo ki tarh

jb bhi tanha andheron me dr jaoyoge tum
meri yad fel jayegi ujalon ki tarha.



Is fani Dunya Me koi B Haqeqat Me


Is fani Dunya Me koi B Haqeqat Me
kisi Ka Hamdard Nahi Hota

Janazy k sath Log Hoty Hain to Apny
sawaab Ki khatir.



Jab bhi unki gali se gujarta hoon

Jab bhi unki gali se gujarta hoon
Meri aankhen ek dastak de deti hai

Dukh ye nahi wo darwaja band kr dete hai
Khusi ye hai wo mujhe ab bhi pehchan lete hai.




Mai to chirag hu tere aashiyane ka


Mai to chirag hu tere aashiyane ka
Kabhi na kabhi to bujh jaunga

Aaj shikayat hai tujhe mere ujaale se
Kal andhere me bahut yaad aaunga.


Kadam yun hi dagmga gaye raaste se


Kadam yun hi dagmga gaye raaste se
warna sambhlna hum bhee jante the

Thokar bhee lagi to us pathar se
Jise hum Apna khuda mante the.

Unki Na Thi Khataa


Unki Na Thi Khataa
Hum Hi Kuch Ghalat Samjh Bethy

Wo Muhabbat Se Baat Krty Thy
Hum Muhabbat Hi Samjh Bethy.




Rula lo jitna rula Sakty


Rula lo jitna rula Sakty
ho hamen jab tak zinda hain

Hamen yaken hai Aik Din tm bhi
ro gy hamen kafan main dakh K.

Kya Likhu Dil Ki Haqeekat


Kya Likhu Dil Ki Haqeekat
Aarzoo Behosh Hai

Khat Pe Aansoo Beh Rahe Hain
Aur Qalam Khamosh Hai.

Mohabbat ka matlab intzaar nahi hota


Mohabbat ka matlab intzaar nahi hota
Har kisi ko dekhna pyar nahi hota

Yu to milta hai roz mohabbat-e-paigam
Pyar hai zindgi jo har baar nahi hota.




Ye Ishq walo ki kismat buri hoti hai


Ye Ishq walo ki kismat buri hoti hai
Har mulakat judai se judi hoti hai

Kahi bhi dekh lena Azmakar
Sacche pyar ko judai hi naseeb hoti hai.




Chalo Tum Chor Do Mujh Ko

Chalo Tum Chor Do Mujh Ko
Chalo Tum Chor Do Mujh Ko
Main Wapis Laut Jata Hun

Tumhain Manzil Mubarak Ho
Nai Rahein Mubarak Houn

Magar Phir Ae Mere Humdum
Mujhe Itna To Btla Do

K Wapis Kiss Taraf Joun
Kahan Se Sath Laye The

Mujhe Itna To Smjha Do
Agar Aisa Nahi Mumkin

To Mujh Ko Is Tarha Toro
K Mai Yaksar Bikhar Joun

Bhatakne Se To Behter Hai
Tumhary Pass hi Mar Joun.

Toot kar zara dekho Tum ager bikhar jaao


Toot kar zara dekho
Tum ager bikhar jaao

Bebasi me ghir jaao
Dil se ek sada dena

Bus mujhe bula lena
Me tumhen sambhalunga

Zindagi me chalne ka
Rasta badalne ka

Ek hunar sikha dunga
Tum ko hosla dunga

jab tum sambhal jao
Roshni me dhal jao

To mujh ko yun sila dena
Tum mujhe bhula dena.

Mein Roya Nahi Rolaya Gaya Hon


Mein Roya Nahi Rolaya Gaya Hon
Ban Ker Pasand Phir Thukraya Gaya Hon

Chor Dia Gaya Taqdeer K Sahare
Pyar K Naam Pe Jalaya Gaya Hon

Bohot Hi Narm-o-Nazuk Tha Mizaaj Apna
Jeete Ji Khaak Mein Milaya Gaya Hon

Marz-e-Mohabbat Ko Gulaab Raas Kahan
Hamesha K Liye Kanton Per Solaya Gaya Hon

Be-Mout Na Marta Tu Kiya Kerta
Bhari Duniya Mein Youn Sataya Gaya Hon

Kabhi Jo Palkon Pe Naaz Utha'te The
Aaj Unhi Nazron Se Giraya Gaya Hon.

