Pages

Piyas Bakhshi Hai To Phir Ajar Bhi Khul Kar Dena

Piyas Bakhshi Hai To Phir Ajar Bhi Khul Kar Dena
Abar Mange Meri Dharti To Samandar Dena,

Apni Aaoqat Se Barhna Mujhe Gum Kar De Ga
Mujh Ko Saya Bhi Mere Qad K Barabar Dena,

Ye Sakhawat Mere Shajre Mein Likhi Hai Pehle
Apne Dushman Ko Duain Teh-E-Khanjar Dena,

Dekhna Hain Mere Johar To Mere Adal Panah
Hosla Mujh Ko Mere Ghair Ko Lashkar Dena,

Mere Khaliq Meri Aankhon Ko Jo Nam Rakhta Hai
Us Sehra Ko Bhi Dariaon K Taiwar Dena,

Shehr Walo Kabhi Azaz Jo Taqseem Karo
Mujh Ko Sheeshe Ka Libda Usay Pathar Dena,

Yad Aaye Jo Mere Bad Sanwarna Us Ko
Aaye Shab-E-Hajar Usay Chand Ka Jhoomar Dena,

Karab-E-Mohsin Ki Musafat K Khuda Wand-E-Jaleel
Khak Zadon Ko Sada Bakhat-E-Sinkandar Dena.

No comments:

Post a Comment