Ghaira hay is tarah mujhe wehshat k jaal ne
Sab khwab mere doob gaye is malaal mein,
Mujh se nazer chura k guzerne lagi hawa
Ane lagi ju hijer ki khushbo wisaal mein,
Hon sa’at e azaab mein kyoun main abhi talak?
Ik umer se ghiri hon isi ik sawaal mein,
Bechainiaan tamam hi main us ki oorh lon
Shamil mujhe kare tou kabhi apne haal mein,
Main sun rahi hon phir se judayi ki aahtain
Jeena pare na phir se unhi maah o saal mein
Qismat se raah mein ju jazeere humain mile
Tere guman mein the,na mere khayal mein.

Posted By Just Images Poetry,
No comments:
Post a Comment