Woo larki bi ak ajeeb pahali thi


Woo larki bi ak ajeeb pahali thi
Piyasay honth thay ankh samander jaisi thi

Atay jatay mosam uss ko dastay thay
Hastay hastay palkon say ro parti thi

Adi raat guwa deti thi chup rah kar
Adi rat k chand say batain karti thi

Mom say nazuk jism sahar ko dukhta tha
Diyah jala k shaab bhar ap phigalti thi

Taiz hawa ko rok k apnay anchal per
Sokhay phool ikhatay karti phirti thi

Kal shaab chikna choor howa tha dil uss ka
Ya phir pehli bar woo khul k roye thi

Mohsin kia janay kyn dhoop say be-parwa
Woo apnay ghar ki dahleez per baithi thi.

Yeh tum say kis ne keh diya


Yeh tum say kis ne keh diya
Kay TUM bin rah nahin saktay

Yeh dukh hum sah nahin saktay
NAHIN JANA

Galat fahmi hui tum ko
Haan itna maan letay hein

Kay tum bin hum bohot roay
Kae raaton ko na soaay

Magr afsos hai jana
Kay ab k tum jo loto gi

Hamein tabdeel paao gi
Bohot mayoos ho gi tum

Agar tum poochna chaho
K aisa kion kia hum nay

Tu sun lo gor say pyari
Purani ek rewayat tang aa Kur
Tor dee hum nay

“MOHABAT CHOR DEE HUM NAY“.

Rothey Ho Mujhse Mujhe Manana Nahin Aata


Rothey Ho Mujhse Mujhe Manana Nahin Aata
Kyun Tumhari Hi Tarah Tumhe Satana Nahin Aata

Jaan Ban Gaye Ho Meri Yeh Jaan Lo Tum
Ab Tumhare Bina Mujhe Jeena Nahin Aata

Naaraz Ho Mujse Tumhe Manao Kaise
Apne Is Pyar Ka Yakeen Tumhe Dilao Kaise

Kyun Aitbaar Nahin Karte Tum Meri Is Mohabbat Pe
Ab Iske Siwa Mujhe Aur Kuch Kaam Nahin Aata

Kyun Door Chale Gaye Ho Tum Mujhse
Mujhe To Tumhe Apne Paas Bulana Nahin Aata

Tumse Door Kaise Chale Jaye Hum
Humein Tumse Door Hona Nahin Aata

Pyar Karte Hain Tumse Bahut Yeh Kaise Kahein Hum
Hum Jaante Hain Shayad Humein Yeh Kehna Nahin Aata.





Tujh Se Milnay Ko Kabhi Hum Jo Machal Jaate Hain


Tujh Se Milnay Ko Kabhi Hum Jo Machal Jaate Hain
To Khyalon Me Bohut Door Nikal Jaate Hain

Gar Wafaun Me Sadaqat Bhi Ho Or Shiddat Bhi
Phir To Ahsaas Se Patther Bhi Pighal Jaate Hain

Uski Aankhon K Nashe Me Hain Jab Se Doobe
Lar-Khratay Hain Qadam Or Sambhal Jaate Hain

Bewafayi Ka Mujhe Jab Bhi Khyaal Aata Hai
Ashk Rukhsaar Pe Aankhon Se Phisal Jaate Hain

Piyar Me Aik Hi Mausam Hai Baharon Ka
Log Mausam Ki Tarha Kese Badal Jaate Hain.






Yao Arman Me Pura Na sho Armanuna Tre na Jor Shu


Yao Arman Me Pura Na sho Armanuna Tre na Jor Shu
TA Zama na Sa Khafa Shwe Khafganuna Tre Na Jor Shu

Yao Gunah bande janana ta dozakh taa warguzaar kram
Har Ehsan de zama Her kro Gunahuna tre Na jor shu

Ta Pa Brando Stargo Raghle Da Kato Andaz Badal wo
Maa Hum starge Tete Na Kre Nu Janguna Tre Na jor Shu

Da Qaaboo Na Me Bahar Shwa sta Tapos Me Cha na Okro
Yao Tapos Me Na Pura Sho Taposuna Tre Na Jor shu.

