Pages

Hawaa-e-Hijar Mein Jo Kuch Tha Ab Khak Howa, Urdu Poetry, Urdu Ghazal,


Hawaa-e-Hijar Mein Jo Kuch Tha Ab Khak Howa
K Peerhin To Gia Tha Badan Bhi Chak Howa,

Ab Us Se Tark-e-Ta'aluq Karon To Mar Jaon
Badan Se Rooh Ka Is Darja Ishtarak Howa,

Yehi K Sab Ki Kamanain Humi Pe Tooti Hain
Chalo Hisab-3-Saf-E-Dostaan To Pak Howa,

Na Poch Apni Taraf Phir Se Lootne Ka Amal
K Main Pahaar Tha Simta To Musht-E-Khak Howa,

Wo Besabab Youn Hi Rootha Hai Lamha Bhar K Liye
Ye Saneh Na Sahi Phir Bhi Karbnak Howa,

Usi K Qurb Ne Taqseem Kar Dia Aakhir
Wo Jis Ka Hijar Mujhe Wajha-3-Inhmak Howa,

Shadeed Warn Na Dushman Dalair Tha Mohsin
Main Apni Bekhabri Se Magar Halak Howa.

No comments:

Post a Comment