Ek Shab-e-Mehtaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Ham Kiun Apnay Aap Se Bhaagtay Phirtay Hain
Pyaas Ki Shiddat Honton Ki Taqdeer Howi
Aur Ham Qatraa-e-Aab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Shaam Dhalay Saari Choupaalain Sajti Hain
Ham Apnay Ehbaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Khushbuu Ki Tehreer Badan Per Likhi Hai
Aur Safaid Gulaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Ik Kitaab Lye Phirtay Hain Haathon Mein
Aur Zar-o-Asbaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Unhain Kisi Taabeer Ki Khwaahish Kia Hogi
Loog Jo Arsaa-e-Khwaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Aankhon Mein Be-Taab Samandar Hai Phir Bhi
Jaanay Kis Gardaab Se Bhaagtay Phirtay Hain.
No comments:
Post a Comment