Chi Yo Zal Di Da Wafa Lasoona Rakrral


Chi Yo Zal Di Da Wafa Lasoona Rakrral
Bia Di Wali Pa Zarrgi Daghoona Rakrral

Ta Kho Wail Chi Gham Ba Na V Gham Onakrray
Nan Di Sanga Pa Dalo Ghamoona Rakrral

Khudai Khabar Di Chi Ther So Ba Paki Zangam
Sta Sitam Dasi Ogda Taloona Rakrral.

Za armaan sta da didan kom


Za armaan sta da didan kom
Ta armaan zama da marg ke

Dowana zrona armani de
Kho armaan armaan badal dy.

Che Ghaly Ghaly Pa Parda Ke Jari


Che Ghaly Ghaly Pa Parda Ke Jari
Da Khpal Ashna Pa Sadma Ke Jari

Mata Ye We Che Yaqin Na Krama Za
Zaka Herana Waswasa Ke Jar.

TA DA MENY HAQEEQAT AWO ZA YU KHAYAL YEM


TA DA MENY HAQEEQAT AWO ZA YU KHAYAL YEM
TA DA MENY TAJ MAHAL AWO ZA CHUPAAL YEM

KA HAR SOOMRA STA PA ISHAQ KE OOCHAT LAAR SHAM
STA PA MAHKE HO JANANA BE MAJAAL YEM

STA WAFA LAKA BARAAN CHE RAWAREEGI
ZMAKA OOCHA SHAARA ZA WARTA KHUSHAAL YEM.

Maa lag Zaan Ta Ranizdy Ka


Maa lag Zaan Ta Ranizdy Ka
Tol Ghamoona Raana Her Ka

Bas Sta Noom De Rata Yad V
Noor Nomoona Raana Hèr Ka

Pa Khpal Ishq K Mi Majnun Ka
Nour Ishqoona Raana Hèr Ka

Maa Da Gul Pa jaba Poye Ka
Nafratoona Raana Her Ka

Pa Tandi Bandi Mi Kh'kul Ka
Azaaboona Raana Hèr Ka

Ma IMDAD sara pukhla sha
Nor sochoona raana her ka.


Taa pa chal wal Janana khpe owestee


Taa pa chal wal Janana khpe owestee
Kho Moor Pa Maa Bande Tobi Owestee

Da khpla kora sa be-kora shoma
Che ta da zra me darwaze owestee

IMDADA! Nor Ba Di Noom Wanakhlma
Sta Mohabbat Ra na Jaame Owestee.

Da yar tasveer da gul pa panro pa Kamal joraoom


Da yar tasveer da gul pa panro pa Kamal joraoom
Da waht ratlunki fankaraano ta Misal joraoom

Kala Raqeeb kala Rebar za da griwana nesam
Hara wraz nawy Ashna zanla yo Janjal joraoom

Pata me dera jara okra Yar tre na khabregi
Os ye pa kor bande da ohko Pashakal joraoom

Hagha ba charta ve da cha sara ao sanga ba ve
Da za pa zor zanla da Soch ao fikar Taal joraoom

Larshma worok pa tasawar ke da khpal zana shama
KHIYALA khiyalono ke da yar pa zana Khaal joraoom.

Nan da hamzolo na juda shwa ratarghara wata


Nan da hamzolo na juda shwa ratarghara wata
Laka mashoma pa jara shwa ratarghara wata

Zra ki e deri sa geli wi khola e berta na kra
Jaba e gongay la haya shwa ratarghara wata

Pukhtana peghla sar na tera me pa nang walara
Grana layla wafa wafa shwa ratarghara wata.


