Fursat ke suhaney lamhon mein kya kaam ki batain hoti hain
Kuch yaar ka qissa hota hai kuch jaam ki batain hoti hian,
Aye dost tabasum ki lehrain honton pe kahan se ab laaon
Halaat ke mailay hote hain, ayaam ki batain hoti hain,
Arbaab’khard ki mehfil mein dil aur pareshan hota hai
Kuch soch ke waqfey hote hain, kuch kaam ki batain hoti hain,
Alaam-e-zaman fursat dain to beth ke dil ka haal kahain
Uss zulf ki musalsal ki batain, araam ki batain hoti hain,
Jo shair hamare sunte hain masti se Adam sar dhante hain
Hum ehl-e-tareeqat ki batain, Alhaam ki batain hoti hain.
No comments:
Post a Comment