Pages

Kuch to Ae yaar elaj-e-ghum-e-tanhai ho

Kuch to Ae yaar elaj-e-ghum-e-tanhai ho
Baat itni b na brr jaye k ruswai ho,

Jis ne b mujhko tamasha sa bana rakha hy
Ab zarori hy wohi aankh tamashai ho,

Dobne wale to aankho se b kub nikle hain
Dobne k liye lazim nahi,gehrai ho,

Main tujhe jeet b tohfey me nahi de sakta
Chahta ye b nahi hon teri paspai ho,

Koi anjan na ho shehr-e-mohabat ka makeen
KASH har dil ki har ik dil se shanasai ho,

Aaj to baz'm mein har aankh thi pur'num jaise
Daastaan meri kisi ne yahaan dohraai ho,

Yon guzar jata hai MOHsin tere koche se woh
Tera wakif na ho jese koi SODAI ho,

No comments:

Post a Comment