Teray Hisar se Bahr nikal gaya hun Main


Teray Hisar se Bahr nikal gaya hun Main
Tu theek kehta he Shayed Bdal gaya hun Main

Mere ilawa b Tujh ko Aziz he koi
Zra c bat pe aise hi Jal gaya hun Main

Ye paon jante hain Waqt e Hijr kesa he
Qadm Qadm kisi pathar me dhal gaya hun Main

Utha liya he Sitaron ne Asman sar par
Zra jo Chand ki khatir Machal gaya hun Main.

Mujhe zindagi mein qadam qadam pe tere raza ki talash hai


Mujhe zindagi mein qadam qadam pe tere raza ki talash hai
Tere ishq mein ay mere Khuda  Muje inteha ki talash hai

Mein gunnahoun mein houn ghira huamein zameen pe houn girra hua
Jo mujhey gunnahoun se nijat de mujhey uss dua ki talash hai

Mein NE Jo kia burra kia mein NE khud ko khud he tabah kia
Jo tujhey pasand ho mere RABB! Muje uss adda ki talash hai

Tere Dar par he mera sar jhukey mujhey aur nahi kuch chahiye
Mujhey sab se kar de be-niaz mujhey uss Anna ki talash hai.

Woh Dil Nahi Rahe Woh Jazbe Nahi Rahe


Woh Dil Nahi Rahe Woh Jazbe Nahi Rahe
Apne Bhi Iss Daur Mein Apne Nahi Rahe

Halat-E-Zindagi Par Gaur Kiya To Paya
Rishte Zubaan Ke Rahe Dil Ke Nahi Rahe.



Jarral ye la khafgana marawar da kali laro


Jarral ye la khafgana
marawar da kali laro

Dh dera ghama stary
mazigar dh kali laro

Che nh wato dh kali ph quran qasm heskala
Hagha ph zrdh soray parhar parhar d kali laro

Wayel ye hagha sok o 6 ph ma bandi mayen o
Daa wali lewany sho domra zr dh kali laro

Nh cha warpsi ojarl nh sok pasi khafa shu
SAYIL ph wrako laaro musafar dh kali laro.


Sta pa khayest ba yao baheer jorhawom yaad sata


Sta pa khayest ba yao baheer jorhawom yaad sata
Da de khpal dard na ba tasweer jorhawom yaad sata

Sta pa parhoone me qasam de pukhtane mahbobe
Sta da dushman kara ba weer jorhawom yaad sata.

Shpa ba mudaam na we sarho sahar bo hum rashe


Shpa ba mudaam na we sarho sahar bo hum rashe
Sailaab ba monga wprhi tar so goodar ba hum rashe

da stargo tor che me day wrak nazar me hum taly de
Che tor me stargo la raazi nazar ba hum rashe

Bala oogda ba we, azghna ba we graana ba we
Che laar paida she no da laare sar ba hum rashe.

Daa yao kamal me de pa stargo ke we


Daa yao kamal me de pa stargo ke we
Sta khat wo khal me da pa stargo ke we

Za de pa sooko da azgho ooda yam
Kho sta jamal me de pa stargo ke we

Da jalwahali janan gham warhe yam
Yao pashakaal me de pa stargo ke we.



Rasha lag ue khkul krha che de shoonde krhi rangeene


Rasha lag ue khkul krha che de shoonde krhi rangeene
Gul pre ghorhedaly da parhar tamasha oka

Ta tre khabar na shwe zama zrha ye laala zaar krho
Waakhla Aayeena da khpal nazar tamasha oka

Maa de tamami umer pa baam tamashy okrhe
Rasha nana me ta da daar pa sar tamasha oka.

Image Poetry, Nice Poetry, Pashto Heart Touching Poetry, Pashto Poetry,


Ajeeba na do ka ye tol jahan pa dar prot de
Da cha pa khpo ke che spogmay prata da namar prot de

Taaza kawom da dashto laare qafely jorhawom
Manzal me wak de kho mazal kho me pa sar prot de

Maa pa har haal ke laka treekh dard be qarara saati
Sta pa khabaro ke jaadu prot de mantar prot de.

