Woh ghazzal ki sachi kitaab hai
Usey chupke chupke parha karo
Koi hath bhi na milaye ga jo milo ge tapaak se
Yeh naye mizaaj ka sheher hai zara fasiley se mila karo
Abhi raah main kayi morr hain koi aye ga koi jaye ga
Tumhe jis ne dil se bhulaa diya usey bhoolne ki dua karo
Mujhe ishtehaar si lagti hain yeh mohabbaton ki kahaniyan
Jo kaha nahin woh suna karo, jo suna nahin woh kaha karo
Kabhi husn parda nasheen bhi ho zara aashiqana libaas mein
Jo mein ban sanwar ke kahin chaloon mere sath tum bhi chala karo
Nahin be’hijaab woh chaand sa ke nazar ka koi assar na ho
Usey itni garmi-e-shoq se bari dair tak na takka karo
Yeh khizaan ki zard si shaal main jo udaas pairr ke pas hai
Yeh tumharey ghar ki bahaar hai, usey aansuyon se haraa karo.
No comments:
Post a Comment