Ye meri ana ki shikast hai na dawa karo na dua karo
Karo to bas ye karam karo mujhay meray hal pay chore do,
Wo jo eek turkash e waqt hai abhi us main teer bohot say hain
Koi teer tum ko na aa lagay meray dard e dil pay na youn hanso,
Na main koh kan hoon,na kais hoon , mujhay apni jaan aziz hai
Mujhay tark e ishq kabool hai agar tumhain yakeen e wafa na ho,
Jo tumharay dil main shakook hain to ye eahd namay fazool hain
Jo meray khatoot hain phar do ye tumharay khat hain samait lo,
Jo kisi ko koi satay ga to gila bhi honton pay aay ga
Ye to ik asool ki baat hai jo khafa hai mujh say koi to ho,
Mujhay ab sadaon say kaam hai mujhay khal o khad ki khabar nahi
To phir is fraib say faida ye nakab ab to utar do,
Mujhay apnay fukar pay naaz hai mujhay is karam ki talab nahi
Main gada nahi hoon fakeer hoon ye karam gadaon main bant do,
Ye faqt tumharay sawal ka mera mukhtasir sa jawad hai
Ye gila nahi hai khaloos hai meri guftagu ka asar na lo,
Ye adhoray chand ki chandani bhi adhori raat main kam nahi
Kahin ye bhi sath na chore day abhi roshani hai chalay chalo.
Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Sad Poetry,
Sadest Poetry, Heart Touching Poetry,
No comments:
Post a Comment