Pashto Heart Touching Poetry, Pashto Sad Poetry, Nice Poetry,


Sahar kho raghe kho da mene las za chata warkram
Zama da gul pa shan janan zama na lari usi.

Ishq qaatil say bhi maqtool say hamdardi bhi

Ishq qaatil say bhi maqtool say hamdardi bhi
Yeh bta kis say muhabbat ki jaza mangay ga

Sajda Khaaliq ko bhi iblees say yarana bhi
Hashr mein kis say aqeedat ka sila mangay ga.


Best Poetry, Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry, Image Poetry,


Ishq qaatil say bhi maqtool say hamdardi bhi
Yeh bta kis say muhabbat ki jaza mangay ga

Sajda Khaaliq ko bhi iblees say yarana bhi
Hashr mein kis say aqeedat ka sila mangay ga.


Best Poetry, Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry, Nice Poetry,


Hum Ehl-e-Wafa Husn ko Ruswa nahi karte
Parda bhi Uthay Rukh se to dekha nahi karte

Rakhtey hain jo Auron k liye Pyar ka Jazba
Wo log kabhi toot k Bikhra nahi karte

Kehti hai to kehti Rahey Maghroor ye Duniya
Hum Murr k kisi Shakhs ko dekha nhi karte

Hum log to Meh Nosh hain Badnaam hain "SAGHAR"
Pakeeza jo hain log wo Kya Kya nahi krte.




Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry, Image Poetry,


Umeed abhi kuch Baqi hy
Ek Basti Basnay wali hy

Jis Basti men koi Zulm na ho
Aur Jeena koi Jurm na ho

Wahan Phool khushi k Khiltay hon
Aur Mosam saray miltay hon

Bs Rang aur noor Barastay hon
Aur saray Hanstay bastay hon

Yeh Basti kaash Tumhari ho
Ye Basti kaash hmari ho

Wahan khoon ki Holi Aam na ho
or us men Gham ki sham na ho

Jahan Munsif sy insaf milay
Dil sb ka sb sy saaf milay

Ek aas hy aisi Basti ho
Jahan Roti Zeher se sasti ho.

Mohsin `s Poetry, Heart Touching Poetry, Urdu Image Poetry, Urdu Poetry,


Chalo Mohsin Mohabbat Ke Nai Bunyad Rakhtay Hain
Khud Paband Rahtay Hain, Usay Azad Rakhtay Hain

Hamaray Khoon Main Rab Ne Yahe Taseer Rakhi Ha
Burai Bhol Jatay Hain Achai Yaad Rakhtay Hain

Mohabat Main Kaheen Ham Se Gustakhi Na Ho Jae
Ham Apna Har Qadam Us K Qadam K Baad Rakhtay Hain.

Heart Touching Urdu Poetry, Image Poetry, Nice Poetry,

Jis roz humara kooch hoga
phoolon ki dukaanain band hongin

sheereen sukhanoun k herf e dushnaam
be mehar zubaanain band hongin

palkon pe nami ka ziker hi kia
yaadon ka suraagh tak na hoga

humwari e her nafs salaamat
dil per koi daagh tak na hoga

paamaali e khwaab ki kahani
kehne ko charaagh tak na hoga

maabood !is aakhri safer main
tanhaayi ko surkhroo hi rakhna

juz tere koi nahin nigahdaar
us din bhi khayaal too hi rakhna

jis aankh ne umer bhar rulaaya
us aankh ko be wuzoo hi rakhna.


Best Poetry, Heart Touching Poetry, Heart Touching Urdu Poetry


Wo Mohabbtein Jo Tumare Dil Mein Hai
Usse Zubaan Par Lao Aur Bayan Kar Do

Aaj Bas Tum Kaho Aur Kehte Hi Jao
Hum Bas Sunein Aisa Be-Zuban Kar Do

Aa Jao Ke Aisa Toot Kar Chahoon Tumhein
Humari Mohabbat Ko Mohabbat Ka Nishan Kar Do

Apne Dil Mein Is Tarha Chupa Lo Mujh Ko
Rahon Humesha Is Me Isse Mera Jahan Kar Do