Pages

Usay Bhula Doon, Magar Hosla Kahaan Mujh Mein

Usay Bhula Doon, Magar Hosla Kahaan Mujh Mein
Woh Mere Khoon Ki Tarah Hai Rawaan Dawaan Mujh men,

Yeh Be Sabab To Nahi Mujh Men Girya-o-Zaari
Koi To Rehta Hai Har Waqt Noha Khwaan Mujh Men,

Bas Ek Zalzala Aaya Tha Aur Guzar Bhi Giya
Magar Woh Chor Giya Hai Kai Nishaan Mejh Men,

Azeez Itna Bhi Kiyon Hai Sakoot-e-Shaam-e-Alam?
Kahaan Se Aaie Hain Itni Udasiyan Mujh Men?

Kabhi Main Dard K Darya Men Doob Jata Hoon
Kabhi Yeh Dard Uatarta Hai Meri jaan Mujh Men,

Ye Kon Baant Giya Mujh Mein Ronaqain Apni?
Yeh Kon Kar Giya Abaad Ek Jahaan Mujh Mein?

Main Jab Bhi Haath barhane Lagta Hoon Gulon Ki Taraf
To Urne Lagti Hain “Shamsheer” Titliyaan Mujh Mein.

No comments:

Post a Comment